A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:06:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Wohi Rab Hai Jis Ney Tujh Ko Hama Tan Karam Banaaya
Hamey Bheek Maangney Ko Tera Aastaan Bataaya…
Tujhey Hamd Hai Khudaaya

Tumhi Haakim e Baraaya Tumhi Qasim e ‘Ataaya
Tumhi Daafa ‘e Balaaya Tumhi Shaafa ‘e Khataaya…
Koi Tum Saa Kaun Aaya

Woh Kunwaari Paak Maryam Woh Nafakhto Feehi Kaa Dum
Hai Ajab Nishaan e Aazam Magar Aamina Ka Jaaya…
Wohi Sab Sey Afzal Aaya

Yahi Boley Sidra Waaley Chaman e Jahaan Key Thaaley
Sabhi Mey Ney Chaan Daaley Terey Paaye Ka Na Paaya…
Tujhey Yak Ney Yak Banaaya

Fa-idha Faragta Fansab Yeh Milaa Hai Tujh Ko Mansab
Jo Gadaa Banaa Chukey Ab Utho Waqt e Bakhshish Aaya…
Karoo Qismat E ‘Ataaya

Arrey Aey Khudaa Key Bando! Koi Merey Dil Ko Dhoondho
Merey Paas Thaa Abhee To Abhee Kya Huwaa Khudaaya…
Na Koi Gaya Na Aaya

Hamey Aey Raza Terey Dil Ka Pataa Chalaa Ba-Mushkil
Dar e Rozey Key Muqaabil Woh Hamey Nazar To Aaya…
Yeh Na Pooch Kaisa Paaya