A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

Showing posts with label Manqabat. Show all posts
Showing posts with label Manqabat. Show all posts
On 3:22:00 AM by shayarkishayari in    No comments
karbala

Bagh Jannat Ke Hain Behr Madha Khan-e-Ahelbait

Tum ko Mujda Naar ka Aye dushmanan-e-Ahelbait


Kis Zaban se ho bayan Izzo Shane-e-Ahelbait


Madha go-ye Mustafa hai,Madha Khan-e-Ahelbait


Unki paaki ka Khuda-e-paak karta hay bayan


Aya-e-Tatheer se Zahir hay Shan-e-Ahelbait

Apna soda Baich kar Bazaar Soona kar gaee


Kon si Basti basaee Tajran-e-Ahelbait


Razm ka Maidan bana hay jalwa gahe Husn-o-Ishq


Karbala main ho raha Imtehan-e-Ahelbait


Phool Zakhmo kay Khilae hai Hawae dost nay


Khoon say Seencha gaya hai Gulsatan-e-Ahelbait


Jumma ka Din hay kitab-ezeest kit eh kar kay aaj


Khailtey hay jan par Shezadgan-e-Ahelbait


Aey shabab-e-fasl gul yeh chal gai kaisi hawa


Kat raha hay lelehata bostan-e-Ahelbait


Kis shaqi ki hay hakumat ha-ee kiya andhair hay


Din dehare lut raha hay Karwan-e-Ahelbait


Kushk ho ja khak ho kar khak main mil ja Furat


Khak tujh par,daikh to Sookhi zaban-e-Ahelbait


Teri qudrat janwar tak aab say serab hoo


Auo piyas ki shidat main tarpy bayzuban-e-Ahelbait


Qafla salar manzil ko chaly hay sonp kar

Waris bay Warisa ko karwan-e-Ahelbait


Fatima kay laadly ka aakhri didar hay


Hashr ka Hangama barpa hay mayan-e-Ahelbait


Waqt akhir keh raha hay khak main milta suhag


Ke loo Salam aakhri aay bewgan-e-Ahelbait


Inke ghar mein be ijazat Jibrael aate nahi


Qadr wale jante hain Qadr Shane-e-Ahelbait


Be Adab Gustaakh Firke Ko Sunade Ae Hasan


Youn Kaha Karte Hai Sunni Daastaan e Ahle Bayth
On 11:09:00 AM by shayarkishayari in    No comments

Kyun Khudayi na ho Dil-o-Jaan se Qurbaan Hussain

Bosa Gahe Mustafa(SallahuAlaihiWaSallam) hai ShahRag e Jaane Hussain


Aaj Tak Hain Ghair Qoumen bhi Sana Khwane Hussain


Allah Allah Kya AzeemushShan Hai Shane Hussain


Kaam Aaye Behre Haq Sab Nounihalane Hussaian


Hogaya Nazre Khizaan Sara Gulistane Hussain


Marhaba Ye Haq Parasti Ye Sadaqat Parwari


Hazrate Hur Hogaye Mukhtil me Khurbane Hussain


Jaan di Lekin Diya Hargiz Na Daste Haq Parast


Allah Allah Kis Khadar Mohkam tha Imaane Hussain


Ran me Aate the Nazar Pushtoun ke Poshten Har Taraf


War jab A'ada pe Karte the Jawanane Hussain


Koi Kahtra hi nahi Shaghil ku Roze Hashr ka 


Ta Abad Mehfooz hai O Zeer e Damane Hussain.


Raziyallahu Tala Anha


On 7:27:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko
Ke karbala me kata kar apne sar ko

Kis tarha ki hai hifazat shariyat-e-Mustafa (sallallhu alaihi wa sallam)ki
Qurbaan kar diya apne nanhe se asghar (raziallahu tala anhu) ko

Haae kis tarha sabar kiye hai Aal-e-Rasool
Khuda ki raah me qurbaan kardi apni jaanaun ko

Tum muqtaar Nabi ke muqtaar Nawase ho ya hussain (raziallahu tala anhu)
Kalima padaya us taazim karne wale yahudi ko

Ye nawase hai do aalam ke badeshah ke
Haye shimar mardud ye tune qatal kiya hai kis ko

Batti gul karke kaha aapne, jo jana chahta hai jai
Lekin manzur the saare jam-e-shahadat peenay ko

Duaa kar dete Hussain (raziallahu tala anhu) halaak-o-barbaad hojate yazidi
Lekin bhuk aur pyas manzoor thi Hussain(raziallahu tala anhu)ko

Maan najdi yazid ku tu apna peshwa
Hum ne to maan liya badeshah Hussain (raziallahu tala anhu) ko

Sirf ye sabar hi tha majboori nahi aye najdi
Chahe to thokar mar kar paani pila dete sab ko

Aa e hai yazidi ban kar najdi aur raabzi
Ya hussain(raziallahu tala anhu) khudara bachao hum sunni’aun ko

JABER fikr kiyu karta hai roz-e-mahshar ki
Tune apna peshwa maana hai jannat ke Sardar ko
On 8:18:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Idhar bhi nigaahay karam Ghous-e-Azam,

Karo door ranj-o-alam Ghous-e-Azam.

Ghira hoon mein har samt se ranj-o-ghum mein,

khudara karam, kar karam, Ghous-e-Azam.

Wah kiya martaba hai suay bala tera,

Unchay unchoon kay saroon say qadam aala tera,

Jo wali qabl thay baad huey ya houn gay,

Sub adab rakhtay hain dil mein meray aaqa tera,

Sar bhala kya koi janay kay hai kaisa tera,

Aulia mertay hain aakay woh hai talva tera.

Woh rutba tera hai kay jitnay wali hain,

Sabhi tere zair-e-qadam Ghous-e-Azam.

Hai gardan mein teri ghulami ka patta,

Tujhi se hai mera bharam Ghous-e-Azam.

Tera hoon mein tera mere is kahe ka,

Sar-e-hashr rakhna bharam Ghous-e-Azam.

Madinay se najdi bala ko nikalo,

Karo un kay sar ko qalam Ghous-e-Azam.

Mera har maraz door ho jaye piyaare

Karo aisa aakar k dam Ghous-e-Azam.

Mere chaand mera muqaddar sanwaaro,

Bohot ho gaye paich-o-ghum Ghous-e-Azam.

Mujhe khwaab mein aa ke jalwa dikha do,

Karo aaj ki shab karam Ghous-e-Azam.

Nazar jab uthaaoon nazar aaye mujh ko,

Madinay ka dilkash haram Ghous-e-Azam.

Jila paaye ga dil Ubaid-e-Raza ka,

Zara rakh do apna qadam Ghous-e-Azam.