A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 5:28:00 PM by shayarkishayari in    No comments
   
women in islam

























Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
Farsh Kiya Arsh Pe Jaari Hai Hukumat Teri

Jholiyan Khol Ke Be Samjhe Nahi Doar Aaye
Hamein Malum Hai Daulat Teri, Aadat Teri

Humen Malum Hai
Ke Wah Kiya Joodh-o-Karam Hai Shahe Bat’ha Tera
Ke Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Wala Tera

Tu Jhooliyan Khool Ke Be Samjhe Nahi Doar Aaye
Humen Malum Hai Daulat Teri Aadat Teri

Tu Hi Hai Mulk-e-Khuda Milk-e-Khuda Ka Malik
Raaj Tera Hai Zamaane Main Hukumat Teri
Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri

Majma-e-Hashr Main Ghabrayi Hoi Phirti Hai
Dhoondne Nikli Hai Mujrim Ko Shafa’at Teri

O Chain Paayen Gay Tarapte Howe Dil Mehshar Main
Gham Kisse Yaad Rahe Dekh ke Soorat Teri

Dekhne Waale Kahan Karte Hain Allah Allah
Ke Yaad Aata Hai Khuda Dekh Ke Soorat Teri

Aur Hum ne Mana ke Gunahon Ki Nahi Had Lekin
Tu Hai Un Ka Tu Hassan,-Teri hai Jannat Teri

Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri
Farsh Kiya Arsh Pe Jaari Hai Hukumat Teri