A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 8:14:00 PM by shayarkishayari in    No comments

Ghusul:

Hamare Aaqa Sarkare Do Alam,Madina Ke Dulha,Do Alam ke Malik O Muqtar Sallallahu Alaihi O Sallam Ne Jo Nahane ka Tariqa batlaya Use"Ghusul"Kehte hain.Is Tarha Nahane Se Insaan Ka Jism Paak Hota Hai.Jism Par sirf Paani Baha Dena Ghusul Nahi.

Ghusl Ki Kisme:

  1. Farz Ghusul
  2. Wajib Ghusul
  3. Sunnat Ghusul
  4. Mustahab Ghusul
1.Farz Ghusul:  
   Ghusul E Janabat,Ghusul Baade Inkita'Ye Haiz Aur Ghusul Baade Inkita'ye Nifaas.
2.Wajib Ghusul:                                                                                                                            
  Wajib Ghusul 2 Hain:
 "Zindao Par Murdo Ko Ghusul Dena Wajib Hai Aur agar Kul Badan Najasat       Aalood Ho Jaye Ya Badan ke kisi hisse par najasat lag jaye lekin maqam e najasat malum na ho to ghusul wajib hai".
3.Sunnat Ghusul:  
   Sunnat Ghusul Fiqh E Hanafi ke nazdik 5 hain.
  •  Juma ki Namaz ke liye
  • Eid Ul Fitr Aur Eid Ul Azha ke liye
  • Ehram E Hajj ya Umrah ke liye
  • Araafat Me Theherne ke liye
  • Islam Me Dakhil Hone ke waqt
      4. Mustahab Ghusul:
          Mustahab Ghusul 18 hain.
  • Deewangi,Gashi Aur Nasha Ki Sarmasti Door Hone Ke Baad
  • Poochne Lagwane ke baad
  • Shabaan ki 15 Tarikh ko
  • 9 Zilhijja me Raat ko
  • Maqame mujdalfa me thaherne ke waqt
  • Zilhijja me kurbani karne ke waqt
  • kankadiya phekne ke liye Meena Me dakhil hote waqt
  • Tawaf E Ziyarat ke liye makkah Sharif me dakhil hone ke waqt
  • Shab E Qadr me
  • Suraj aur Chand ka grahan hone ke waqt
  • Talab E Baarish ki namaz ke liye
  • Kisi Khauf ke waqt
  • Agar sakht Aandhi Aa jaye ya koi aur arzi wa samavi Aafat ho to usko door karne ke liye
  • Madina Munavarah me dakhil hone ke waqt
  • Naye kapde ya safed libas pehanne ke waqt
  • Murde ko ghusl dene ke baad
  • Safar se wapsi ke baad

Ghusul ki Niyath:

"Nawaitu An Agtasil Min Ghusuli Lirfaa'il Hadsi"   
Tarzuma: Niyat ki maine ke Ghusul karu napaki ko door karne ke liye    

niyat se murad dil me pakka irada kar lena hai aur zaban se kehna afzal hai.Aap yun bhi niyat kar sakte hain."Niyat ki maine Ghusul ki nakaki ja kar paaki Aane ke liye" Aagar kisine ghusul ki niyat na ki tab bhi bhusul ho jayega magar niyat jarur kare.

Ghusul ka Tariqa:

Ghusul ki Dil me niyat kare sath hi zaban se kahe to Afzal hai.Aab dono hath Ghatto(Kalai)tak 3 Martaba Achchi tarha dhoye.Fir Sharmgah aur uske Aas Pas ke hisso ko Dhoye chahe waha gandagi lagi ho ya na ho.Fir Badan par jahan najasat lagi ho use door kare(yani paak dholijiye).Fir wazoo kare yani 3 Bar kulli kare ki paani halaq ke Aakhiri Hisse,Danto ki Khindo,Masodon me wagairah bah jaye.Koi chiz danto me atak ki ho to use nikale.Aab 3 Martaba naak me istarha paani dale ke naak ke Aakhri Hisse(Naram haddi)tak pani pahunch jaye.Aab 3 martaba chehre ko istarha dhoye ke peshani se le kar thuddi tak aur Ek kaan se Dusre kaan ki lav tak.Fir 3 martaba kohniyon samet haton par paani bahaye.fir sar ka masah kare.Aab Agar Aap kisi unchi chiz yani chauki ya phattar par naha rahe hain to pair dhoye warna Na dhoye.Fir Badan par Tel ki tarha paani chupde(yani badan ke har har hisse ko paani se bhigoye).Fir 3 martaba dahine modhe(kandhe)par paani bahaye.fir Baaye modhe(khandhe)par 3 bar paani bahaye.Fir Sar Aur Tamaam badan par 3 martaba paani bahaye aur jism malte jaaye.Istarha ki jism ka koi Hissa sukha na rahe.Sar ke balon ki jadon me,Bagal me,Shargah ke har hisse me sab jagah paani pohonch na jaruri hai.Agar Ungli me Angoothi ho to ghuma kar pani pohonchaye.Aurate Apne kaan ki Bali,Naak ki nathni wagaira ko ghuma kar paani pohonchaye.Auraten Sar ke baal khol le to behtar hai warna ye yehtiyat jaruri hai ki sar ke baal aur sar ki jadon tak paani jarur pahunche.Aab Aapne wazoo me pair na dhoye ho to dhole.Ghusul karte waqt koi kalaam ya dua na padhe aur kibla Rukh na ho.Aab Aap islami shariat ke mutabiq paak ho gaye.Aab Aap saboon wagairah jo bhi jaiz chiz lagana ho laga sakte hain.
(Fatwa E Razviya jild2 aur Qanoon E Shariat Hissa 1,safa 41)

Faraiz E Ghusul:

Ghusul Me 3 Baaten Farz hain.Inme se koi Bhi Ek rah jaye to ghusul na hoga.Aur na nahane vale ko sunnate Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam Ke mutabiq paakizgi hasil hogi.

  1. Kulli Karna:Kulli is tarha ki jaye ki muh ke andar har Goshe Hont se halaq ki jad tak har jagha paani bah jaye.masode,dant ki khidkiyan,jaban ki har karwat me,halk ke kinare tak paani bahe.Roza na ho to gargara kare taki paani achchi tarha har jagah pahunche.dant me koi chiz ataki ho to jab tak jarar wa harz na ho chu'dana jaruri hai.bejy iske ghusul na hoga aur bejy ghusul namaz na hogi.
  2. Naak Me Paani Chadana: Dono Nathuno ka jagha tak narm hissa hai wahan tak dhulna.paani ko sungh kar Chadhaye taki baal barabar bhi jagah dhulne se na rah jaye warna ghusul na hoga.Agar bulaaq,Nat ka surakh band na ho to usme bhi paani pahunchana jaruri hai.Naak ke andar rinth,nakti sukh gayi to uska chu'dana bhi farz hai,aur naak ke baal ka chona bhi farz hai.
  3. Tamaam Jahiri Badan Dhona: Sar ke baalon se pairo ke talwon tak jism ke har hisse par paani bahaya jana jaruri hai isliye ki Agar ek bal ki nok bhi dhulne se rah gayi to ghusul na hoga.(Sunni Bahishti Zewar Hissa 1,safa 31 aur Qanoon E Shariat Hissa 1,Safa42)

Ehtiyat E Ghusul

  • Sar ke Baal gundhe na ho.har baal par jad se nok tak paani bahana jaruri hai aur agar gundhe ho to aurat par jade bhiga lena jaruri hai.kholna jaruri hahi.han agar choti itni sakht gundhi ho ba'Khole jade nahi bhigengi to kholna jaruri hai.
  • kaano me baal wagaira zewaron ke surakh ka wahi huqm hai jo naak ke nath ke surakh ka huqm hai.Unme paani pahunchana jaroori hai.
  • kaan ka har purza aur uske surakh ka,kaano ke piche baal uthaA kar paani bahayiye.
  • Thuddi Aur Gale ka jod bhi utha ye na dhulega.
  • dono bagalon ki bhi hath uthaye na dhulengi.
  • Baaho ka har pahlu aur peeth ka har jarrah.
  • pait ki zuriya utha kar aur Naabhi me ungli daal kar dhoye.
  • jangh aur pedoo ka jod aur jangh pindli ka jod.
  • Dono chutad ke milne ki jagah.
  • jangho ki golaai aur pindliyo ki karwate.
  • Dhalki hui pistan(Breast)ko utha kar dhoye.
  • pistan aur pet ke jod ki jagah.
  • Sharmgah ka har tukda har kona upar,niche dayen se dhoya jaye han andar ungli daal kar dhona jaruri nahi hai,Mustahab hai.Yuhi haiz wa nifas se farig ho kar ghusl karti hai to ek purane kapde se andar ka khoon saaf karna Mustahab hai.Laazmi hai.
  • Mathe par Afshaa chuni ho to uska chu'dana jaroori hai.yunhi baalon me itna gond wagairah laga hai ki uske hote baal achchi tarah na bhigenge,to uska chu'dana bhi jaruri hai warna ghusul na hoga.(Sunni Bahishti Zewar,Durre Mukhtar,Raddul Muhtar,Bahare Shariat).

In Baton Se Ghusul Farz Hota hai:

  1. Mani ka apni jagah se shahwat ke sath juda ho kar uzwa se nikalna.
  2. Ehtelam(nightfall)yani Sote me Ujla khoon nikal jana.
  3. Sharamgha me hashfa(Mard ke Uzoo E Tanasul ka supari jaisa hissa)tak chala jaana khwah shahwat se ho ya bila shahwat.Inzal ho ya na ho dono par ghusl farz karta hai.
  4. Haiz ya maahwari khoon se faragat paana.
  5. Nifaas yani bachcha jaan'ne par jo khoon Aata hai usse farig hona.
(Raddul Muhtar,Qanoon E Shariat)

Mard aur Aurath par ghusul kin halaton me farz hota hai

Mard Par Ghusul kab farz hota hai.

MAZI:

Shahwat ke waqth shuru me jo chiz sharmgah se safed rang ki nikalti hai aur uske nikalne se josh kam nahi hota balki khwahish aur bad jati hai use mazi kehte hain.(Sunni Bahishti Zewar Safa 34)

MANI:

Shahwat ke bad jab khub lajjat Aati he to gandha padarth(Virya-Sperm)sharmgah se nikalta hai use Mani kehte hain.(Sunni Bahishti Zewar Safa 34)
Note:Mazi Se Ghusul farz nahi hota.Mani ke nikalne par gusl farz hota             hai.(Sunni Bahishti Zewar Safa 34)
  1. Mani ka apni jagah se shahwat ke sath juda hokar uzwa se nikalna.
  2. Ahtelam yani sote me mani ka nikal jana.
  3. Sharmgah me hashfa tak chala jana khwah Shahwat se ho ya bila shahwat inzal ho ya na ho dono par ghusul farz hota hai.
  4. Agar mani na hone ka yakin hai mazi ka shak hai to agar khwab me ahtelam hona yad nahi to ghusul nahi aur yad hai to ghusul farz hai(Raddulmuhtar,Sunni bahisti zewar safa 34).

Aurath par Ghusul Farz Hona:

Haiz(Mahwari,M.C.Period,Nitas,Istihaja) Ka Bayan

 Balig Aurat ke Aage ke makam se jo khoon Aadi taur par nikalta hai aur wo bimari ya bachcha paida hone ki wajah se na ho use haiz kehte hain.Bachcha hone ke bad ho to Nifas Kehte hain.(Qanoon E Shariat Hissa 1 Safa 61)
 Nifas yani voh khoon jo Bachcha janne ke bad Aata hai.Iski kami ki janib koi muddat mukarrar nahi.Aadhe se zaida Bachcha nikalne ke bad 1 Aan bhi khoon Aaya to voh nifas hai aur zaida se zaida nifas ka zamana 40 din aur rath hai.(Qanoon E Shariat Hissa 1 Safa 63)

Haiz wa Nifas ki halat me Namaz padna Roza rakh na Haram hai.In dino me Namazen Maaf hain Inki Khaza bhi nahi.Khaza Roze rakh na farz hai.(Qanoon E Shariat Hissa 1 Safa 64)

Istehaza:
Voh khoon jo Aurat ke Aage ke makam se nikale aur Haiz wa Nifas ka na ho to ye Istihaza hai.(Qanoon E Shariat Hissa 1 Safa 65)

Istehaza me na Namaz Maaf hai na roza maaf hai.Yesi Aurat se sohbat haram hai(Qanoon E Shariat Hissa 1 Safa 65)

To Auraton se alag raho haiz ke dino,aur unse nazdik na karo jab tak wo pak na hole.Fir jab pak ho jaye to unke pass jao(Kanzul iman Para2,Surah Bakar,Aayat 222)

Haiz ki muddat kam se kam 3 din aur 3 rat hain.yani 72 Ghante hain aur Jaida se Jaida 10 Din Aru Raten hain.(Bahare Shariat Jild 1 Safa 42)

Haiz ki halat me Aurat se sohbat(Sex)karna haram hai(Tirmizi jild 1 Safa 136,Bahare Shariat)

10 din se kam me Khoon Aana band ho gaya to jab tak ghusul na kare sohbat jayez nahi(Bahare Shariat jild 1,Safa 74)

Aurat ko jab haiz ka khoon Aana band ho jaye to use Ghusul karna farz hai(Kanoon E Shariat jild 1,Safa 38)

Haiz se pak hone ka Tariqa:

Ummul Mominin Hazrate Ayesha Siddiqa Raziyallahu Tala Anhu se riwaya hai ki.Ek Aurat Rasoolallah Sallallahu Alaihi O Sallam se Haiz ke Ghusul ke bare me pucha.Aap Sallallahu Alahi O Sallam ne use bataya:Yu Ghusul kare.aur fir farmaya Mushk(Kasturi)se basa hua rui ka faya le aur usse taharat hasil kar voh samaz na saki aur kaha kis tarha taharat karun? Huzoor ne Farmaya Us'se taharat karo Hazrat Ayesha farmati hai.Maine uss Aurat ko apni taraf khinch liya aur use bataya ki use khoon ke mukam par fere.(Bukhari Sharif Jild 1 Bab 215 Hadees 305 Safa 201)

Note: Is zamane me mushk milna mushkil hai isliye uski jagah gulab pani ya itr ka faya le.fir ghusul kare.