A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:27:00 AM by shayarkishayari in    No comments
Aurat Kai Hai
Aurat:
Khuda ki badi badi nematon me se ek bahut badi nemat hai.

Aurat:
Dunya ki Abadkari aur Dindari me mardon ke saat takhriban barabar ki sharik hai.

Aurat:
Mard ke dil ka sakun,ruh ki rahat,zehan ka itminan,badan ka chain hai.

Aurat:
Dunya ke khub surat chehre ki ek Ankh hai.Agar aurat na hoti to dunya ki surat kani hoti.

Aurat:
Adam Alaihis Salam va Hazrate HAVVA Raziyallahu tala anha ke siva tamam insano ki "Maa" hai,iss liye voh sab ke liye kabile ehtiram hai.

Aurat:
Ka wajud insani tamaddun ke liye behad zaruri hai,Agar aurat na hoti to mardon ki jindagi jangali janvaron se badtar hoti.

Aurat:
Bachpan me bhai bahano se mahabbat karti hai,Shadi ke baad shohar se mohabbat karti hai,Maa ban kar apni aulad se mohabbat karti hai,iss liye aurat dunya me pyar va mohabbat ka ek "taz mahal" hai.





AURAT ISLAM SE PAHLE

Islam se pahle auraton ka hal bahut kharab tha dunya me auraton ki koi izzat va Aukat hi nahi thi.mardon ki nazar me iss se zaida auraton ki koi haisiyat hi nahi thi ki voh mardon ki nafsani khwayish puri karne ka ek "khilona"thi.aurat din raat mardon ki khisam khisam ki khidmat karti thi aur tarha tarha ke kamo se yahan tak ki dusron ki mehnat mazduri kar ke jo kuch kamati thi voh bhi mardon ko de diya karti thi magar zalim mard fir bhi in auraton ki koi khadar nahi karte the balki janvaron ki tarha in ko marte pitte the.zara zara si baat par auraton ke kan nak vaghaira Aaza kat liya karte the aur kabhi katl bhi kar dalte the.arab ke log ladkiyon ko jinda dafan kar diya karte the aur baap ke marne ke baad us ke ladke jis tarha baap ki jayidad aur saman ke malik ko jaya karte the isi tarha apne baap ki biviyon ke malik ban jaya karte the aur in auraton ko zabardasti londiya bana kar rakh liya karte the.auraton ko in ke maa-baap bhai-bahan ya shohar ki mirash me se koi hissa nahi milta tha na auraten kisi chiz ki malik huva karti thi arab ke baaz kabilon me yeh zalimana dastur tha ki beva ho jane ke baad auraton ko ghar se bahar nikal kar ek chote se tango tarik jhopde me ek saal tak kaid me rakha jata tha voh jhopde se bahar nahi nikal sakti thi na gusul karti thi na kapde badal sakti thi,khana-pani aur apni sari zaruraten isi jhopde me puri karti thi bahut si aurat to ghut dhut kar mar jati thi aur jo zinda bach jati thi to ek saal ke baad in ke anchal me unt ki meganiyan dal di jati thi aur in ko mazbut kiya jata tha ki voh kisi janvar ke badan se apne badan ko ragaden fir sare shahar ka isi gande libas me chakkar lagayen aur yidar udar unt ki mengniyan fainkti huyi chalti rahen ye iss baat ka Aylan hota tha ki kharab aur taklif deh rasme thi jo gharib auraton ke liye musibaton aur balaon ka pahad bani huyi thi aur bechari musibat ki mari auraten ghut ghut kar aur ro ro kar apni zindagi ke din guzarti thi Hindustan me to beva auraton ke saat yese yese dardnaak zalimana suluk kiye jate the ki jin ko soch soch kar kaleza muh ko ajata hai.hindu dharm me har aurat ke liye farz tha ki voh jindagi bhar kism kism ki khidmaten kar ke "pati puja"(shohar ki puja)karti rahe aur shohar ki maut ke baad uss ki "chita" ki Aag ke sholon par zinda laita kar "sati" ho jaye yani shohar ki lash ke saat jinda aurat bhi jala kar raakh ho jaye.gharz puri dunya me be raham aur zalim mard auraton par yese yese zulmo sitam ke pahad todte the ki in zalimon ki dastan sun kar ek dardmand insan ke sine me ranjo gham se dil tukde tukde ho jata hai.in mazlum aur be kas auraton ke koi hukhuk the na in ki mazlumiyat par dado fariyad ke liye kisi kanun ka koi sahara tha hazaron baras tak ye zulmo sitam ki mari dukhyari auraten apni iss be kasi aur lachari par roti bil-bilati aur Ansu bahati rahi magar dunya me koi bhi in auraton ke zakhmon par marham rakhne vala aur in ki mazlumiyat ke Ansuvon ko ponchne vala dur dur tak nazar nahi Aata tha na dunya me koi bhi in ke dukh-dard ki fariyad sunne wala tha na kisi ke dil me in auraton ke liye bal barabar bhi rahamo karam ka koi jazba tha auraton ke iss hale zar par insaniyat ranjo gham se be chain aur be karar thi magar iss ke liye iss ke siva koi chara kar nahi tha ki voh rahamate khudavandi ka intizar kare ki Arrahamanirrahimin ghaib se koi yesa saman paida farma de ki achanak sar dunya me ek Anokha inkilab numudar ho jaye aur lachar auraton ka sara dukh-dard door ho kar in ka beda par ho jaye chunanche rahamat ka aftab jab tulu ho gaya to sari dunya ne achanak ye mahsus kiya ki

jahan tarik tha,julmat kada tha,sakht kala tha
koi parde se kai nikla ki ghar ghar me ujala tha.


AURAT ISLAM KE BAAD

Jab hamare rasoole rahamat Hazrate Mohammade Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam khuda ki taraf se "Dine Islam" le kar tashrif laye to dunya bhar ki satayi huyi auraton ki khismat ka sitara chamak utha.aur islam ki ba daulat zalim mardon ke zulmo sitam se kuchli aur rondi huyi auraton ka darja iss khadar bulando bala ho gaya ki ibadat va muAmlat balki jindagi aur maut ke har marhale aur har mod par auraten mardon ke dosh ba dosh khadi ho gayi aur mardon ki barabari ke darje par pahunch gayi mardon ki tarha auraton ke bhi hukuk mukarrar ho gaye aur in ke hukuk ki hifazat ke liye khudavandi kanun asman se nazil ho gaya aur in ke hukuk dilane ke liye islami kanun ki maa tahti me adalaten kayim ho gayi.auraton ko malikana hukuk hasil ho gaye chunanche auraten apne mahar ki rakmo,apni tijaraton,apni jayidadon ki malik bana di gayi aur apne maa-baap,bhai-bahan avlad aur shohar ki mirasaon ki varis karar di gayi.garaz voh auraten jo mardon ki jutiyon se zaida zalilo khwar aur intihayi majburo lachar thi vo mardon ke dilon ka sukun aur in ke gharon ki malika ban gayi chunanche qurane majid ne saaf saaf lafjon me yelan farma diya ki,

"Allah ne tumhare liye tumhari jins se biviyan paida kar di taki tumhen in se taskin hasil ho aur uss ne tumhare darmiyan mohabbat va shafkhat paida kar di"

Aab koi mard bila vajah na auraton ko mar-pit sakta hai na in ko gharon se nikal sakta hai aur na koi in ke mamlon asbab ya jayidadon ko chin sakta hai balki har mard mazhabi tor par auraton ke hukuk ada karne par mazbur hai chunanche khudavande khuddus ne qurane majid me farmaya ki,

"Auraton ke mardon par yese hi hukuk hain jaise mardon ke auraton par achche suluk ke saat"aur mard ke liye farman jari farma diya ki
"Aur achche suluk se auraton ke saat jindagi basar karo"

tamam dunya dekh le ki dine islam ne miyan-bivi ki ijtimayi jindagi ki sadarat agarche mard ko ata farmayi hai aur mardon ko auraton par hakim bana diya hai taki nizame khanadari me agar koi badi mushkil Aan pade to mard apni khuda dadi takat va salahiyat se iss mushkil ko hal kar de lekin iss ke saat saat jahan mardon ke kuch hukuk auraton par vajib kar diye hain.voh auraton ke bhi kuch hukuk mardon par lazim tahara diye gaye hain.iss liye aurat aur mard dono ek dusre ke hukuk me jakade huye hain taki dono ek dusre ke hukuk ko ada kar ke apni ijtimayi zindagi ko shadmani va masrrat ki jannat bana den.aur nifakh va shikhak aur ladayi jhagdon ke jahannam se hamesha ke liye azad ho gaye.

Auraton ko darjat va maratib ki itni buland manzilon par pahuncha dena ye huzur nabiye rahamat Sallallahu Alaihi O Sallam ka voh ehsane azim hai ki tamam dunya ki auraten agar apni jindagi ki akhiri sans tak iss yehsan ka shukriya Ada karti rahen fir bhi voh iss azimushan ehsan ki shukr guzari ke farz se subuk dosh nahi ho sakti .Subhanallah tamam dunya ke mohsine Azam huzur nabiye akram Sallallahu Alaihi O Sallam ki shane rahamat ka kai kahna?

voh nabiyon me rahamat  lakab pane vala
muraden gharibon ki bar lane vala
musibat me ghairon ke kaam ane vala
voh apne paraye ka gham khane vala
Fakiron ka mava zayifon ka malja
Yatimo ka vali ghulamo ka maula

[jannati zewar Saf no.44]