On 10:30:00 AM by shayarkishayari in Namaz No comments
Namaaz Padhne Ka Tariqa Ye Hai Ke Wazu Karke Qible Ki Taraf Muh Kare.Aur Is Tarha Khada Ho Ke
Dono Pairon Ke Darmiyaan 4 Ungul Ka Fasila Rahe.Aur Dono Hathon Ko Dono Kano Tak Uthaye Ke Dono Angothe Dono Kanon Ke Lou se Chu Jaye.Baqi Ungliyan Apne Haal Per Rahen.Na Bilkul Mili Huwi Na Bahot Phaili Huwi. Is Haal Me Ke Kano Ki Lou Chute Huwe Dono HatheLiyan Qible Ki Taraf Hoon aur Nigah Sajde Ki Jagah Per Ho.
Phir Niyyat Karke Allahu Akbar (الله أكبر)Kehte Huwe Hath Neeche La Kar Naaf Ke Neeche Is Tarha Bandh Len Ke Dahni Hatheli Ki gaddi Bayen Kalayi Ke Sare Per Pahonchon Ke Pass Rahe, Aur Beech Ki 3 Ungliyan Kalayi ki Peet Per, Aur Angotha Aur Choti Ungli Kalayi Ke Aghal Baghal Halkhe Ki Surat Me Rahe.
Phir Sana Padhe.
Phir Ta'awuz Aur Tasmiya Phir Al-Hamd Shareef Puri Padhe,Aur Khatam Per Aashista Se Aameen Kahe.
Iske Baad Koi Surat Ya 3 Aayaten Ya 1 Lambi Aayat Jo 3 Aayaton ke Barabar Ho Padhen.
Phir Allahu Akbar(الله أكبر) Kehte Huwe Ruku me Jaye.
Aur Ghutno Ku Hathon Se Is Tarha Pakde ke Hatheliyan Dono Ghutno Per Ho Aur Ungliyan khoob Pahili Ho Aur Peet Bichi Ho Aur Sar Peet Ki Barabaar ho Uncha Neecha Na ho Aur Nazar Pairon ki Pusht Par Ho.
Aur Kam Se Kam 3 Martaba "Subhana Rabbi'al Azeem " ( سبحان ربي العظيم) Kahe.
Phir "Sami' Allahu Liman Hamidah"(سَمِعَ الله لِمَنْ حَمِدَه) Kehte Huwe Seedhe Khade Ho Jayen.
Aur Akele Namaaz Padhte Hain to Iske Baad "Rabbana Lakal Hamd" (رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ) Bhi Kahe.Aur Dono Hath Latkaye Rahe.Hathon Ku Bandhe Nahi.
Phir Allahu Akbar Keh Kar Sajde Me Jaye, Is Tarha Ke Pehle Ghutna Zameen Per Rakhe Phir Hath, Phir Dono Hathon Ke Darmiyaan Me Sar Rakhe, Is Tarha Par Ke Pehle Naak Zameen Per Rakhe, Phir Matha Aur Naak Ki Haddi Ku Daba Kar Zameen Per Jamaye , Aur Nazar Naak Ki Taraf Rahe , Aur Bazuon Ku Karwaton Se Aur Pet Ku Rano se Aur Rano Ku Pindhliyon Se Juda Rakhe , Aur Paon Ki Sab Ungliyoun Ku Qible Ki Taraf Rakhe , Is Tarha Ke Ungliyon Ka pet Zameen Per Jama Rahe , Aur Hatheliyaan Bichi Ho, Aur Ungliyan Qible Ki Taraf Ho, Aur Kam Se Kam 3 Baar "Subhana Rabbiyal A'la" (سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلَى) Kahe.
Phir Sar Uthaye Is Tarha Ke Pehle Matha Phir Naak ,Phir Muh , Phir Hath Aur Dahina Qadam Khada karke Iski Ungliyan Qibla Rukh Kare aur Bayan Qadam Bicha Kar Is Per Khoob Seedha Baith Jaye , Aur Hatheliyan Bicha Kar Rano Per Ghutno Ke Pass Rakhe Is tour Per Ke Dono Hathon Ki Ungliyan Qibla Rukh Hon, Aur Ungliyon Ka Sira Ghutno Ke Pass Ho, Phir Zara Tehar Kar Allahu Akbar Kehte Huwe Dosra Sajda Kare, Ye Sajda bhi Pehle Ki Tarha Kare,
Phir Sar Uthaye Aur Dono Hathon Ku Ghutno Per Rakh Kar Panjon Ke Bal Khade Ho Jaye, Uthte Waqt Bila Uzr Hath Zameen Per Na teke.
Ye Ek Raka'at Puri Ho Gayi.
Ab Phir Tasmiya Padh Kar Al-Hamd Puri Aur Koi Suart Padhe Aur Pehle Ki Tarha Ruku Aur Sajda Kare,
Phir Jab Sajde Se Sar Uthaye To Dahina Qadam Khada Karke Bayan Qadam Bicha Kar Baith Jaye, Aur Attahiyat Padhe.
Isku Tashahhud Kehte Hain Jab Ashadu Allah Ke Qareeb Pahonche To Dahine Hath Ki Beech Ki Ungli Aur Angothe Ka Halkha Banaye Aur Choti Ungli Aur Uske Pass Wali Ungli ku Hatheli Se Mila De Aur Lafz "Laa" Per Kalme Ki Ungli Uthaye Magar Idhar Udhar Na hilaye , Aur " illa" Per Girade.
Aur Sab Ungliyan Fouran Seedhi Kare,
Ab Agar Do se Ziyada Raka'ate Padhni hai To Uth Khade Ho Jaye,Aur Isi Tarha Padhe ,Magar Farz Ki In Raka'aton Me Al-Hamd Shareef Ke Sath Surat Milana Zaruri Nahi,
Ab Pichla Qaida Karne Ke Baad Namaz Khatam Kare,
Is Me Tashahhud Ke Baad Darood e Ibraheem Padhe,Phir Dua e Masurah Padhe.Phir Dahne Shane Ki Taraf Muh Karke "AssalamuAlaikum Wa Rahmatullah" Kahe, Phir Bayen Shane K Taraf Muh Karke "AssalamuAlaikum Wa Rahmatullah" Kahe.
Ab Namaaz Khatam Ho Gayi Iske Baad Dono Hath Utha Kar Koi Dua Maslan Allahumma Antas-Salam Padhe Aur Muh Per Hath Pher len,
Namaaz Ka ye Tariqa jo Likha Gaya Imam Ya Tanha Mard Ke Padhne Ka Hai. Lekin Agar Namaazi Muqtadi ho Yani Jama'at ke Sath Imam Ke Peeche Namaaz Padhta Ho To Al-Hamd Aur Surah Na Padhe, Chahe Imam Zoor Se Qir'at Karta Ho Ya Aahista Imam Ke Piche Kisi Namaaz Me Qir'at Jaiz Nahi.
Namaz Me Auraton Ke Chand Khaas Masail
Awraton Ku Chahiye Ke Takbeer-e-Tahrima Ke Waqt Mardon ki Tarha Kano Tak Hath Na Uthayen, Balke Sirf Mondhe Tak Hi Hath Utha Kar Bayen Hatheli Seene Per Rakh Kar Iski Peet Par Dahni Hatheli Rakhe,Ruku Me Ziyada Na Jhuke, Balke Thoda Jhuken, Yani Sirf Is Qadar Ke Hath Ghutno Tak Pahonch Jaye.
Isi Tarha Awraten Ruku Me Peet Seedhi Na Karen , Aur Ghutno Per Zoor Na Den, Balke Mahaz Ghutno Per Hath Rakh Den, Aur Hathon Ki Ugliyan Mili Huwi Rakhen , Aur Paon Kuch Jhuka Huwa Rakhen, Mardon Ki Tarha Khoob Seedha Na Karden,
Awraton Ku Bilkul Simat Kar Sajda Karna Chahiye, Yani Bazu Ku Karwaton Se Mila Den, Aur Pet Ku Raan Se Aur Raan Ku Pindliyon Se Aur Pindliyoun Ku Zameen Se Miladen,
Aur Qaide Me Aatahiyat Padhte Waqt Awraten Bayen Qadam Per Na Baithen, Balke Dono Paon Dahni Janib Nikal Den Aur Bayen Suarain Per Baithe, Mardon ki Tarha Na Baithen.
Awraten Bhi Khadi Ho Kar Namaaz Padhen, Bahot Si Jahil Auraten Farz o Wajib Aur Sunnat o Nafil Sari Namazen Baith Kar Padhti Hain, Ye Bilkul Galat Tariqa Hai,
Nafil Ke Siwa Koi Namaz Bhi Bila Uzr ke Baith Kar Padhni Jaiz Nahi,Ye Jahil Awraten Farz O Wajib Jitni Namazen Baghair Uzr Baith Kar Padh Chuki Hain Un Sab Namazon Ki Qaza Karen.Aur Tauba Karen.
Maslah: Awrat Mardon Ki Imamat Karen Ye Najaiz Hai, Hargiz Awrat Mardon Ki Imam Nahi Ban Sakti. Aur Sirf Awraton Ki Jam'at Ke Awrat Hi Imam Ho Aur Awraten Hi Muqtadi Ho Ye Makru e Tehrimi Aur Najaiz Hai.
Maslah: Awraton Per Jumma Aur Edian Ki Namaaz Wajib Nahi. Panj Waqta Namazaon Ke Liye Bhi Awraton Ka Masjid Me Jana Mana Hai.
Read The Next Article : Namaz Ke Mustahabaat
Namaz Padhne Ka Tariqa
2015-05-21T10:30:00+05:30
shayarkishayari
Namaz|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara