A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:00:00 AM by shayarkishayari in    No comments
Ya Mohammed

BalAam Bin Ba'Ura:

             Ye Shakhs apne dor ka bahut bada Alim aur Abido Jahid tha. Aur iss ko isme Azam ka bhi ilm tha. Ye apni jagah baitha huva apni ruhaniyath se Arsh Azam ko dekh liya karta tha. Aur bahuth hi mustajabuda'vat tha ki iss ki duayen bahuth zaida makbul huva karti thi. Iss ke shagirdon ki tadad bhi bahut zaida thi, Mashhur ye hai ki iss ki darasgaah me talibe ilmon ki davate 12000 thi.

              Jab Hazrate Nabi Musa Alaihis Sallam "Khom e Jabbarin" se Jihad karne ke liye bani israel ke lashkaron ko le kar ravana huve to BalAam Bin Ba'Ura ki khom iss ke pass ghabrayi huyi Ayi aur kaha ki Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam bahuth bada aur nihayath hi takatvar lashkar le kar hamla avar hone vale hain. Aur vo ye chahte hain ki ham logon ko hamari zamino se nikal kar ye zamin apni khom bani israel ko de den. Iss liye Aap Hazrate Musa Alaihis Salam ke liye yesi bad-dua kar dijiye ki vo shikasth kha kar vapas chale jaye. Aap chunki mustajabuda'vat hain iss liye Aap ki dua zarur makhbul ho jayegi. Ye sun kar BalAam Bin Ba'Ura Kamp utha. Aur kahane laga ki tumhara bura ho. Khuda ki panah ! Hazrate Musa Alaihis Salam Allah Azzawajal ke Rasool hain. Aur in ke lashkar me momino aur farishton ki jamath hai in par bhala main kaise aur kis tarha bad-dua kar sakta hun ? Lekin iss ki khom ne ro ro kar aur gid gida kar iss tarha israr kiya ki iss ne ye kaha diya ki instikhara kar lene ke baad agar mujhe ijazath mil gayi to bad-dua kar dunga. Magar istikhara ke baad jab iss ko bad-dua ki ijazath nahi mili to iss ne saaf saaf javab de diya ki agar main bad-dua karunga to meri dunya va akhirath dono barbad ho jayengi.

            Iss ke baad iss ki khom ne bahuth se giran khadar hadaya aur tahayif iss ki khidmath me pesh kar ke be panah israr kiya. Yahan tak ki BalAam Bin Ba'Ura par hirs aur lalach ka bhut suvar ho gaya, Aur vo mal ke jal me fans gaya. Aur apni gadi par suvar ho kar bad-dua ke liye chal pada. Raste me bar bar iss ki gadhi tahar jati aur muh mod kar bhag jana chahati thi. Magar ye uss ko mar mar kar age badata raha. Yahan tak ki gadhi ko Allah Tala ne goyayi ki takhat ata farmayi. Aur uss ne kaha ki afsos ! Ye BalAam Bin Ba'Ura tu kahan aur kidhar jaa raha hai ? Dekh ! Mere age farishte hain jo mera rasta rokte aur mera muh mod kar mujhe piche dhakel rahen hain. Ye BalAam Bin Ba'Ura ! Tera bura ho, Kai tu Allah ke Nabi aur Mominin ki jamath par bad dua karega ? gadhi ki takhrir sun kar bhi BalAam Bin Ba'Ura vapas huva. Yahan tak ki "Hasban" nami pahad par chad gaya. Aur bulandi se Hazrate Musa Alaihis Salam ke lashkaron ko baghor dekha aur malo daulath ke lalach me us ne bad-dua shuru kar di. Lekin khuda azzawajal ki shan ki vo Hazrate Musa Alaihis Salam ke liye bad-dua karta tha. Magar uss ki zaban par uss ki khom ke liye bad dua jari ho jati thi. Ye dekh kar kayi martaba uss ki khom ne toka ki ye BalAam Bin Ba'Ura ! Tum to ulti bad-dua kar rahe ho. To uss ne kaha ki ye meri khom ! Main kai karun main bolta kuch aur hun aur meri zaban se kuch aur hi nikalta hai. Fir achanak uss par ye gazabe ilahi nazil ho gaya ki nagahan uss ki zaban latak kar uss ke sine par Aa gayi. Uss vakhth BalAam Bin Ba'Ura ne apni khom se ro ro kar kaha ki afsos meri dunya va akhirath dono barbad va gharath ho gayi. Mera imaan jata raha aur main kahare kahhar va ghazabe jabbar me giriftar ho gaya. Aab meri koi dua khabul nahi ho sakti. Magar main tum logon ko mark ki ek chal batata hun tum log yesa karo  to shayad hazrate musa alaihis salam ke lashkaron ko shikasth ho jaye. Tum log hazaron khoob surath ladkiyon ko behtarin poshak aur zevarath pahana kar bani israel ke lashkaron me bhej  do. Agar in ka ek admi bhi zina karega to pure lashkar ko shikasth ho jayegi. Chunanche, BalAam Bin Ba'Ura ki khom ne uss ke bataye huve mark ka jaal bichaya. Aur bahuth si khoob surath doshiAon ko banav singhar khara kar bani israel ke lashkaron me bhej. Yahan tak ki bani israel ka ek rayis ek ladki ke husno jamal par farefath ho gaya aur uss ko apni jod me utha kar hazrate musa alaihis salam ke samne gaya. Aur fatva pucha ki ye allah azzawajal ke nabi ! ye aurath mere liye halal hai ya nahi ? Aap ne farmaya ki khabardar ! ye tere liye haram hai. Foran iss ko apne se alag kar de. Aur Allah azzawajal ke azab se dar. Magar uss rayis par ghalbaye shahavath ka yesa zabardasth bhoot suvar ho gaya tha ki vo apne Nabi Alaihis Sallam ke farman ko thukra kar us aurath ko apne khome me le gaya. Aur jankari me mashgul ho gaya. Iss gunah ki nahusath ka ye asar huva ki bani israel ke lashkar me achanak taun(Pleg) ki vaba fel gayi aur ghante bhar me 70,000 admi mar gaye aur sara lashkar titar bitar ho kar nakam va namurad vapas chala aya. Jiss ka Hazrate Musa Alaihis Salam ke kalbe mubarakh par bahuth hi bada sadma guzra.

             BalAam Bin Ba'Ura pahad se utar kar mardude bargahe ilahi ho gaya. Akhiri dam tak uss ki zaban iss ke sine par latak ti rahi aur vo be imaan ho kar mar gaya. Iss vakhiya ko Quran e Karim ne iss alfaz me bayan farmaya hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Aur Ye Mahabub inhen uss ka ahval sunao jise ham ne apni ayaten din to vo un se saaf nikal gaya to shaitan uss ke piche laga to gumrahon me ho gaya. Aur ham chahate to ayaton ke sabab use utha lete magar vo to zamin pakad gaya aur apni khwahish ka tabeAa huva to uss ka haal kutte ki tarha hai to uss par hamla kare to zaban nikale aur chod de to zaban nikale ye haal hai un ka zinhon ne hamari ayaten jhutlayi to tum nasihat sunao ki kahi vo dhyan karen.

BalAam Bin Ba'Ura Kuin Zalil Huva ? 

                  Rivayath hai ki Baaz Ambiya e Kiram ne Khuda Tala se daryaft kiya ki tu ne BalAam Bin Ba'Ura ko itni ne'maten ata farma kar fir iss ko kuin iss kahare muzallath me gira diya ? To Allah Tala ne farmaya ki uss ne meri nematon ka kabhi bhi shukr ada nahi kiya. Agar vo shukr guzar hota to main uss ki karamaton ko salba kar ke uss ko dono jahan me iss tarha zalilo khwar aur ghayibo khasir na karta.


Darse Hidayath:

              BalAam Bin Ba'Ura ki iss sargujishth se chand asbakhe hidayath milte hain:
  1. Iss se un alimo aur lidaron ko sabak hasil karna chahiye jo maldaron ya hukumaton se rakham le kar khilafe shariath baten karte hain aur jaan buj kar apne deen va imaan ka soda karte hain. Dekh lo BalAam Bin Ba'Ura kai tha aur kai ho gaya ? Ye kuin huva ? Iss liye aur sirf iss liye ki vo malo dolath ke lalach me giriftar ho gaya aur danista( janbuj kar) Allah Azzawajal ke Nabi par bad-dua karne ke liye tayyar ho gaya. To iss ka uss par ye vabal pada ki dunya va akhirath me malun ho kar iss tarha mardud va matrud ho gaya ki umr bhar kutte ki tarha latkati huyi zaban liye fira aur akhirath me jahannam ki bhadakti aur shola bar Aag ka indhan ban gaya. Lihaza har musalman khususan ulma va mashayikh ko molo dolath ke hirs aur lalach ke jaal se hamesha parhez karna chahiye aur hargiz kabhi bhi maal ki tamAa me deen ke andar mudahanath nahi karni chahiye. Varna khub samajh lo ki kahare ilahi azzawajal ki talvar latak rahi hai.
  2. Iss saneha se Aam musalman bhi ye sabak sikhe ki hazrate musa alaihis salam ka lashkar jis me malayika aur mominin the. zahir hai ki iss lashkar ke nakam hone ka koi suval hi nahi paida hota tha kuinki ye yesa ruhani aur malkuti lashkar tha ki in ke ghodon ki taap se pahad larza bar andam ho jate, Magar sirf ek bad nasib ke gunah ke sabab yesi nuhusath fail gayi ki malayika lashkar se alag ho gaye aur taun ke azab ne pure lashkar me yesi abathri faila di ki pura lashkar bikhar jaya aur ye foze zafar moze nakam va na murad ho kar paspa ho gayi.    
                   Iss liye Musalmano ko lazim hai ki agar vo kuffar ke mukhable me muzaffar va mansoor aur fatahyab hona chahate hain to har vakht gunahon aur badkariyon ki nuhusaton se bachate rahen varna farishton ki madad khatam ho jayegi. Aur musalmano ka rob kuffar ke dilon se nikal jayega aur musalmano ko na sirf nakami ka muh dekhna padega balki in ki askari takhat hi fana ho jayegi aur puri khom safhe hasti se harfe ghalat ki tarha mit jayegi.