A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 1:14:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Yun To Sabhi parinde Hazrate Suleman Alaihis Salam ke Musakhkhar Aur tabey farman the. Lekin Aap ka HudHud Aap ki farmaa bardari aru khidmath guzari me bahut mashhur hai. Isi Hud-Hud ne Aap ko Mulke Saba ki malika "Bilkhis" ke bare me khabar di thi ki voh ek bahut bade takht par bait kar saltanath karti hai aur badshahon ke shayane shaan jo bhi saro saman hota hai vo saab kuch uss ke pass hai magar vo aur uss ki  khom sitaron ke pujari hain. Iss khabar ke baad Hazrate Suleman Alaihis Salam ne bilkhis ke naam jo qhath irsal farmaya, uss ko yehi Hud-Hud le kar gaya tha. Chunanche, Quran e Karim ka irshad hai ki Hazrate Sulaiman Alaihis Salam ne Farmaya:

                 "Tum Mera Ye Qhath le kar jao. Aur un ke paas ye qhath dal kar fir un se alag ho kar tum dekho ki vo kai javab dete hain"

Chunanche, Hud-Hud Qhath le kar gaya aur bilkhis ki god me uss qhath ko upar se gira diya. Uss waqth uss ne apne gird umra aur arkhane saltanath ka majmA ikhatta kiya fir khat ko pad kar larz bar andam ho gayi aur apne arakin se ye kaha ki

Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Ye sardaron! Beshak meri taraf ek izzath vala qhath dala gaya beshak vo Suleman ki Taraf se hai aur beshak vo Allah ke naam se hai jo nihayath meharban raham vala ye ki mujh par Bulandi na chaho aur gardan rakhte mere huzur hazir ho.

        Qhath suna kar bilkhis ne apni saltanath ke amiron aur vaziron se mashvara kiya to un logon ne apni takhat aur jangi maharath ka yelan va izhar kar ke Hazrate Suleman Alaihis Salam se jangh ka irada zahir kiya. Uss waqht akalmand bilkhis ne apne amiron aur vaziron ko samjhaya ki jangh munasib nahi hai kuinki iss se shahar viran aur shahar ke izzathdar bashinde zalilo khwar ho jayenge. Iss liye main ye munasib khayal karti hun ki kuch hadaya va tahayif un ke pass bhej dun iss se imtihaan ho jayega ki hazrate Suleman sirf badshaha hain ya allah azzavajal ke nabi bhi hain. Agar vo nabi hogen to hargiz mera hadiyya khabul nahi karenge balki ham logon ko apne din ke ittibaA ka hukum denge aur agar vo sirf badshaah honge to mera hadiyya khabul kar ke narm ho jayenge. Chunanche, Bilkhis ne panch so(500) ghulam aur 500 longiyan behtarin libas aur zevaron se arasta kar ke bheje aur in logon ke saath 500 sone ki inten, aur bahuth se javahirath aur mushko ambar aur ek jadav taj ma Qhath ke apne khasid ke saath bheja. Hud-Hud Saab dekh kar ravana ho gaya aur Hazrate Suleman Alaihis Salam ke darbar me Aa kar Saab khabaren pahuncha di. Chunanche, Bilkhis ka khasid jaab chand dino ke baad tamam samano ko le kar darbar me hazir huva to hazrate suleman Alaihis Salam ne gazab naak ho kar khasid se farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Farmaya kai maal se meri madad karte ho to jo mujhe Allah ne diya vo behtar hai uss se jo tumhen diya balki tumhin apne tohfe par khush hote ho palat jaa un ki taraf to zarur ham un par vo lashkar layenge jin ki unhen taqhath na hogi aur zarur ham un ko uss shahar se zalil kar ke nikal denge yun ki vo past honge.

     Chunanche, Iss ke baad jaab khasid ne vapas Aa kar bilkhis ko saara majra sunaya to bilkhis Hazrate Suleman Alaihis Salam ke darbar me Hazir ho gayi aur Hazrate Suleman Alaihis Salam ka darbar aur yahan ke Ajayibath dekh kar uss ko yakhin Aa gaya ki Hazrate Suleman Alaihis Salam Khuda Azzawajal ke nabiyye barhaq hain aur in ki saltanath Allah Tala hi ki taraf se hain. Hazrate Suleman Alaihis Salam ne bilkhis ko apne din ki davath di to uss ne nihayath hi ikhlas ke saath islam khabul kar liya fir Hazrate Suleman Alaihis Salam ne Bilkhis se Nikah kar ke uss ko apne mahal me raakh liya.

      Iss silsile me Hud-Hud ne jo karname Anjam diye vo Bilashuba Ajayibate Aalam me se hain jo Yakhinan Hazrate Suleman Alaihis Salam ke mojizath me se hain.