A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:02:00 AM by shayarkishayari in    No comments

"Raas" Lugat me purane kuvve ke mana me ata hai iss liye "Ashaburras" ke mana huve "Kuvve vale"
Allah Tala ne Qurane Majid me "Ashaburras" ke naam se ek khom ki sarkashi aur nafarmani ki vajah se uss ki halakat ka zikr farmaya hai. Chunanche, Surah e Furkhan me Irshad Farmaya ki:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Aur Aad aur Samud aur Kuvve valon ko aur in ke bich me bahut si sangaton aur ham ne saab se misalon byan farmayi aur saab ko tabah kar ke mita diya.

         Aur surah Khaa me halak shuda khomo ki fehristh bayan karte huve allah tala ne iss tarha farmya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                   In se pahle jhutlaya nooh ki khom aur raas valon aur samud aur Aaad  aur firon aur looth ke ham khomo aur ban valon aur tubba ki khom ne in me har ek ne rasoolon ko jhutlaya to mere azab ka vada sabith ho gaya.

         "Ashaburras Kon The? aur kahan rahte the ? iss bare me mufassirin ke akhval iss khadar muqhtalif hain ki hakhiqhate haal bajaye munkashif  hone ke aur ziyada mastur ho gayi hai. bahar haal ham mukhtasaran chand akhval yahan zikr kar ke ek apni bhi pasandida baath tahrir karte hain.

Khol E Avval:

              Allama Ibne Zarir ki ray ye hai ki "Raas" ke maana Ghaar ke bhi ate hain. iss liye "ashabul akhadud" (gadevalon hi ko "Ashaburras" bhi kahte hain.

Khol E Duvum:

                Ibne asakir ne apni tarikh me iss khol ko haq bataya hai ki "ashaburras" khome Aad se bhi sadiyon pahle ek khom ka naam hai ye log jis jagah Aabad the vahan Allah Tala ne ek Paighambar hazrate hanzala bin safvan ko mabus farmaya tha uss sarkash khom ne apne nabi ki baath nahi mani aur kisi tarha bhi haq ko khabul nahi kiya balki apne Paighambar ko khathl kar diya. Jis saza me puri khom azabe ilahi se halak va barbad ho gayi.

Khol E Sivum:

               Ibne Abi hatim ka khol hai ki azar bayijaan ke kharib ek kuva tha uss kuvve ke kharib jo khom Aabad thi uss ne apne nabi ko khvve me daal kar zinda dafan kar diya tha. iss liye in logon ko "ashaburras" kaha gaya.

Khol E Charum:

                Khatada kahte hain ki "Yamama" ke alakhe me "Falaj" nami ek basti thi "ashaburras" vahi abad the aur ye vohi khom hai jis ko Quran e Majid me  "Ashabul Khariyah" bhi kaha gaya hai aur ye mukhtalif nisbaton se pukare se pukare jate hain.

Khol e Panjum:

               Abu bakkar umar nakkash aur suhaili kahte hain ki "ashaburras" ki abadi me ek bahut bada kuvvan tha jis ka pani vo log pite the aur iss se apne kheton ki Aabpashi bhi karte the aur in logon ne gumrah ho kar apne Paighambar ko khatal kar diya tha, Iss jurm me Azab Ilahi utar pada aur ye puri khom halak va barbad ho gayi.

Khol e Shashum:

               Mohammed Bin Kaa'b khurzi farmate hain ki Huzur Alaihis Salam ne farmaya ki 
                     Yani jannath me saab se pahle jo shakhs dakhil hoga vo ek kala ghulam hoga.

          Aur ye iss liye ki ek basti me allah tala ne apna ek nabi bheja magar ek kale ghulam ke siva koi un par imaan nahi laya fir ahle shahar ne uss nabi ko ek kuvve me daal kar kuvve ke muh ko ek bhari phattar se band kar diya, taki koi khol na sake. magar ye siyah farma ghulam rozana jangal se lakdiyan kaat kar lata aur in ko farokh kar ke khana kharidta aur kuvve par pahunch kar patthar uthata aur nabi ki khidmath me khana pesh karta tha. Kuch dino ke baad allah tala ne iss ghulam par jangal me nind tari kar di aur ye 14 saal tak sota hi rah gaya iss darmiyan me khom ka dil badal gaya aur in logon ne nabi ko kuvven me se nikal kar toba kar li aur Imaan khabul kar liya fir chand dino ke baad nabi ki vafath ho gayi. 14 saal ke baad jab kale ghulam ki Aankh khuli to uss ne samajha ki main chand ghante soya hun janldi lakdiyan kaat kar vo shahar me pahuncha to ye dekh kar ki shahar ke halath badle huve hain daryaft kiya to sara khissa malum huva aur yisi ghulam ke mutalliq nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam ne irshad farmaya ki jannath me sab se pahle ek kala ghulam jayega.

Khol E Haftum:

                  Mashhur muarrikh allama masoodi bayan karte hain ki "ashaburras" hazrate ismayil alaihis salam ki avlad me se hai aur ye do khabile the "khaidma"(kaidmah) aur dusra "yamin" ya "Raa'vil' aur ye dono khabile yaman me abad the.

Khol e Shashtum:

               Missar ke ek alim farzullah zakkir kurdi kahte hain ki lafz "Raas","Aars" ka mukhaffa hai aur ye shahar kafakaz ke alakhe me vakhe hai iss vadi me allah tala ne ek nabi ko mabaus farmaya jin ka naam ibrahim zardasht tha. inhone apni khom ko dine haq ki davath di magar in ki khom ne sarkashi aur baghavath iqtiyar ki chunanche, ye khom azabe ilahi se halak kar di gayi. 

              "Ashaburras" ke bare me ye 8 Akhval hain jin me se sabhi akhval maruze bahas me hain aur logon ne in akhvaal va rivayath par kafi raddo kadha kiya hai jin ki tafsilath ko zikr kar ke ham apni mukhtasar kitab ko tul dena pasand nahi karte khulasa e kalam ye hai ki "Ashaburras" ke bare me Quran e Majid se itna to Pata chalta hai ki in logon ka vajud yakhinan hazrate Isa alaihis salam ke darmiyan ke zamane ki kisi khom ka tazkira hai ya kisi khadimul ahad khom ka zikr hai to Quran e Majid ne iss ke bare me kuch bhi bayan nahi farmaya hai aur mazkuraye bala tafsiri rivayaton se iss ka katayi faisla hona bahut hi mushkil hai.