A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:19:00 AM by shayarkishayari in    No comments

Kuffare Makka ne Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam se Mojiza talab kiya to Aap ne chand ko 2 tukde kar ke dikha diya ek tukda " Jabale Abu Khubais" par nazar aya aur dusra tukda "jabale  Kayikhaan" par dekha gaya iss tarha chand ko do para kar ke huzur alaihis salam ne kuffare makka ko dikha diya aur farmaya ki tum log gavah ho jao.

      Ye dekh kar kuffare makka ne kaha ki mohammad sallallahu alaihi o sallam ne jadu kar hamari nazar bandi kar di hai iss par unhi ki zamaAth ke logon ne kaha ki agar ye nazar bandi hai to makka se bahar ke kisi admi ko chad ke hisse nazar na aye honge.lihaza Aab bahar se jo kafile ane vale hain un ki zastaju rakho aur musafiron se daryaft karo agar dusre makhamath se bhi chand ka shak hona dekha gaya hai to beshak ye mojiza hai. chunanche, safar se ane valon se daryaft kiya gaya to unho ne bayan kiya ki ham ne dekha ki uss roz chaand ke do tukde ho gaye the iss ke baad mushrikin ko inkar ki guzarish na rahi lekin vo log Aapne inad se iss ko jadu hi kahte rahe. ye mojizaye azim sihah ki Aahadise kasira me mazkura hai aur ye hadis iss khadar darja e shohrath ko  pahunch gayi hai ki iss ka inkar karna akhal va insaaf se dushmani aur be dini hai.

        Allah Tala ne iss mojize ka bayan Quran Ki Surah e khamar me in alfaaz ke saath bil yelaan farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                 Paas Aayi khiyamath aur shak ho gaya chand aur agar dekhen koi nishani to muh ferte aur kahte hain ye to jadu hai chala Aata aur unhon ne jhutlaya aur apni khwahish ke piche huve aur har kaam karar pa chuka hai.

Darse Hidayath:

              Mojizath "Shakkul Kamar" Huzur Khatimunnabiyin Sallallahu Alaihi O Sallam ka ek be misal mojiza hai jo iss ayate karima aur bahut si mashhur hadison se sabit hai ham ne apni kitab "siratul Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam" main iss masale par sire hasil bahas ki hai iss ke mutale se itminane kalb aur jilaye imaan hasil kijiye.