A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 9:57:00 AM by shayarkishayari in    No comments

"Hasur" Yaman ka ek Gaon tha iss gaon valon ki hidayath ke liye Hazrate Musa Bin Imran se bahut Pahale Allah Tala ne ek nabi bheja jin ka naam Musa Bin Misha Alaihis Salam tha jo Hazrate  Yakhub Alaihis Salam ke parpote the. Gaon valon ne Aap ko jhutlaya aur fir Aap ko katl kar diya iss najayiz harkat par khuda ka kaharo gazab aur uss ka azab gaon valon par utar pada. gaon vale tarha tarha ki balaon me giriftar ho gaye yahan tak ki "Bakhth Nasar" kafir va zalim badshaah iss gaon par musallath ho gaya. aur us ne nihayath hi bedardi ke saath pure gaon ke tamam mardon ko khatal kar diya aur saab auraton ko giriftar kar ke londi bana liya aur shahar ko takhto taraz kar ke uss ki Yit se Yit baja di. Jab shahar me khatle Aam shuru huva to gaon vale bhagne lage uss vaqht farishton ne batore mazakh ke kaha ki " Ye gaon valogn! math bhago aur apne gharon me apne maal va dolath ko le kar aram va hasin zindagi basar karo. kahan bhag rahe ho? taharo! ye ambiya alaihis salam ke khoone nahaq ka badla hai jo tumhen mil raha hai" asman se malayika ki ye avaz pure gaon valogn me ati rahi aur "Bakht Nasar" ke lashkaron ki talvaren in ke saar udati rahi jab gaon valon ne ye manzar dekha to apne gunahon aur zurmo ka ikhrar karne lage magar un ki ahozari aur girya va bekharari ne un ko koi nafa nahi diya. Gaon me har taraf khoon ki nadiyan bah gayi aur sara gaon tahas nahas ho gaya. Qurane Majid ne in logon ki halakat va barbadi ki dastan ko in lafzon me bayan farmaya hai:
Tarzuma e Kanzul Imaan
 
                    Aur kitni hi bastiyan ham ne tabah kar di ki vo sitamgar thi aur un ke baad aur khom pada ki to jab inhone hamar azab paya jabhi vo uss se bhagne lage, na bhage aur lot ke jao un asayishon ki taraf jo tum ko di gayi thi aur apne makano ki taraf shayad tum se puchna ho, bole hai kharabi harari beshak ham zalim the to vo yehi pukarte rahe yahan tak ki ham ne unhen kar diya kate huve bujhe huve.

         Aur baaz mufassirine kiram ne farmaya hai ki iss ayath me gaon se murad guzashta halak shuda ummaton ke gaon hain. yani hazrate nooh va hazrate looth va hazrate saleh va hazrate shoyeb alaihis salam ki khomo ki bastiyan jo tarha tarha ke azabon se halak va barbaad kar di gayi.

Darse Hidayath:

Hazrate Ambiya Alaihis Salam ki takzib va tohin aur in ki yiza rasani ba khatl ye saab bade bade vo zurme azim hai ki khudavande khuddus ka azab in logon par zarurath ata hi hai. chunanche, Qurane Majid  gavah hai ki bahuth si bastiyan inhin zurmon me tabah va barbad kar di gayi.