A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 5:35:00 PM by shayarkishayari in    No comments

Hazrate Suleman Alaihis Salam ka ye bhi ek khas mojiza aur Aap ki nabuvath ka khususi imtiyaz tha ki allah tala ne "Hava" ko in ke haq me musakhar kar diya tha aur vo in ke zere farman kar di gayi thi. chunanche, Hazrate Suleman Alaihis Salam jab chahte to subah ko ek mahine ki masafath aur shaam ko ek mahine ki masfath ki mikdar hava ke desh par safar kar lete the.

           Quran e Karim ne Aap ke iss mojize ke mutallik 3 baten bayan ki hai. ek ye ki hava ko hazrate suleman alaihis salam ke haq me musakhkhar kar diya. dusre ye ki hava in ke hukum ke iss tarha tabeA thi ki shadid tez va tund hone ke bavazud in ke hukm se narm aur ahista ravi ke bayis rahta ho jati thi, tisri baath ye ki hava ki narm raftari ke bavajud uss ki tez raftari ka ye alam tha ki hazrate suleman alaihis salam ke subah va shaam ka zuda zuda safar ek shaah suvar ke musalsal ek maah ki raftar ke barabar tha gaya hazrate suleman alaihis salam ka taqth engien  aur machine jaise zahiri asbab se bala tar sirf in ke hukum se ek bahut tez raftar havayi jahaz se bhi zaida tez magar sabak ravi ke saath hava ke kande par uda chala jata tha.

        Iss makham par takhte Suleman aur Aap ke safar ke mutallik jo tafsilath sirath ki kitabon aur tafsiron me mankhul hai in me bahut se vakhiath israeliyath ka zakhira hai jin ko baaz vaizin bayan karte hain magar vo khabile etibar nahi aur in par bahut se yetirazath bhi varid hote hain Quran e Majid ne iss vakhiye ke mutallik sirf iss khadar bayan kiya hai ki:

Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Suleman ke liye tez hava musaqqar kar di ki iss ke hukum se chalti uss zamin ki taraf jis me ham ne barkath rakhi aur ham ko har chiz malum hai.

    Aur Surah "Saba" me ye irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Suleman ke bas me hava kar di uss ki subha ki manzil ek mahine ki raah aur shaam ki manzil ek mahine ki rah.

       Aur Surah Saah me farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  To ham ne hava uss ke bas me kar di ki uss ke hukum se narm naram chalti jaha vo chahta.