A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 4:59:00 PM by shayarkishayari in    No comments
surah Tauba Ayat 128-129

(surah Tauba Ayat 128-129)

Sab se pahle to Aap in Ayath ko quran paak se sahi sahi talaffuz ke sath yaad kar len. in Ayat ki bahut hi Shaan hai or in main bahut se khazane pinhan hain. in ayath main saaf saaf Huzoor Paak Sallallahu Alaihi O Sallam ki tarif bayan ki gayi hai. Aap ko ye karna hai rozana har waqt ziada se zaida jitna bhi ho sake in  ayat ka wird karte rahana hai,chalte phirte uthte paithte wadu be-wadu padte rahena hai. Aap aik hafte ke under hi is ke asraat dekhna shuru kar dein ge. Aap ke officers/boss ki nazron main app ka rob or dabdaba qaim ho jaye ga wo or dusrey log rishtedaar app ko ahmiyat dena shuru kardenge iss mai aik or maze ki baat ye hai ki iss me koi pabandian waghaira bhi nahi hain. yani agar padne ke doran Aap ki tawajju nahi hai tab bhi koi masla nahi hai bus Aap parhte rahena or phir Insha Allah Azzawajal Aap ki mushkilaat ka hal ghaib se nikalna shuru ho jaye ga dunya ki koi museebat Aap ko gham nahi pohncha sakega Aap is par amal kar ke dekhen is main to koi qaid o pabandi bhi nahi hai. bas sabr or yaqeen o ummid se ise padte rahana hain aur padne ke dauran waqtan-fawaqtan darood paak bhi parhtay rahen hai.