HUSSAINI QAFLA KOOFE ME.
Garz Ke Mukhtalif Manzile tay Karta huwa Ahle baite Athar 12 Afrad ka Loota Huwa Qafla
Askiya-E-Koofa Ki Hirasat me Koofa Pahoch Jata hai.
Ahle Koofa Ne Apne Sehar Ke Kuncha-Wa-Bazar me Aane Wale Ba'wikar Muazziz Mehmano Ki Alam Angez Mazloomiyat Ka Nazara Kin Aankho Se Dekha Aur Kis Dil se Bardasht kiya Yeh Dardnaak Dastan hai.
Governer Koofa Ibne Ziyad khabees Apne Darul Imarat Ko Aarasta Kiye Huwe Puri Rau'nat Ke Sath Sa'date Majlis bana Betha hai, Ahle Baite Athar Qaidiyo Ki Trah Bhare Darbar me Bulata Hai Medane Karbala me Shimar, Ibne Sa'ad, Khawli, Sinan, Ibne Anas, Wagera Khandane Nabuwwat ki Izzat-O-Aabru Se khel chuke hai.
Aur Ab Ibne Ziyad ki Bari thi Imam-E-Aali Maqam ka ser Mubarak Ibne Ziyad Ke Samne rakha huwa hai Zaleem Intehayi Khushi Ke Alam Me Kehta hai Ke Khuda Ka Shukr Hai Ke Humne Dushmano Par Fateh Payi.
Humare Dushmano Par Allah Ne Sakhti Dali, Batil Mitt Gaya Aur Haqq Galib Raha.
Maaz'allah.
KARBALA KE BAA'AD Part - 06
2016-06-08T22:33:00+05:30
shayarkishayari
Karbala|Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara