A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 12:17:00 PM by shayarkishayari in    No comments

 Sahibe Avlad Aur Banj : Allah Tala ka dastur ye hai ki vo kisi ko sirf beti ata farmata hai aur kisi ko sirf beta deta hai aur kuch logon ko beta aur beti dono hi ata farma diya karta hai. aur kuch yese log bhi hai jin ko banj bana deta hai na unhen beti deta hai na beta aur ye dasture khudavandi sirf Aam insano hi tak mahdud nahi balki uss ne apne khaas va makhsus bandon yani hazrate ambiya alaihis salam ko bhi iss khusus me charon tarha ka banaya hai. Chuchanche, hazrate loot aur hazrate shoyeb Alaihis salam ke sirf betiyan hi thi koi beta nahi tha aur hazrate ibrahim alaihis salam ko sirf bete hi bete the koi beti huyi hi nahi. Aur Huzur Khatimunnabiyyin Sallallahu Alaihi O Sallam ko Allah Tala ne char bete aur char betiyan Ata farmayi aur hazrate isa va hazrate yahya alaihis salam ke koi avlad hi nahi huyi.

         Quran e Majid me rabbul Izzath Jalla Jalalahu ne in mazmun ko in alfaz me bayan farmaya hai ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Jise chahe betiyan ata farmaye aur jise chahe bete de ya dono mila de bete aur betiyan aur jise chahe banj kar de beshak vo ilm va khudrath vala hai.

Darse Hidayath

             Allah Tala beti de ya beta de ya dono ata farmaye ya banj bana de bahar hal ye sabhi khuda ki nematen hain. Mazkuraye bala ayat ke akhiri hisse yani "Innahu alimun Khadirun" me isi taraf ishara hai ki kon iss ke layiq hai ki uss ko beti mile aur kon iss khabil hai ki uss ko beta mile aur kon iss ki ahliyyath rakta hai ki uss ko beta aur beti dono milen aur kon yesa hai ki uss ke haq me yehi behatar hai ki uss ke koi avlad hi na ho in baton ko allah tala hi khub janta hai kuinki vo bahut ilm vala aur badi khudrath vala hai. insan apne hazar ilm va agahi ke bavajud iss muamle ko nahi janta ki insan ke haq me kai behtar hai aur kai behtar nahi hai Quran e Majid me Allah Tala ne irshad farmaya hai ki 
Sahibe Avlad Aur Banj
Sahibe Avlad Aur Banj
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Kharib hai ki koi baath tumhen buri lage aur vo tumhare haq me behtar ho aur kharib hain ki koi baath tumhen pasand Aaye aur vo tumhare haq me buri ho aur allah janta hai aur tum nahi jante.

          Iss liye bandon ko chahiye ki agar apni khwahish ke mutabik koi chiz na mil sake to hargiz naraz na ho balki ye soch kar sabr karen ki ham iss chiz ke layiq hi nahi the iss liye hame khuda ne nahi diya vo alim va khadir hai vo khub janta hai ki kon kis chiz ka ahal hai aur kon ahal nahi hai.

               Iss Ke Altaf To Hai Aam Shahidi Saab Par 
               Tujh Se Kai Jid Thi? Agar Tu Kisi Khabil Hota

Betiyan: Iss zamane me dekha gaya hai ki baaz log betiyon ki paidayish se chidte hain aur muh bigad lete hain balki baaz bad nasib to ul ful bak kar kufrane nemath ke gunah me mubtala ho jate hain. bazeh rahe ki betiyon ki paidayish par muh bigad kar naraz ho jana ye zamanaye zahiliyyat ke kuffar ka manhus tariqa hai. Chunanche, Allah Tala ka irshad hai ki.
     
Sahibe Avlad Aur Banj
Sahibe Avlad Aur Banj
  Tarjuma e Kanzul Imaan

                    Aur jab in me kisi ko beti hone ki khush khabari di jati hai to din bhar uss ka muh kala rahta hai aur vo gussa khata hai logon se chupta firta hai iss bisharath ki burayi ke sabab kai ise zillath ke saath rakhega? Ya ise mitti me daba dega are bahut hi bura hukum lagate hain.

          Khub samaj lo ki musalmano ka islami tarikha ye hai ki betiyon ki paidayish par bhi khush ho kar allah tala ki iss nemath ka shukr ada kar aur mundrijaye zail hadison ki bisharath par imaan rakh kar saAdate darain ki karamaton se sarfaraz ho.

          Huzur Sallallahu alaihi o sallam ne mundrijaye zail hadise irshad farmayi hai:

1. Aurath ke liye ye bahut hi mubarak hai ki uss ki pahli avlad ladki ho.

2. Jis shaqs ko kuch betiyan mili aur vo un ke saath nek suluk kare yahan tak ki kumfu me un ki shadi kar de to vo betiyan uss ke liye jahannam se ada ban jayengi.

3. Huzur Alaihis Salam ne farmaya ki tum log betiyon ko bura mat samajho, iss liye ki mai bhi chand betiyon ka baap hun.

4. Jab koi ladki paida hoti hai to Allah Tala farmata hai ki ye ladki! tu zamin par utar. Main tere baap ki madad karunga.