A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 3:42:00 PM by shayarkishayari in    No comments


Aaj kal gandagi Aam hone ke waja se bawaseer ka masla badgaya hai.Sab se pahle to ye cheez Aap ko bata doon ki jitna bhi ho sake to apne ghar ke ilawa kisi or jaga ka washroom istemaal na karen.Aur garam or taiz masalon wali cheezain na kaayen or apne zehan ko gande khayalaat se paak rakhen. Ab ata hun ilaj ki taraf Agar koi khooni bawaseer main mubtala hai to use bus itna karna hai ke Surah Al Baqhra ki Ayat Number 127 ko rozana subah or shaam 41 baar pad kar kisi bhi mashroob pai dam kar ke pee lia kare or is ke saath saath din bhar " Ya Quddusu Ya Salamu" ka wird karta rahe. aur chaiy(Tea) ka istemaal bahut kam karen.
On 3:16:00 PM by shayarkishayari in    No comments


Har insaan ki ye khwahish hoti hai ke o sab log jin se bhi wo milta julta hai wo us ki izzat karen or wo muashre me izzat paye. To is khwahish  ko pura karne ke liye ye Asaan sa wazifa pesh-e-khidmat hai. Aap ko sirf itna karna hai ke rozana baad namaz-e-Isha "Ya Wadudu Ya Raufu Ya Raheemu" ko 303 baar padna hai or awal aur akhir 3 bar darood sharif padna hai phir is ke baad Allah Pak se is ibadat ke waseele se apne maqsad ke liye dua karain.
On 10:33:00 PM by shayarkishayari in ,    No comments

HUSSAINI QAFLA KOOFE ME.

Garz Ke Mukhtalif Manzile tay Karta huwa Ahle baite Athar 12 Afrad ka Loota Huwa Qafla 
Askiya-E-Koofa Ki Hirasat me Koofa Pahoch Jata hai.

Ahle Koofa Ne Apne Sehar Ke Kuncha-Wa-Bazar me Aane Wale Ba'wikar Muazziz Mehmano Ki Alam Angez Mazloomiyat Ka Nazara Kin Aankho Se Dekha Aur Kis Dil se Bardasht kiya Yeh Dardnaak Dastan hai.

Governer Koofa Ibne Ziyad khabees Apne Darul Imarat Ko Aarasta Kiye Huwe Puri Rau'nat Ke Sath Sa'date Majlis bana Betha hai, Ahle Baite Athar Qaidiyo Ki Trah Bhare Darbar me Bulata Hai Medane Karbala me Shimar, Ibne Sa'ad, Khawli, Sinan, Ibne Anas, Wagera Khandane Nabuwwat ki Izzat-O-Aabru Se khel chuke hai.

Aur Ab Ibne Ziyad ki Bari thi Imam-E-Aali Maqam ka ser Mubarak Ibne Ziyad Ke Samne rakha huwa hai Zaleem Intehayi Khushi Ke Alam Me Kehta hai Ke Khuda Ka Shukr Hai Ke Humne Dushmano Par Fateh Payi.

Humare Dushmano Par Allah Ne Sakhti Dali, Batil Mitt Gaya Aur Haqq Galib Raha.

Maaz'allah.


On 10:17:00 AM by shayarkishayari in ,    No comments


Istakhara yani ki Aleem O Kabeer ki zaat se mashwara karna. aur Hadis E Mubarika me Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ne Istekhara ki taleem,As'hab E Rasool Allah ko istekhara ki taleem dene aur tal'kin ke saboot maujud hain. Ye aisa amr hai jispay amal karne wala kabhi nuqsani me nahi rahta.Hamare liye kai bhala hai kai bura hai sivaye hamare Mabood ke kon jan sakta hai?

main ne ek hi post me istekhare ke chand istekhare likh rahanun.

istakhare me kabhi khwab nahi bhi Aata to jitne din ki muddat likhi ho utnay din karli jayen aur phir bhi khwab me koi nishandehi na ho to samajle ki ye kaam apki marzi pe choda gaya hai ki kare ya na kare matlab ki ek may karenge to koi khas faida nahi hoga na nuksan. darmiyani darjay ka hoga.

Aur kuch hazrat ko khwab yad nahi rahne ki shikayat hot hai. To wo raat ko kam khaya kare aur sote waqt nim garam dood pi kar soya kare. aur achche khwab aksar yaad na rahte ho uski wajah haram gheeza hoti hain. esliye istakhare ke ayyam me roza rakha jayen to behtar hai aur pak saf aur halal rizq ka estemal kiya jayen.waise to hame rozana halal hi lukma khana aur khilana chahiye.allah ham sab ummate muslim ko halal rizq atafarmaye.

Zindagi ke koi bhi aham faisle bagair istekhare ke na kare.shadi karobar beroni safar,partnership,kharido farokht rishta court ke mamlat ho ya rohani masaeel ho. istakhare se hi madad le, jadu aseb ka shaq hot bhi istekhara karliya jayen. zaroor nishandehi milegi hi milegi. phir elaj ki taraf ruju kiya jayen. aur har istekhare se pahle 11 martaba Ayatul kursi pad kar dono hatheliyon pe dam kar pure badan pe pherliya jayen. ye badni hisar ho jayega aur koi shaitani malhlooq roday nahi dalegi.paak saaf halat me pak saaf bistar pe bawazu aur itar laga libas pahan kar sunnat tariqhe se istakhara Aap par khul jayen use hi apnalay kabhi ye khabi wo na zamaya karen. ek hi istekhare se Aap ko bahut faida hoga.ummid hai Aap esse khub faida uthayenge.


Mujarrib istekhare


istekhara ke mani talab e kair ke hain,bhalayi ya burayi se Aagahi hasil karna.Kam Kam Aagaz karne se pahle istekhara karna yani apne apkore se mahfooz karna hai. istekhara ka ek azeem faida ye hai ki agar istekhara ka natija bhi yehi nikalta hai kam nek mufeed aur natija bakhsh sabit hone wala hai to amal ki barkat se rab ki anjam ko pahochta hain. aur agar jawab me "NA" Aata istekharah natijabash amal hai.masnoon hai.jab koi Aagahi ke liye istekharah kare, taki badme ise koi pareshani na ho hame istekhara bahut hi kaam deta hai. amaliat me istekhara jahmat se bachata hai aur agar rab ki janib se ha bhi mili to kaam pe ek kamyabi ki mohar bhi lag jati hai.

Yahan kuch Azmuda tareeqhe note kijiye.

Istekhara 01:


Ye silsila Qhadriya ka khaas istekhara hai aur bahut hi takhatvar hai.Aap zarur Azmayiye. Baad-Namaz e Isaha jab sone ka irada ho to paak saaf libas ke saath bawazu 2 rakat namaz e nafil ada kare. Namaz me har bar rakat me surah e fateha ke baad 303 martaba suraha e ikhlas sharif parhe, Ab junoob ki taraf mooh karke ye 3 Asma ko 111 bar pade aur qibla rukh ho kar ise 3 Asma ko padte padte so jayen. Insha allah pahli hi raat me jawab mil jayega,jiske liye apne ye istekhara kiya hai.
اَلنورُ الظَاھِرُ اَلۡباسطُ
Al Nooru Al Zaahiru Al Basitu

Istekhara 02:


Aap Sallahu Alaihi wa sallam ne farmaya ki jab tum kisi kaam ke shuru karne se pahle istekhara kiarliya karo. taki eske zariye se Rabbul Izzat tumhe us kaam ki bhalayi aur burayi ya nafa ya nuqsan se Aagah farma de. Istarha banda apne kaam me rab se mashwarah talab karta hai ki karun ya nahi?aur isse baad kar ya baat ho sakti hai ki ham khuda e paak se salah le kar kaam kare . khususan mere nazdik wo kaam hargiz zawal ka mooh nahi dekh sakta jo khaliqe  haqeeqi ke isharah par shuru kiya gaya ho.esliye istekhara nihayat zaroori aur lazmi amal hai. jo buzurgon se chala araha hai.Salatul istekhara paden aur jisme kisi soorat ki qaid nahi jo dil chahe wo pade.salam ke baad 101 bar darood sharif pade aur
101 bar
 یا خبیرُ اخبرنِیْ  
101 Bar
یا رشیدُ اُرشدنی
101 bar
یا ھادیُّ اِھدِنِی
101 bar
یا علیمُ علّیمنِی
Aur akhir me
101 bar darood e Paak pad kar dua mange ki falan kaam ke mutalliq Aagahi bakhshe aur phir usi jagah musalle pe so jayen. Inshaallah usi raat me Aapko Aap ka jawab mil jayega.Agar Khuda na khwasta pahli raat me maloom na ho 3 Raat tak amal kare teen raat me zaroor kamyabi ho gi aur Aapko apna jawab mil jayega.Waqht isha ke baad ka hai. aur tanhayi me kiya jaye.

Istekhara 3


Paak saaf ho kar kisi tanha kamre me musalle pe bait kar pade 100 bar istagfaar pade. aur 261 martaba darood e paak pade. aur phir apne kaam ki bhalayi ya burayi maloom karne ki niyyat dil me rakhke, do rakat namaz ba'niyyat istekhara iss tarha pade ki pahali rakat khatam karke jab dusri rakat me jab
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
Par pahunche to iss Aayat sharif ki bila tadad takraar kare aur us waqht tak jary rakhe jab tak Aapki gardan khud ba khud Daini janib ko ghum na jayen. Jab gardan kisi bhi janib phir jaen to baqaya namaz ko ada kare,salam pherle. Aab agar Aapki gardan daini taraf(Right Side) Ghumi ho to kaam me kamyabi hai.Aur agar bayi(left side) ghume to kaam na kare aur karne me nuqsan hai.ye khulam khulla sarkashi hai aur jiska natija hargiz achcha nahi hota.

Koi bhi kaam ho istekhara qurani karna chahiye to insha allah jawab milta hai. jis jagah soye wo jagah Apka libas Aapka badan aur Apka bister bhi Paak rakh kar istekhara kare. Insha allah pahle hi din hi jawab mil jayega. aur kabhi batayi muddat me jawab na mile aur Aapne sabhi shart ko kayim rakhte istekhara kiya tha par jawab mudat e amal me na mila to iska matlab ye hota hai ki esmey na nafa hain na koi nuqsan ye Aap pe choda jata hai ki Aap chahe to kare chahe to na kare.

Istekhara jaez kaam ke liye karna chahiye aur farz ki adaigi ke liye ya aise baat ke liye istekhara nahi kiya jata. jaise koi main dhadi rakhun? main namazi banu?aur ek baat agar paichida kaam jahan Aapki aqhal ya dil jam nahi raha ayse kaam karne se pahle istekhara karlena chahiye.

On 2:19:00 PM by shayarkishayari in    No comments


Ek Masale ke roop me adrak ka istemal sadiyon se hota raha hai.adrak ka istemal morabba,Paak,Aachar ke shakal me kiya jata hai.Sauth to adrak se hi taiyaar hota hai.Sauth ka upyog garmiyon mein nahi karna chahiye, lekin adrak ka istemal kuch mikdath mein kiya ja sakta hai.

Aaiye jane tarha tarha ki bimariyon mein adrak kis tarha hamare kaam Aata hai.

KHANSI

Adrak aur nimbu ke Raas aur Sahad 3 ko sahi mikdath me milakar din me 2 baar piye.adrak ke raas main shehad milakar chatne se bhi rahat milti hai.

KHABZ

Adrak,azwain aur gud in tino ko sahi mikdath me kut le, ise ghee mein bhun kar paani dalkar pakaye.ise niyamit roop se khane se khabz ki shikayat door ho jati hai.

PEET MEIN JALAN YA DARD

apach ke karan peet main jalan ho tohdo ganne ka raas ek ganth adrak ke sath piye.gas se hone wali gale ki jalan bhi shant ho jayegi adrak aur pudina ka ras aur sendha namak milakar chai banaye.

GETHIYA

adrak ko barook katein aur taza ghee main bhunkar khaye. adrak ko til ke tel main garam karke is tel se jodon ki malish karen.

INFLUENZA YA FLU

adrak aur tulsi ke patte, kali mirch aur longinsab ko milakar chai banaye. teen char baar aisi chai ka istemal karen. influenza ya flu main rahat milegi.

MANDAGNI

adrak ka raas, nimbu ka raas aur sendha namak ek saath milakar khane se pehle lene se mandagni door hoti hai.aur khulkar bhookh lagti hai,isse cough,vayu vikar ka bhi shaman hota hai.

MASUDHON KI SUJAN

sauth ka churan paani ke sath istemal karne se masudon ki sujan aur daanton ke dard se chutkara milta hai.

BUKHAR

adrak aur pudine ka kadha banakar piye.ye thandi bukhar main bhi faydemand hai.

KAMJORI

sauth,bael ki giri,choti elichi,dalchini aur chuhara barabar matra main kut kar bareek powder bana le.ise roj subha-sham dood ke sath len.ya bimari ke baad ki kamjori ko door karta hai.


ULTI

adrak aur pyaz ka raas milakar peene se ulti door ho jati hai.