On 8:50:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Waliyon ke sardar,shahansha e bhagdad,sarkare ghousul azam [raziyallahu tala anhu] Aap ne madrase ke andar Ejtima me bayan farmarahe the ki chath par se ek Saamp Aap[raziyallahu tala anhu]par gira.samayin me bhagdad machgayi,har taraf khauf va hiras failgaya magar sarkare bhagdad[raziyallahu tala anhu] apni jagah se na hile.saamp Aap raziyallahu tala anhu ke kadon me ghusgaya aur tamam jism mubarakh se lipata huva gariban sharif se bahar nikla aur gardan mubarakh par lipatgaya. magar kurban jayia mere murshid shahansha e bhagdad raziyallahu tala anhu par ki zarra barabar na ghabrahe nahi bayan band kiya. Aab saamp zamin par Aagaya aur dum par khada ho gaya aur kuch kahakar chala gaya.log jama hogaye aur arz karne lage:huzur! saamp ne Aap [raziyallahu tala anhu] se kai baat ki? irshad farmaya:saamp ne kaha:"main ne bahut sare auliyalla [rahamat ulla alai] ki Azmaya magar Aap jaisa kisiko nahi paaya.
badi badi Akhon vala admi
Eisi saamp numa jin ki dusri khofnak hikayath suniye aur Ghous e paak [raziyallahu tala anhu] ki istikamat par Akhidat se sar duniye chunanche huzur shahansha e bhagdad Ghouse e paak [raziyallahu tala anhu] farmate hain: ek baar main jameya mansoor me masrufe namaz tha ki vahi saamp Aa aur us ne mere sajde ki jagah par sar rakh kar muh koldiya! maine use hatakar sajda kiya,magar Ooh meri gardan se lipat gaya phir Ooh meri ek astin me ghus kar dusri astin se nikala, namaz mukammal karne ke baad jab main ne salam fera to Ooh gayab hogaya. dusre roz jab main phir usi masjid me dakhil huva to mujhe ek badi badi Aakhon vala admi najar aya main ne use dekh kar andaj lagaliya ki E shaks insan nahi balki koi jin hai, Ooh jin mujse kahane laga ki main Aap raziyallahu tala anhu ko tang karne vala vahi saamp hun, main ne saamp ke roop me bahut sare Auliyallah [rahamath ulla alai]ko azmaya hai magar Aap [raziyallahu tala anhu] jaisa kisi ko bi sabith kadam nahi paya, phir Ooh jin Aap [raziyallahu tala anhu] ke daste haq parasth par tayib ho gaya
Saamp Numa Jin
2014-02-28T20:50:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara