A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 6:34:00 PM by shayarkishayari in    No comments
             
moslem

Balaghal ula bikamali kasha fadduja bijamalihi

Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi

Meyn buron say laakh bura sahi magar un say he mayra waasta

Mayri laaj rakhna mayray khuda yay tayray habeeb ki baat he

Karuun tayray naam pay jaan fida na bas eyk jaan do jahaan fida

Do jahan say bhi nahiin ji bhara karun kya karoron jahan nahiin

Tayray zikr ki he yay barkatayn mayray bigray kam sanwar ga-ay

Jahaan tayri yaad ho dilnasheen wahiin rahmaton ka nazool he

Tayri deed jis sko naseeb he wo naseeb qaabil e deed he

Tayra daykhna mayri eid he tayra rukh kalaam e majeed he

Aaway karma wali fayr o gharii phira meyn madinay gali gali

Fayr saadi wi howay haazri saaday waastay koii dua karay

Ho daruud tujh pay bhi aamina tayray chaand par bhi salam ho

Tayri goad kitni azeem he mila tujh ko maah e tamaam he

He yay aarzu jo ho surkhru milay do jahaan ki aabru

Meyn kahun ghulam huun apka wo kahayn kay hamko qabul he

Balaghal ula bikamali kasha fadduja bijamalihi

Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi.