A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:05:00 AM by shayarkishayari in    No comments
             
moslem

Kamli wala, kamli wala, kamli wala,kamli wala
Ya Nabi kamli orne wala, Apne kamli mein chupale

Wo hai badshah-e jahaan, Jameel-o-jaleel wo aisa, dur karde har ek gum ko, wo hain data aisa, mere Aka , mere aka, Kamli wala, kamli wala

Ya Nabi kamli orne wala, Apne kamli mein chupale

Arzoo hain wo, tamannah hai wo, ilahi ki haseen roshni hai wo, zindagi hai wo, bandagi hai wo, mere Aka , mere aka, Kamli wala, kamli wala

Ya Nabi kamli orne wala, Apne kamli mein chupale

Muzammil usi ka naam, Mudassir usi ka naam, hazir-o-Nazir wahi hain, zahir wahi hain, batin wahi, mere Aka , mere aka, Kamli wala, kamli wala

Ya Nabi kamli orne wala, Apne kamli mein chupale

Lakh kahe zamana, Bura Mujko, kuch nahi khabar mujko, mujhe bas yahi pata hain, dur kardega hare ek khata, mere Aka , mere aka, Kamli wala, kamli wala

Ya Nabi kamli orne wala, Apne kamli mein chupale

Nah roke koi is dil ko, mil gayi isko apni manzil, wahi hai jana baag-e-mustafa mein , apni ruh ko qurbaan karna, mere Aka , mere aka, Kamli wala, kamli wala

Ya Nabi kamli orne wala, Apne kamli mein chupale