On 3:57:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
ASMAN KE TARAF ROOZU
PAHALA ASMAN
Baitul Mukhaddas ke Muamlat se farig hone ke baad pyare pyare Aaka,Mithe Mithe Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam ne Asman ki taraf safar shuru farmaya aur har bulandi ko fast farmate huve tezi se asman ki taraf bade chale gaye,Aan ki Aan me pahala Asman Aa gaya.Rivayat me hai ki Aap Sallallahu Alaihi O Sallam iss ke ek darvaze par tashrif laye jise Babul Hafzah kaha jata hai,iss par ismayil nami ek farishta mukharrar hai.Hazrate Jibrayil Alaihissalam ne darvaza khulvana chaha.Pucha gaya:Kon hai? Hazrate Jibrayile Amin Alaihissalam ne Javab Diya: Jibril Hun.Pucha gaya:Aap ke Sath kon hain?Javab diya:Mohammad Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam .pucha gaya:kai inhe bulaya gaya hai?Javab diya:Han.Iss par kaha gaya:"Marhaba bihi Fanimal MajiOo JaaAa" Yani khush Aamadid.Kai hi Achcha Ane vala Aaya hai.." Fir darvaza khol diya.Jab Aap Sallallahu Alaihi O Sallam Darvaze se guzar kar Asman ke upar tashrif laye to dekha ki hazrate Adam Alaihissalam Tashrif farma hain.Hazrate Jibrayil Amin Alaihissalam ne Arz kiya:Yeh Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke valid Hazrate Adam Alaihissalam hain,Inhen Salam Farmayiye.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne salam kaha.Unho ne Salam ka javab diya,fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko khush Amadid kahate huve kahane lage:"Marhaba Bil Ibnissalihi Vannabiyis Salihi" "Yani Saleh Bete Aur Saleh Nabi ko Khush Amadid"Jannati Va Jahannami Arvah
Sayyide Aalam,Noore Mujassam Sallallahu Alaihi O Sallam ne hazrate ADAM Alaihissalam ke dayen bayen kuch logon ko mulahza farmaya,jaab Aap Alaihiss Salatu Vassalam Aapni Dayi janib dekhte to hass padte hain aur Jaab bayi janib dekhte to ro padte hain.Hazrate Jibrayil Alaihissalam ne Arz kiya:In ke dayi aur bayi janib jo ye suraten hain yeh in ki Avlad hain,Dayi Janib vale Jannati haiDUSRA ASMAN:
Iss ke bad pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ne dusre Asman ki taraf safar shuru farmaya,Aan ki Aan me dusra Asman bhi Aa gaya aur yahan bhi vohi Muamla pesh Aaya ki Hazrate Jibrayil Alaihissalam ne Darvaza Khulvana chaha.Pusha gaya:Kon hai?Hazrate Jibrayile Ameen Alaihissalam ne Javab diya:Jibrayil hun.Pucha gaya:Aap ke Saath kon Hai? Javab diya:Mohammed Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam.Pucha Gaya:Kai inhen bulaya gaya hai? javab diya:Han.Iss par Kaha gaya:Marhaba Bihi Fanimal MajiOo JaaA "Yani Khush Aamadid.Kai hi Achcha ane vala aya hai..."Fir darvaza khol diya.jab Aap Sallallahu Alaihi O Sallam darvaze se guzar kar Asman ke Upar tashrif laye to Hazrate YahYa Aur Hazrate Isa Alaihissalam ko mulahza farmaya,Yeh dono khala zad bhai hain.Hazrate Jibrayil Alaihissalam ne Arz kiya:Yeh hazrate YahYa aur Hazrate Isa Alaihissalam hain,Inhen Salam farmayiye.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne salam kaha.unho ne salam ka javab diya fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko khush Aamadid karte huve kahane lage: "Marhaba Bil Akhissalihi Vannabiyis Salihi" "Yani saleh bhai aur saleh Nabi ko Khush Aamadid".TISRA ASMAN:
Fir Tisra Asman ki taraf safar Shuru Huva,Jab Vahan Pahunche Hazrate Jibrayile Ameen Alaihissalam ne darvaza khulvana chaha. Pucha gaya:Kon hai?Farmaya:Jibrayil.Pucha gaya:Aap ke Saath kon hain?Farmaya:Mohammed Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam.Pucha gaya:Kai Inhe Bulaya gaya hai?Farmaya:Han.Iss par kaha gaya:Marhaba Bihi Fanimal MajiOo JaaAa "Yani Khush Amadid.Kai hi Achcha Ane vala Aya..."Fir Darvaza khol diya gaya.Darvaze se Guzar kar jab Aap Sallallahu Alaihi O Sallam Asman ke upar pahunche to Hazrate Yusuf Alaihissalam ko mulahaza farmaya.Hazrate Jibrayil Alaihissalam ne Arz kiya:Yeh Hazrate Yusuf Alaihissalam hain Inhe Salam Farmayiye.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne Salam kaha Unhone salam ka javab diya aur fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko Khush Amadid karte huve kahane lage "Marhaba Bil Akhissalihi Vannabiyis Salihi" "Yani Saleh Bhai aur Saleh Nabi ko Khush Amadid"CHAUTHA ASMAN:
Fir Chotha Asman ki taraf safar shuru huva,vahan Pahunch kar bhi yehi muamla huva ki hazrate jibrayile Ameen Alaihissalam ne darvaza khulvana chaha.Pucha gaya:Kon hai?Farmaya:Jibrayil.Pucha gaya:Aap ke sath kon hai?Farmaya:Mohammed Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam.Pucha gaya:Kai Inhen bulaya gaya hai?Farmaya:Han.Iss par kaha gaya:Marhaba Bihi Fanimal MajiOo JaaAa "yani khush Amadid.Kai hi Achcha Aane vala Aaya hai..."Aur fir darvaza khol diya gaya.iss se guzar kar jab pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam Asman ke upar tashrif laye to hazrate Idris Alaihissalam Ko Mulahaza farmaya.Hazrate Jibrayil Alaihissalam ne Arz kiya:Yeh Hazrate Idrid Alaihissalam hain,Inhen Salam farmayiye.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne salam kaha.unhone salam ka javab diya aur fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko khush Amadid karte huve kaha:Marjabam Bil Akhissalihi Van Nabiyis Salihi "yani saleh bhai aur saleh Nabi ko Khush Amadid"PANCHVAN ASMAN:
Iss ke bad pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ne Panchven Asman ki taraf safar ka Aagaz farmaya,Yahan Pahunch kar bhi hazrate Jibrayile Ameen Alaihissalam ne darvaza khulvana chaha.Pucha gaya:Kon hai?Farmaya:Jibrayil.Pucha gaya:Aap ke saath kon hai?Farmaya:Mohammed Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam.Pucha gaya:kai Inhen Bulaya gaya hai?Farmaya:Han.Iss par kaha gaya:Marhabam Bihi Fanimal MajiOo JaaAa "Yani khush Amadid.Kai hi Achcha Ane vala Aya hai..."fir darvaza khol diya.Sayyide Alam,Noore Mujassam,Sallallahu Alaihi O Sallam darvaze se guzar kar Asman ke upar tashrif laye aur hazrate Haroon Alaihissalam ko mulahaza farmaya.Hazrate Jibrayil Alaihissalam ne Arz kiya:yeh hazrate Haroon Alaihissalam hain,Inhen salam Farmayiye.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne salam kaha,unhone salam ka javab diya aur fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko khush Amadid karte huve kaha:Marhabam Bil Akhis salihi Van nabiyis Salihi "yani saleh Bhai aur Saleh Nabi ko Khush Amadid"CHATTA ASMAN:
Panchven Asman par Hazrate Sayyiduna Haroon Alaihissalam se Mulakat Farmane ke bad pyare Aaka,Mithe Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam Chathe Asman par tashrif laye.Hazrate jibrayile Ameen Alaihissalam ne darvaza khulvana chaha.Pucha gaya:Kon hai?Farmaya:Jibrayil.Fir pucha gaya:Aap ke Sath kon hain?Farmaya:Mohammed Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam.Pucha gaya:kai inhone bulaya gaya hai?Farmaya:Han.Iss par kaha gaya:Marhabam Bihi Fanimal MajiOo JaaAa "yani khush Amadid.Kai hi Achcha Ane vala Aaya hai..."Fir darvaza khol diya gaya.sarkare Aali vakar,Mahbube Rabbe Gaffar Sallallahu Alaihi O Sallam Darvaze se guzar kar Asman ke upar tashrif laye aur yahan hazrate Musa Kalimullah Alaihissalam ko mulhaza farmaya.Hazrate Jibrayil Alaihissalam Arz guzar huve:Yeh Hazrate Musa Alaihissalam hain,Inhen Salam Farmayiye.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne salam kaha.Unhone salam ka javab diya fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko khush amadid karte huve kaha:Marhabam Bil Akhis salihi Van Nabiyis Salihi "Yani saleh Bhai aur saleh Nabi ko khush Amadid."Hazrate Musa Alaihissalam se mulakhat farmane ke bad jab shahe admo bani adam,Rasoole mehtasham Sallallahu Alaihi O Sallam Aage bade to hazrate musa Alaihissalam girya farmane lage.daryaft kiya gaya:Aap alaihissalam ko kis chiz ne rulaya?farmaya:muje iss bath ne rulaya hai ki ek nojavan jo mere bad mabuss huve un ki ummath me se dakhile jannat hone vale logon ki tadad meri ummat me se dakhile jannat hone valon se zaida hogi.SATVAN ASMAN:
Fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam saathven Asman par tashrif laye,yahan bhi Hazrate jibrayile Ameen Alaihissalam ne darvaza khulvana chaha.Pucha gaya:Kon hai?Farmaya:Mohammed Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam.Pucha gaya:Kai inhen bulaya gaya hai? Farmaya:Han.Iss par kaha gaya:Marhabam Bihi Fanimal MajiOo JaaAa "Yani khush Amadid.Kai hi Achcha Ane vala aya hai.." Fir darvaza khol diya.jab pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam darvaze se guzar kar Asman ke upar tashrif laye to hazrate Iibrahim Khalil Ulla Alaihissalam ko Mulahaza farmaya,Aap Sallallahu Alaihi O Sallam Baitul Mamur(Baitul Mamur Farishton ka Khibla hai,Kaba E Muazzam ke Mukhabil Satven Asman ke upar hai,Baz Rivayat me hai ki Huzure Anwar Sallallahu Alaihi O Sallam ne Vahan Farishton ko namaz padayi jaise baitul Mukhaddas me Nabiyon Ko padayi thi.[Miratul Manajih,Meraj ka bayan,Pahali fasl,8/144]) se tek lagaya tashrif farma the.Hazrate Jibrayil Alaihissalam ne Arz kiya: yeh Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke Valid hain,Inhen Salam kijiye.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne salam kaha,unhone salam ka javab diya.Fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko khush Amadid karte huve kaha:Marhabam Bil Ibnis Salihi Van Nabiyis Salihi "Yani Saleh Bete aur Saleh Nabi ko khush Amadid"SIDRATUL MUNTAHA:
Sathven Asman par Hazrate Ibrahim Khalil Ulla Alainissalam se Mulakhat Farmane ke bad Sayyide Vala Tabar,Do Alam ke Tajdar Sallallahu Alaihi O Sallam Sidratul Muntaha ke pas tashrif laye.Ye Ek Noorani Beri ka darakht hai,jiss ki Jad Chaate Asman par aur Shaakhen Sathven Asman ke upar hai,iss ke faal makhame hazr ke matkon ki tarha bade bade aur patte hati ke kano ki tarah hai.hazrate Jibrayil Alaihissalam ne Arz kiya:ye Sidratul Muntah hai.pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ne yahan char nahare mulahaza farmayi jo Sidratul Muntaha ki jad se nikalti thi,in me se do to zahir thi aur do khufiya.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne Hazrat jibrayil Alaihissalam se daryaft farmaya:Ye Jibrayil.Yeh naharen kaisi hai?Arz kiya:Khufiya naharen to jannat ki hain.Aur zahiri naharen nil aur furat hai.MAKHAME MUSTAVA:
Jab Pyare Aaka,Mithe Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam sidratul muntaha se Age bade to Hazrate jibrayil Alaihissalam vahin tahar gaye aur Age jane se Mazirath khavah huve.fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam Age bade aur bulandi ki taraf safar farmate huve ek makam par tashrif laye jise MUSTVA kaha jata hai,yahan Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne kalmon ki char charahat samaat farmayi.Yeh voh kalam the jin se firishte rozana ke Ahakame ilahiyya likhte hain aur lohe mahafuz se ek saal ke bakhiyat alag alag sahifon me nakal karte hai aur fir yeh sahife Shaban ki pandarvin shab mutallika hukkam farishton ke havale kar diye jate hain.ARSH ULA SE BHI UPAR:
Fir Mustva se Age bade to Arsh Aaya,Aap Sallallahu Alaihi O Sallam uss se bhi upar tashrif laye aur fir vahan pahunche jahan khud "Kahan" Aur "Kaab" bhi khatam ho chuke the kuinki yeh alfaz jagah aur zamane ke liye bole jate hain aur jahan hamare Huzure Anvar Sallallahu Alaihi O Sallam Ronak Afroz huve vahan jaga thi na zamana.issi vajah se ise laa maka kaha jata hai.Sarage Yeno mata kahan tha,nishane kaifo ilaa kahaa tha
na koi rahi na koi sathi na sange manzil na marhale the
Yahan ALLAH RABUL IZZATH AZZAWAJAL ne Apne pyare Mahaboob Sallallahu Alaihi O Sallam ko voh kurbe khas Aata farmaya kin kisi ko mila na mile.Hadis Sahrif me iss ke Bayan ki liye Kaa-Ba Kausain ke alfaz istemal kiye gaye hai.Jinhen uss vakht istimal kiya jata hai jab intihayi kurb aur nazdiki batana maksud hota hai.
DIDARE ILAHI AUR HAM KALAMI KA SHARF
Sarkare Ali Vakar,Mahaboobe Rabbul Ibad Sallallahu Alaihi O Sallam ne bedari ki halat me sar ki Akhon se apne pyre rab tabarak va tala ka didar kiya ki.pada tha na koyi hizab,jamana tha na koi makan,Farishta tha na koi Insan,Aur Be Vasita kalam ka sharf bhi hasil kiya.
LA MAKAN KI VAHI:
Voh vahi kai thi jo rab tala ne iss kurbe khas me bandaye khas ki taraf farmayi aur kai raz niyaz huve,bukhari sharif ki hadis me ise in Alfaz me bayan kiya gaya hai: FaAao Hai Ila Abdihi Ma Aaohi "yani rab ne apne bande ki taraf jo vahi ki voh ki" aksar muhkkikin farmate hain ki uss vahi ka mazmun kisi ko malum nahi ki muhibba aur mahaboob ke asrar dusron par zahir nahi kiye jate,Aagar khuda Azzawajal ko iss ka Izhar Maksood hota khud hi bayan farma deta jab uss ne bayan nahi kiya ki farmaya:Vahi ki apne bande ki taraf vahi ki,to kis ki mazal hai ki daryaft kare? Bahar haal mukhtasar tor par itna kaha ja sakta hai ki dino dunyan ki jismani va roohani,zahiri va batini nematon aur ulumo marifa jo kuch bhi Allah Azzawajal apne habib Sallallahu Alaihi O Sallam ko apni hikmat ke mutabik Aata farmana chahta tha voh saab kuch Aata farma diya Albatta har nemat aur har ilm va hikmat ka zuhur apne apne vakht par huva aur hota rahega.PACHAS SE PANCH NAMAZEN:
ALLAH Azzawajal ne apne mahaboob Sallallahu Alaihi O Sallam ko har din raat 50 namazon ka tohfa bhi Aata Farmaya.Vapas Ate huve Jab Aap Sallallahu Alaihi O Sallam hazrate Musa Alaihissalam ke pas pahunche to voh arz guzar huve ki Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke rab ne Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki ummat par kai farz farmaya?Irshad farmaya: 50 namazen.Iss par Hazrate musa Alaihissalam ne Arz kiya:"Yani vapas apne Rab Azzawajal ke paas jayiye aur uss se kami ka suval kijiye kuinki Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki ummath se yeh nahi ho sakega,main ne bani israyil ko Azma kar dekh liya hai aur unn ka tajriba kar liya hai"
Chunanche,Aap Sallallahu Alaihi O Sallam vapas Rab tala ki bargah me hazir huve aur arz kiya:"Ya Rabbi Khaffif Alaa Ummati" "Yani ye mere Rab.Meri Ummat par takhfif farma" ALLAH Azzawajal ne panch namazen kam kar di.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam vapas Hazrate Musa Alaihissalam ke pas tashrif laye aur farmaya:ALLAH Azzawajal ne panch namazen kam kar di hai.Hazrate Musa Alaihissalam ne fir vohi arz kiya ki Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki ummat se yeh na ho sakega,vapas Apne Rab Azzawajal ke paas jayiye aur uss se kami ka suval kijiye.yeh silsila yunhi chalta raha ki Aap Sallallahu Alaihi O Sallam Rab tala ki bargah me hazir hote to voh panch namazen kam farma deta fir hazrate Musa Alaihissalam ke pas tashrif late to voh aur kami ka Arz kar ke vapas rab tala ki bargah me bhej dete,hatta ki ALLAH Azzawajal ne farmaya:Ye Mohammed Sallallahu Alaihi O Sallam din aur raat me yeh panch namazen hain aur har namaz ka savab das gunah hai,iss tarha yeh 50 namazen hui.Jo neki ka irada kar fir use na kare to uss ke liye ek neki likh di jayegi aur agar kar le to das nekiyan likhi jayegi aur jo burayi ka yirada kare fir uss se baz rahe to uss ke naam e Amal me koi burayi nahi likhi jayegi.aur Agar bura kaam kar liya to ek burayi likhi jayegi.pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam hazrate Musa Alaihissalam ke pas tashrif laye aur unhen iss bare me bataya to hazrate Musa Alaihissalam ne fir Vohi Arz kiya ki vapas Apne Rab Azzawajal ke pas jayiye aur uss se kami ka suval kijiye.iss par Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya:Main apne Rab Azzawajal ke par itni bar gaya hun ki Aab mujhe haya ati hai.
JANNAT KI SAIR:
Iss ke Baad Aap Sallallahu Alaihi O Sallam Sidratul Muntaha par tashrif laye,iss bar iss par Mukhtalif Rang chaa gaye.Rivayat me hai ki firishton ne ALLAH tabarak va tala se pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ki ziyarath karne ki Ijazat talab ki to ALLAH Azzawajal ne unhen Ijazat ata farma di.pass voh firishte sidrah par chaa gaye taki voh Huzur Nabiye Rahamat Sallallahu Alaihi O Sallam ki ziyarath ka sharf hasil kar saken.yahan se Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko jannat me laya gaya.iss me motiyan ki imaraten thi aur iss ki mutti mushk thi,Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne yahan char kism ki naharen mulahaza farmayi:ek pani ki jo tabdil nahi hota,dusri dood ki jiss ka jaika nahi badalta,Tisri sharab ki jiss me pine valon ki liye sirf lazzat hai(nasha bilkul nahi)aur chauthi pakiza aur saaf suthre shahad ki.iss ke anar jasamath me dolon ki tarha aur parnde unton ki tarah the,iss me Aallah Azzawajal ne apne nek bandon ke liye yese yese inamath tayyar kar rakhe hain,jinhen kisi Ankh ne dekha na kisi kaan ne suna aur na kisi insan ke dil me iss ka khayal guzra.NAHARE KAUSAR PAR TASHRIF AVARI:
Jannat ki sair ke doran Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ek nahar par tashrif laye jiss ke kinaron par Jhofdar(Andar se khali kiye huve)motiyon ke khaime the aur iss ki mitti khalis mushk thi.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne hazrate jibrayil Alaihissalam se daryaft farmaya:Ye jibrayil.Yeh kai hai?Arz kiya:yeh kausar hai jo Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke rab Azzawajal ne Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko Aata farmayi hai.JANNAT KA MUYANA:
Jannat ki sair ke bad Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko jahannam ka muAyana karaya gaya,voh iss tarha ki Aap Sallallahu Alaihi O Sallam jannat me hi mojud the aur jahannam par se parda hata diya gaya jis se Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne use mulahza farma liya.fir Aap Sallallahu Alaihi O Sallam se use band kar diya gaya aur Aap Sallallahu Alaihi O Sallam vapas sidratul muntaha par tashrif laye.VAPASI KA SAFAR:
Iss ke bad vapasi ka safar shuru huva,Vapas Aate huve jab Aap Sallallahu Alaihi O Sallam Asmane dunya par tashrif laye aur uss ke niche nazar farmayi to voh gardo gubar,shoro gonga aur dhuvan tha.Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne hazrate jibrayil Alaihissalam se daryaft farmaya:ye jibrayil.Yeh kai hai? Arz kiya:Yeh shayatin hain jo bani Adam ki Akhon par mandlate rahte hain taki voh zamino asman ki badshahi me ghor O fikar na kar sake agar yeh gardo ghubar vagaira na hota to log(kayinath ke) Azayibath dekhte.Makkatul Mukarrama "zadahallahu sharfaon taziman"ke raste me Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne Khuresh ke tin tijarati kafile bhi mulahaza farmaye.VAKHI E MERAJ KA YELAN:
ALLAH Azzawajal ki khudrate kamila.
Mithe Islami Bhaiyon.Yeh ALLAH Azzawajal ki khudrat hai ki uss ne raat ke mukhtadar se hisse me apne pyare mahaboob Sallallahu Alaihi O Sallam ko Baitul Mukhaddas Aur fir Saton Asmano nij Arsh va kursi se bhi upar laa makan ki sair karayi,Baaz nadan jo har bat ko Akal ke tarazu par tolne ke Aadi hote hain yese muamlath me bhi apni nakis Akhal ko dakhal dete hain,jab kuch ban nahi padta to man dhadat aur batil tavilon aur hilon bahano se khalikhe kayinath ALLAH RABBUL IZZATH Azzawajal ki khudrat ke hi inkari ho jate hain.(Mazallah).yad rakhiye.Allah Azzawajal khadire mutlak hai,voh har shai par khadir hai,yeh zamino asman,yeh pahadon samandar,yeh chand va suraj,yeh fasile aur yeh safar ki manjilen sab kuch usi ka paida kiya huva hai,voh jiss ke liye chahe fasile samet de aur jiss ke liye chahe bada de,Akalen iss ka yihata karne se kasir hai nij uss ne apni khudrate kamila se apne pyare Ambiya va Rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ko yese bahut se umur Aata farmaya hai jo Aadatan namumkin va muhala hote hain,yese umur ko MOJIZA kaha jata hai jaise hazrate sayyiduna musa Alaihissalam ke mumarak Aasaa(lathi)ka samp ban jana aur hazrate sayyiduna isa Alaihissalam ka murdon ko jinda karna aur madarzad(paidayishi)Andhon ko biya(dekhne vala)karna vagaira,aur saab se afzal nabi va rasool huzur Ahmade mujtaba, Mohammade Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam ko saab se jaida mojizat Aata farmaya.bas hamen uss ki khudrat par pukhta iman rakhna chahiye.Mithe Islami Bhayion.Asmane hidayat ke roshan sitaron hazrate sahaba E kiram Alaihimur Rizwan ka Amal hamare liye behtarin rahnuma hai,in Aali rutba hastiyon ne kamo besh jindagi ke har shobe me misali kirdar Aada kiya hai aur iss se baad valon ke liye ek behtarin namuna pesh kiya hai ki khavah kaisi hi hairan kun baat ho aur kaisa hi hairat Angrez vakhiya ho ALLAH Azzawajal aur uss ke rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ke faramin par sidkha dila se imaan lana chahiye.Aayiye.Aab vakhiye Meraj ki tasdik ke silsile me Afzalussahaba Hazrate Sayyiduna Abu Bakkar Siddiq Raziyallah Tala Anha ka mubarak amal mulhaza kijiye,lekin iss se pahle uss vakht ke Ahval bayan kiye jate hain jiss vakht Makkatul Mukarrama "Zadahallahu Sharfaon Va Tazim" ne meraj sharif ka yelan farmaya tha lekin kuffro shirk ki najasat se Aluda kuffar va mushrikin apni ravish(tarikhe)ke mutabik iss ke manne se inkari huve the,chunanche rivayat ke mutabik meraz ki subha pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam saab se alag thalag ho kar kisi jagah tashrif farma the aur bahut firkhe mand the ki log meraj ka vakhiya sun kar yakhin nahi karenge.Itne me Abu jahal ka vahan se guzar huva,jab uss ne Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko sab se alag thalag aur fikr mandi ki halat me baithe dekha to paas Aa kar bait gaya aur(Mazallah)Mazak udate huve kahne laga:kai koi nayi bat ho gayi hai?pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ne irshad farmaya:Han.Pucha:Voh kai? Farmaya:Mujhe raat ko sair karayi gayi.Daryaft kiya:kahan tak?Farmaya:Baitul mukhaddas tak.Yeh sun kar uss dushmane rasool ne logon ko davate islam se rokne aur baaz kamjor imaan vale musalmano ko dine islaam se bardasht karne ki ek nayi raat dhund li lekin foran Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki takzib nahi ki aur logon ko iss bare me nahi bataya ki(Mazallah)kahi logon ke samne Aap Sallallahu Alaihi O Sallam iss bat se inkar na kar den.rivayat me hai ki uss ne Aap Sallallahu Alaihi O Sallam se daryaft kiya:Agar main logon ko Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke pass bula laon to kai Aap Sallallahu Alaihi O Sallam unhen bhi yeh bat bayan karenge jo mujhe ki hai? Sarkare Ali Vakar,Mahabube Rasool Ibadat Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya:Han.Fir Abu jahal ne logon ko bulaya.jab log jaama ho gaye aur pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ne unhen bhi vohi bat bayan farmayi to (Mazallah)ise Jhut guman karte huve kisi ne tali bajayi aur kisi ne hairat se apna haat sar par rakh liya.Maatam ne kaha:Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki Avaz ki iss baath ke ilava pahale ki saab baton vazeh thi,main gavahi deta hun ki(Mazallah)Aap jhute hain kuinki ham baitul makhdas ki taraf Aate jate ek ek mahina safar karte hain jab ki Aap ka khayal hai ki Aap raton Raat vahan se ho bhi Aye hain,Lat va uzza ki khasam.main Aap ki tasdikh nahi karunga.
BAITUL MUKHADDAS KA RUBARU PESH HONA:
Logon me se baaz yese bhi the jinhon ne baitul mukhaddas ko dekha huva tha unhon ne Aap Sallallahu Alaihi O Sallam se baitul Mukhaddas ki nishaniyan Daryaft ki.Makke Madine ke taajdar,Do Alam ke maliko mukhtar Sallallahu Alaihi O Sallam uss ki nishaniyan bayan farmane lage.Hatta ki baaz baton me Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ko shuba huva to baitul mukhaddas ko Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke samne la kar dare Akhil ke Pass rakh diya gaya aur Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne uss ki taraf dekhte huve tamam nishaniyan bayan farma di.iss par log pukar uthe:jahan tak nishaniyan ka taaluk hai,khuda Azzawajal ki khasam.voh bilkul durust hai.KAFILON KI KHABREN:
logon ne Aap Sallallahu Alaihi O Sallam se apne kafilon ke bare me bhi daryaft kiya jo dusre mulkon se tijarat kar ke vapas Aa rahe the,Sarkare Aali vakar,mahaboobe rabbe gaffar Sallallahu Alaihi O Sallam ne unhen kafilon ke mutalik bataya aur un ke ane ka vakht aur makam ke bare me bhi khabar di.saab kuch Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke farmane ke muvafik vakeA huva,iss par bajay iss ke ki voh Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki nabuvat va risalat pa imaan late,ulat Aap Sallallahu Alaihi O Sallam par jadugari ki tohmat lagane lage.(mazallah).Siddikhe Akbar Raziyallah Tala Anhu ki Tasdikh:
Mithe Islami Bhaiyon.Jab sarkare namdar,Madine ke Taajdar Sallallahu Alaihi O Sallam ne logon ko vakhia meraj ki khabar di to akhal parast kuffar va mushrikin ki samaj me yeh bat na ayi ki koyi shaks raat ke mukhtasar se hisse me baitul mukhaddas ki sair kaise kar sakta hai jis ke natije me unhone rasoole Akram,Noore Mujassam Sallallahu Alaihi O Sallam ki takzib ki ek nayi rah dhund nikali aur voh shore bad tamiz bapaa kiya jis se baaz na pukhta imaan rakhne vale logon ke khadam bhi dagmaga gaye aur voh un ke dame fareb me fas kar apne imaan ka charag gul kar baithe,chunanche,rivayat me hai ki meraj ki subah jaab pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ne yeh vakhiAa logon se bayan farmaya to Aap Sallallahu Alaihi O Sallam par Imaan lane vale aur Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki tasdik karne vale baaz afrad murtad ho gaye.in ke bad aksar kamil imaan valon ke imaan me aur izafa ho gaya,khudaye zul jalal ki khudrat par in ka yakhin aur pukhta ho gaya aur rasoole paak,sahibe lolak Sallallahu Alaihi O Sallam ki sadkhat ka yakin bhi aur jiyada mohkam(mazbut)ho gaya,jaisa ki Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke safare meraj ka yelan farmane par baaz log dodte huve hazrate sayyiduna abu bakkar siddiq Raziyallah tala Anhu ke pas pahunche aur kahne lage:kai Aap iss bat ki tasdik kar sakte hain jo Aap ke dost ne kahi hai ki unhon ne raaton raat masjide haram se masjide Aksa ki saain ki?Shayad un ka khayal tha ki yeh Akal va faham se bala tar bath sun kar hazrate abu bakkar Raziyallah Tala Anhu sarkare namdar,Madine ke Taajdar Sallallahu Alaihi O Sallam ka saath chod denge (Mazallah)lekin kurban jayiye sayyiduna siddiqe Akbar Raziyallah Tala Anhu ki shane siddikhiyat par ki jaab Aap Raziyallah Tala Anha ne yeh intihayi hairan kun bath suni jis par Akhal ke pairukar kisi tarha bhi yakhin karne ke liye tayyar nahi the,to bigair kisi tajub aur hichkichahat ke foran pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ki tasdik kar di,rivayat me hai ki logon se yeh bat sun kar Aap Raziyallah Tala Anha ne daryaft farmaya:"Va Khala Zalika?" kai vakhayi Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne yeh farmaya hai?Kaha:hi han.Irshad Farmaya: "Layin Kana Khala Zalika Lakhad Sadakha" yani Agar Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne yeh farmaya hai to yakhinan sach farmaya hai.logon ne kaha:kai Aap iss bath ki tasdik karte hain ki voh raat ko baitul mukhaddas gay aur subha hone se pahle vapas Aa gay?farmaya:Ji han.Main to Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki Asmani Khabron ki bhi subho shaam tasdik karta hun aur yakhinan voh to iss baat se bhi jiyada hairan kun aur tajjub khaiz hain"
uss din rasoole pak,sahibe lolak Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya:
"ya Aababakkarin innallaha khad Sammakas siddikha"
yani ye abu bakkar.Allah Azzawajal ne tumhen siddiq ka naam diya hai".Rivayat me hai ki iss ke baad Aap Raziyallah Tala Anha Siddiq Mashhur ho gaye.
QURAN ME MERAJ KA BAYAN:
ALLAH Azzawajal ne quran e karim me tin makhamath par iss ka zikr farmaya hai.PAHALA MAKAM:
Surah E Bani Israyil me irshade Rabbani hai.TARJUMA E KANZUL IMAAN:
Paki hai use jo raaton raat apne bande ko le gaya masjid e Haram(khana E Kaaba)se Masjid E Aksa(Baitul Mukhaddas)tak jis se girda gird ham ne barkat rakhi ki ham use apni Azim nishaniyan dikhayen beshak voh sunta dekhta hai.
Mufassrine kiram rahimahumullahu tala farmate hain:jab sayyide Alam Sallallahu Alaihi O Sallam shabe meraj darjate aliya va maratibe rafiAa(buland tarin martabon)par fayiz huve to raab Azzawajal ne khitab farmaya:Ye Mohammed(Sallallahu Alaihi O Sallam) yeh fazilat va sharf main ne tumhen kuin Aata farmaya?Huzur(Sallallahu Alaihi O Sallam)ne arz kiya:iss liye ki tu ne mujhe Abdiyath ke saath apni taraf mansoob farmaya,iss par yeh ayate karima nazil huyi.iss ayate mubaraka me pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ki zamini sair (Masjid E Haram se Baitul Mukhaddas tak)ka zikr hai.
Ayath ko lafze Subhana se Shuru karne ki Hikmat:
ALLAH Azzawajal ne iss ayat ke shuru me "SUBHANALLAZI" Kaha kar apni paki bayan farmayi.yeh kalima tajub ke mokaA par bola jata hai,ulma farmate hain:chunki vakhi E meraj bahuth hi hairat Angrez vakhiA hai aur insani akal se bala tar.isi liye farmaya ki "SUBHANNALLAZI"Yani yeh uss ke irade se huva jo izz se pak hai har tarah kadir hai.Huzur(Sallallahu Alaihi O Sallam)ke jisme Athar ka upar ki taraf jana,kurye Aaga va jamharir se salamat guzar jana,Asmano me dakhil ho jana,jannat ba dozak ki sair farmana,fir iss khadar jald vapas Aa jana Agarche bahut mushkil malum hota hai,magar Rabbe Khadir ke nazdik kuch mushikal nahi.Gunahon Se Najat Pane Ka Nuskha:
Mufassire shahir,Kakimul Ummat,Hazrate Allama Mufti Ahmad Yar Khan Nayimi Alaihi Rahamat Ullahil Ghani farmate hain:Jo koi iss isme ilahi ka vazifa kar yani "Ya Subhana Ya Subhana"pada kare ALLAH Tala use gunahon se pak farmayega.har isme ilahi ki tajalli amil par padti hai jo "Ya Ghani" ka vazifa pade khud ghani aur maldar ho jave.Khuda Tala Ki Khudrat Ka Bayan:
Subhanallazi kah kar apni paki bayan farmane ke baad "Asra"ka Lafz irshad farmaya jis ka matlab hai: le gaya.ghor kijiye.ALLAH RABBUL IZZAT Azzawajal ne Huzure Akdas Sallallahu Alaihi O Sallam ko jane vala farmaya.ulma farmate hain ki ALLAH Tala ne lafze "Subhana" aur"Asra" farma kar meraje jismani par hone vale har yetiraz ka javab diya hai,goya yun farmaya ki ye munkiron.khabardar.bakhiye meraj me mere habib(Sallallahu Alaihi O Sallam)par yetiraz karne ka tumhen koi haq nahi.iss liye ki inho ne meraj karne aur masjid E Aksa ya Asmano par khud jane ka dava nahi kiya.yesi surat me tumhen in par yetiraz karne ka kai haq hai? yeh dava to mera hai ki main apne habib Sallallahu Alaihi O Sallam ko le gaya.Ab agar mere le jane par yetiraz hai ki ALLAH Tala kaise le gaya?yeh le jana aur zara si der me Asmano ki sair kara ke vapas le ana to mumkin nahi to yad rakho ki main "Subhana"(Har Izza va kamjori se pak)hun.jo chiz makhluk ke liye adtan namumkin aur muhala hai agar mere liye bhi usi tarha muhal aur namumkin ho to main aziz aur natuvon taharunga aur azizi va natuvani eb hai aur main har eb se pak hun.Meraj Jismani Ka Sabut:
Iss Ayath se yeh baat bhi malum huyi ki sayyide Alam,Noore Mujassam Sallallahu Alaihi O Sallam ki yeh Meraj fakath ruhani na thi balki jism aur rooh dono ke saath thi chunanche,Aala Hazrat Imaame Ahle sunnath Maulana Shaa Imaam Ahmed Raza Khan Alaih Rahamathur Rahaman irshad farmate hain ki meraj sharif yakinan kataan isi jisme mubarak ke saath huva na ki fakat roohani jo un ke Aata se un ke gulamon ko bhi hota hai,ALLAH Azzawajal farmata hai:yeh na farmaya ki le gaya apne bande ki rooh ko.
NOTE:Yad rahe ki meraj sharif va halate bedari jism va rooh dono ke saath vakheAa huva, yahi zamhur Ahle islam ka akhida hai aur ashabe rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ki kasir jamaAten aurHuzur(Sallallahu Alaihi O Sallam) ke Ajilla Ashab isi ke motakid hai.
Dusra Makam:
Surah Bani Israyil me hi dusre makham par hai:TARJUMA KANZUL IMAAN:
Aur ham ne na kiya voh dikhava jo tumhen dikhaya tha magar logon ki Azmayish ko.
Meraj Sharif ki subah jab pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ne logon ko iss bare me bataya to Aap Sallallahu Alaihi O Sallam par imaan lane vale Baaz log murtada ho gay,iss Ayat se bhi yehi pata chalta hai ki meraj sharif sirf rooh ko na hui balki jism aur rooh dono ko hui kuinki agar halare khwab me fakat rooh ko meraj hoti to kisi ko yetiraz na hota.
TISRA MAKHAM:
Surah E Najm me irshade rabbani hai.TARJUMA E KANZUL IMAAN:
Chamakte tare MOHAMMED(Sallallahu Alaihi O Sallam) ki kasam.Jab yeh Meraj se utre tumhare sahib na bahke na be rah chale aur voh koi bath apni khwayish se nahi karte voh to nahi magar vahi jo unhen ki jati hai unhen sikhaya sakht khuvvaton vale takatvar ne fir uss jalve ne khasda farmaya aur voh asmane bari ke saab se buland kinare par tha fir voh jalva nazdik huva fir khub utar aya to uss jalve aur uss mahaboob me do hath ka fasila raha balki iss se bhi kam jaab bahi farmayi apne bande ko jo vahi farmayi dil ne jhut na kaha jo dekha to kai tum un se un ke dekhe huve par jhagadte ho aur unhon ne to voh jalva do bar dekha sidratul muntaha ke pas uss ke pas jannatul mava hai jab sidra par chaa raha tha jo chaa raha tha Aankh na kisi tara firi na had se badi beshak apne raab ki bahuth badi nishaniyan dekhi.
In Ayath me nazm(Tare) se kai murad hai iss ki tafsir me Mufassirine kiram Rahima Humullahu tala ke bahut se khol hain baaz ne sitare murad liye,baaz ne sitaron ki ek khas khism surya se iss ki tafsir ki aur baaz ne quran murad liya hai.rajeh khol yeh hai ki iss se sadiye bar haq,Sayyide Ambiya,Mohammade Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam ki zate girami murad hai jaisa ki upar zikr kiye gaye Aaka E nemat,Imame Ahle Sunnat Maulana Shaa Imaam Ahmad Raza Khan Alaihi Rahamatur Rahaman ke tarjame se vajeh hota hai.chunanche,in Ayat me Aap Sallallahu Alaihi O Sallam Asmani sair ki tarf ishara hai.
SHABE MEHRAJ-DUVAM
2014-12-10T15:57:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara