On 6:28:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Allah Azzawajal Tumhara Raab Aur Uske Siva Kisi Ki Bandagi Nahi Har Chiz Ka Banane Vala To Use Pujo Jo Vah Har Chiz Par Nigahban Hai.(Kanzul Iman)
Hazrat Umar Bin Khattab Raziyalla Tala Anhu Se Ravayat hai ki ek din ham Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam Ki Khidmat me hazir the,Achanak ek shaks hamare samne aya jiske kapde nihayat safed aur bal kale siyah the,na uss par safar ki koi alamat dikhayi deti thi aur na ham me se koi use janta tha.Akhir vah nabiye karim Sallallahu Alaihi O Sallam ke paas bait gaya aur usne apne ghutne Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke ghutno se mila diye aur apne dono haat huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke rano par rakh diye,fir kahne laga:Ye Mohammed.Sallallahu Alaihi O Sallam mujhe islam ke bare me batayiye,nabiye karim Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya:islam ye hai ki tu gavahi de ki allah azzawajal ke siva koi mabud nahi aur mohammed Sallallahu Alaihi O Sallam allah ke rasool hain aur tu namaz pade,zakat de,ramzan ke roze rakhe aur kabatulla ka haz kare agar tu uske raste ki istitaAt rakta ho.
Usne Kaha:Aap ne Sach farmaya.(Ravi kahte hain)hame iss par tajub huva ki voh nabi e karim Sallallahu Alaihi O Sallam se saval bhi karta hai aur fir unki tasdik bhi karta hai.
Fir Usne Kaha:Mujhe Imaan ke bare me batayiye.Rahamate Alam Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya(Imaan ye hai ki)Allah ke farishton,usiki kitabon,uske rasoolon aur akhirat ke din par aur bhali buri takdir ki tasdik kare.uss shakhs ne kaha:Aap ne sach farmaya.fir usne kaha ki mujhe ehsan ke bare me batayiye, Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam Ne farmaya:(Ehsan ye hai ki)Tu Allah tala ki ibadat iss tarha kare ki goya tu use dekh raha hai,agar tu use dekh nahi sakta to(kaam Az kaam itna khayal ho ki)voh tuje dekh raha hai.(muslim sharif:2/27)
Mere Pyare Aka Sallallahu Alaihi O Sallam ke pyare divano.Mazkura bala hadise paak ki tashrih karte huve hazrat shaik Abdul haq muhaddis dehalvi Rahamath Ullah Alai tahrir farmate hain "islam,zahiri amal ka naam hai(maslan namaz padne,roza rakne,zakat dene,vaghorhum ka)aur imaan naam hai etikhade batin ka(maslan allah azzawajal aur uske pyare rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ko dil se manane ka)aur islam va imaan ke mazmuye ka naam din hai".
Imaan Billah Aur Uske Takhaje
mere pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ke pyare divano.Allah Azzawajal par imaan lane ke baad uska takaza yah hai ki bandaye momin apne mabude barhak ke har-har hukum ka tabe va farmabardar rahe aur uske nayibe mutlakh,nabiye akhiruzzama Sallallahu Alaihi O Sallam ki mohabbat me sarshar ho kar apki layi huvi shariAt ke ahkamat ka paband rahe taki banda razaye ilahi ka hakdar ho jaye.Allah Ki Zaat Va Sifat ke Mutallik Akhayid
Akhida:
Allah ek hai,paak aur bemisal,be Ayib hai,Har kalam va khubi ka jameA hai.voh hamesha se hai aur hamesha rahega.uske siva jo kuch hai,pahle na tha jab usne paida kiya to huva.voh kisi baat me kisi ka mohtaj nahi aur sab usi ke mohtaj hai.voh sabka malik hai jo chahe kare.bagair uske chahe zarrah hil nahi sakta.sab uske bande hain,voh apne bandon par maa,baap se zaida meharban,raham farmane vala,gunah bakhshne vala,toba khubul farmane vala hai,izzat va zillat sab usi ke kabze me hai.Akhida:
vahi allah azzawajal iss layik hai ki sirf usi ki ibadat ki jaye,uske siva dusra koi bhi ibadat ke layik nahi.Akhida:
Hakhikhi badsha allah tala hi hai aur vahi alim va hakim hai.koi chiz allah azzawajal ke ilm se bahar nahi,dilon ke khatron aur vasvason ki bhi khabar rakhta hai, uske ilm ki koi intiha nahi.Akhida:
Allah Rabbul Izzat Jo chahe,jaisa chahe kare.kisi ka uss par koi dabav nahi aur na koi uske irade se usko rokne vala hai,bandon ke achche kaam se khush hota hai aur bure kaam se naraz hota hai,Akhida:
Hakhikhatan rozi pahunchane vala,Aulad Ata farmane vala niz har zarurat puri karne vala vahi hai,farishte vagaira basila aur rabta hain.Akhida:
Khuda e Tala ke liye har Yeb na mumkin balki muhal hai.jaise jhut,jahalat,bhul,zulm vagaira tamam burayiyan khuda ke liye muhal hai aur jo yah mane ki khuda jhut bol sakta hai,lekin bolta nahi,yesa akhida rakhne vala gumrah hai goya voh man raha hai ki khuda yebi to hai lekin apna yeb(jhut)chupaye huva hai.Mazallah.Ambiya Alaihis Salam Va Malayika Ke Mutallik Akhida
Rasool:
Rasool ke maAna hai khuda E Tala ke yahan se bandon ke paas khuda E Tala ka Paigham lane vala.Nabi:
Voh Admi hai jis ke paas vahi yani Khuda E Tala ka paigham Aaya,Logon ko khudaye tala ka rasta batane ke liye.Akhida:
kayi nabi aur kayi fariste rasool hain,sab nabi mard hi the,na koi jin nabi huva na koi aurat nabi huyi.Akhida:
Nabi aur Rasool mahaz allah azzawajal ki maherbani se hote hain,isme admi ki koshish nahi chalti,albatta allah tala nabi ya rasool usi ko banata hai jisko voh iss layik paida farmata hai.Akhida:
Jo nabi ya rasool hote hain voh pahle se hi tamam burayiyon se door rahte hain,unme yesi koi bat nahi hoti jiski vaza se log unse nafrat karen.Akhida:
Sab nabi aur tamam farishte masum hote hain yani unse koi gunah ho hi nahi sakta.Akhida:
Allah tala ka paigham bandon tak pahunchane me unse koi bhul,chuk nahi ho sakti,unse bhul,chuk muhal hai.Akhida:
Nabi aur farishte ke alava kisi imam aur vali ko masum manna gumrahi aur bad mazhabi hai,Agarche imam aur valiyon se bhi gunah nahi hota.lekin kabhi gunah ho jaye to SharAn muhal bhi nahi.Akhida:
Allah Azzawajal ki tamam makhluk me nabi sabse afzal hote hain.Akhida:
Vali kitne hi bade rutbe vala kuin na ho kisi nabi ke barabar nahi ho sakta,jo koi kisi bhi bande ko kisi nahi se afzal,ya barabar bataye voh gumrah,bad mazhab hai.Akhida:
Nabi ki tazim farze Ayin Balki tamam farayiz ki asl hai,kisi nabi ki adna si tohin kufr hai.Akhida:
Tamam Ambiya Alaihis salam Apni-Apni Khabron me dunyavi zindagi ki tarha Aaj bhi jinda hain,Allah tala ka vada hai "Kullu Nafsin Zayikhatul Maut" ke pura hone ke khatir ek lamha ke liye unhen maut ayi,fir allah ne apni khudrate kamila se unhen zinda farma diya.unki jindagi shahidon ki zindagi se bahut badkar hai.Akhida:
Allah Tala ne apne nabiyon ko ghaib ki baten batayi,nabiyon ko yeh ilme ghaib allah tala ke diye se hai.Nabiyon ka ilme ghaib Atayi hai aur Allah Tala Ka ilme ghaib chunki kisi ka diya huva nahi hai balki use khud hasil hai lihaza uska ilm zati hai,isi liye Ambiyaye kiram ke liye ilme ghaib manna shirk nahi balki imaan hai,jaisa ki bahut si ayaton aur ahadis se sabit hai.Akhida:
Allah Rabbul Izzat ne Hamare pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam ko tamam kaynat se pahle apne noor ki tajalli se paida farmaya.Ambiya,firishte,jamin va asman,arsh va kursi,tamam zahan ko Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke noor ki jhalak se paida farmaya.allah tala ne apni zaat ke bad har khubi aur kamal ka jameA hamare pyare nabi Sallallahu Alaihi O Sallam ko banaya.usne apne tamam khazano ki kunjiyan huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ko ata farma di.deen va dunya ki tamam neAmaton ka dene vala khuda hai aur bantne vale Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam hain.Akhida:
Allah Tabarak va Tala ne Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ko bedari ki halat me Meraj Ata farmayi,yani arsh par bulaya aur apna didar Ankho se karaya,apna kalam sunaya,jannat,dozakh,arsh,kursi vaghaira tamam chizon ki sair karayi.khayamat ke din Aap hi sabse pahale ummat ki shafaAt farmayenge,bandon ke gunah maaf karayenge,darje buland karayenge,inke Alava aur bahut si khususiyaten hain jinki tafsil ulmaye yehle sunnat ki kitabon me mulahaza ho.Akhida:
Allah Azzawajal ne pane bandon ko hidayat ke liye apne nabiyon par mukhtalif kitabon aur sahife nazil farmayi.Hazrat musa Alaihis Salam par torait,Hazrat Dawood Alaihis Salam par Zabur,Hazrat Isa Alaihis Salam par Injil Aur Digar nabiyon par dusri kitabon ya sahife nazil farmaye.in nabiyon ki ummaton ne in kitabon ko ghata ya bada diya aur allah tala ke ahkam ko badal dala tab allah tabarak va tala ne hamare pyare Aaka Sallallahu Alaihi O Sallam par QURAN Paak nazil farmaya,qurane paak me har chiz ka ilm hai.qurane paak ibtidaye islam se Aaj tak vaisa hi hai jaisa nazil huva tha aur hamesha vaisa hi rahega.iss qurane paak par imaan lana har shaks par lazim hai.Aab na koi nabi ane vale hain,aur na koi kitab ane vali hai,jo iske khilaf Akhida rakhe voh momin nahi.Akhida:
Firishte Allah Azzawajal ki noori Makhlooq hain.Allah Tala ne unhen ye takat di hai ki jo chahe ban jayen.firishte allah tala ke hukum ke khilaf kuch nahi karte,na jaan-booj kar na bhul kar iss liye ki firishte masum hote hai,allah tala ne bahut se kaam firishton ke supurd farmaya hai,koi firishta jaan nikalne par,koi pani barsane par,koi maa ke pet me bachche ki surat banane par aur koi bandon ke namaye amal likhne par mukarrar hain,vaghaira.Akhida:
firishte na mard hain na aurat,blki voh noori jism ki makhlooq hain.firishton ka inkar karna,unse galti hone ka imkan manna bhi gumrahi hai aur yesa shaks momin nahi.MAUTH KE MUTALLIK AKHIDA
Aakhida:Mauth ka Aana bhi haq hai,har shakhs ki umr mukharrar hai na usse ghat sakti hai aur na bad sakti hai.jaab jindagi ka vakht pura ho jata hai to hazrat izrayil(Jo Maut ke firishte hain)Aate hain aur bande ki rooh nikal kar le jate hain.lekin rooh badan se nikal kar meet'ti nahi hai balki alame barzakh me rahti hai.imaan va amal ke yetbar se rooh ke liye alag-alag jagha mukharrar hai,khayamat Aane tak vahi rahegi.bahrhal rooh meet'ti nahi hai aur jis hal me bhi ho apne badan se ek tarka ka lagav rakhti hai badan ki taklif se use bhi taklif hoti hai aur badan ke Aram se rooh bhi aram pati hai,aur jo koi khabr par Aaya use dekhti,pahchanti aur uski baat bhi sunti hai.musalman ki nisbat se to hadis sharif me Aaya hai ki jab musalman mar jata hai to uski rah khol di jati hai, jahan chahe jaye.hazrat shaa abdul aziz mohaddise dehalvi rahamat ullah alai farmate hain ki "rooh ke liye koi jagah,door ya nazdik nahi balki sab barabar hai".
MURDE SE SAVAL VA JAVAB
Akhida:
Munkar Nakir ye Do firishte hain,Jo murde se badi kadak Aavaz me sakhti se Jhidkat huve tin savalat kart hain:- Man Rabbuka:Tera Raab Kon Hai?
- Maa Dinuka:Tera Deen Kai Hai?
- Maa Kunta Takhulu Fee Shani Haza Arrazuli:Inke Bare me Tu Kai Kahta hai?
Akhida:
Savab va Azab Murde ke badan aur rooh dono par hoga,murda agar dafan nahi kiya gaya balki jala diya gaya,ya kahi pada rah gaya,ya fenk diya gaya,gharje ki kahi ho usse vahi saval hoga yahan tak jisse sher kha gaya to sher ke pet me usse saval hoga aur azab va savab bhi bahi hoga.Akhida:
Khabr me Aram ya Taklif ka hona haq hai,khabr ke Azab aur Savab ka munkir gurah hai.Akhida:
Ambiya kiram se khabr me savalat nahi hote balki BaAz ummatiyon se bhi khabr ke savalat na honge jaise Jumma aur ramzan me intikal karne vale musalman.Akhida:
Nabi,Wali,Alime Din,Shahid,Hafize Quran,Jo Quran Par Amal bhi karta ho aur voh banda jisne kabi gunah na kiya ho aur boh banda jo har bakht darood sharif padta ho,in tamam ke badan ko mitti nahi kha sakti.Jo shakhs Ambiyaye kiram ko yah kahe ki "mar kar mitti me mila gaya"voh shakhs bedin,gumrah aur murtkibe tohin hainKHAYAMAT ANE KA HAL AUR USKI CHAND NISHANIYAN
Akhida:
Ek din dunya aur uski har chiz fana ho jayegi.allah Azzawajal ke siva kuch bakhi na rahega,isi ko khayamat kahte hai,khayamat ane se pahle uski nishaniyan zahir hogi jinme se kuch iss tarha hain:- Dunya se ilme din Ut jayega yani ulmaye haq utha liye jayenge.
- Zahalat ki kasrat hogi.
- Sharab aur zina ki kasrat hogi.
- Mard apni aurat ke kahne me hoga aur maa-baap se juda rahega.
- Gane Bajane Ki Kasrat Hogi.
- Pahale Ke Logon Par Lanat Karenge,Unko Bura Kahenge.
- Badkar Aur No Ahal log sardar banaye jayenge.
- Deen Par khayim rahana itna kathin hoga jaise mutti me Angar lena.
- Vakht me barkat na hogi yani vakht bahut bahut jald-jald guzrega.
- Darinde,janvar,Aadmi se bat karenge.
- Suraj pachim se nikalega aur iss nishani ke zahir hote hi toba ka darvaza band ho jayega,uss vakht islam lana khubul na hoga.
Iman Ka Bayan
2015-01-01T18:28:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara