A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:20:00 AM by shayarkishayari in    No comments
Sallallahu Alaihi O Sallam
Agar kisi ka tumhare upar koi haq tha aur tum us ko kisi vajah se ada nahi kar sake to agar vo haq ada karne ke khabil koi chiz ho maslan kisi ka tumhare upar kharz raha gaya tha to iss ko ada karne ki tin suraten hain ya to khud haq vale ko uss ka haq de do yani jis se kharz liya tha usi ko kharz ada kar do ya uss se kharz muaf kara lo aur agar vo shakhs mar gaya ho to uss ke varison ko uss ka haq yani kharz ada kar do.aur agar vo haq ada karne ki chiz na ho balki muaf karane ke khabil ho maslan kisi ki ghibat ki ho ya kisi par tohamat lagayi ho to zaruri hai ki uss shakhs se iss ko muaf kara lo.aur agar kisi vajah se hakhdaron se na un ke hukhuk ko muaf kara saka na ada kar saka.maslan sahibane haq mar chuke ho to un logon ke liye hamesha bakhshish ki dua karta rahe aur allah tala se toba va istigfar karta rahe to ummid hai ki khiyamat ke din allah tala sahibane haq ko bahut zaida ajro savab de kar is baat ke liye razi kar dega ki vo apne hukhuk ko muaf kar den.aur agar tumhara koi haq dusron par ho.aur us haq ke milne ki ummid ho to narmi ke saat takhaza karte raho.aur agar vo shakhs mar gaya ho to behtar yehi hai ki tum apne haq ko muaf kar do Insha Allah Azzawajal khiyamat ke din iss ke badle me bahut bada aur bahut zaida Ajro savab milega.

Aam tor par log banton ke hukhuk ada karne ki koi ahamiyat nahi samajte.halanki bandon ke hukhuk ka muamla bahut hi aham, nihayat hi sangin aur behad khofnak hai.balki ek haisiyat se dekha jaye to hukhukullah(Allah ke hukhuk) se zaida hukhukul ibad(Bandon ke Hukhuk) sakht hain.Allah Tala to Arhamarrahimin hai vo apne fazlo karam se apne bandon par raham farma kar apne hukhuk muaf farma dega magar bandon ke hukhuk ko allah tala us vakht tak nahi muaf farmayega.jab tak bande apne hukhuk ko na muaf kar den.lihaza bandon ke hukhuk ko ada karna ya muaf kara lena behad zaruri hai varna khiyamat me badi mushkilon ka samna hoga.hadis sharif me hai ki huzure akram Sallallahu Alaihi O Sallam ne ek martaba sahabaye kiram Alaihi Rizwan se farmaya ki kai tum log jante ho ki muflis kon shakhs hai? to shabaye kiram Alaihi Rizwan ne arz kiya ki jis shakhs ke pas dirham aur dusre mal va saman na ho vohi muflis hi to huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki meri ummat me Aala darje ka muflis vo shakhs hai ki vo kiyamat ke din namaz roza aur zakat ki nekiyon ko le kar maidane hashr me ayega magar uss ka ye hal hoga ki us ne dunya me kisi ko gali di hogi kisi par tohmat lagayi hogi.kisi ka mal kha liya hoga.kisi ka khun bahaya hoga,kisi ko mara hoga to ye sab hukhuk bale apne apne hukhuk ko talab karenge to allah tala us ki nekiyon se tamam hukhuk valon ko un ke hukhuk ke barabar nekiyan dilayega.agar is ki nikiyon se tamam hukhuk valon ke hukhuk na ada ho sake balki nekiyan khatm ho gayi aur hukhuk baki raha gaya to allah tala hukum dega ki tamam hukhuk valon ke gunah is ke saar par laad do.cunanche saab haq valon ke gunahon ko ye sar par uthayega fir jahannam me dal diya jayega.to ye shakhs saab se bada muflis hoga.

Ya Rab
Is liye intihayi zaruri hai ki ya to hukhuk ko ada kar do ya muaf kara lo.varna khiyamat ke din hukhuk vale tumhari sab nekiyon ko chin lenge aur un ke gunaho ka bhoj tum apne sar par le kar jahannam me jaoge.khuda ke liye socho ki tumhari be kasi va be basi aur muflisi ka khiyamat me kai hal hoga.