On 11:04:00 AM by shayarkishayari in Lecture No comments
Bukhari Sharif me hai ki Huzur Nabiye Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ne sahabaye kiram se farmaya ki tum log raston par baitne se bacho.to sahabaye kiram Alaihi Rizwan ne arz kiya:Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi O Sallam raston me baitne se to ham logon ke liye koi chara hi nahi hai.kuin ki in raston hi me to ham log bait kar baat chit kiya karte hain.to rasoole karam Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki agar tum log raston par baitho to raston ka haq ada karte raho.logon ne kaha ki ya rasoollallah Sallallahu Alaihi O Sallam raston ke hukhuk kai hain? to Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki raston ke hukhuk panch hain jo ye hai.
- Nigahe nichi rakhna.matlab ye hai ki rasta chunki Aam guzargah hota hai iss liye rasten par baitne valon ko lazim hai ki nigahen nichi rakhen.taki gair maharam auraton aur musalmano ke uyub maslan kothi,safed dag bale ya langde lule ko barabar ghur ghur kar na dekhen jis se in logon ki dil azari ho.
- Kisi musafir ya rahagir ko iza na pahunchayen.matlab ye hai ki raston me iss tarha na baite ki rasta tang ho jaye.yun hi rasta chalne valon ka mazak na udayen.na un ki tahkir aur yebjoyi kare.na dusri kisi khism ki taklif pahunchaye.
- Har guzarne vale ke salam ka javab dete rahe.
- Rasta chalne valon ko achchi baten batate rahen.
- Khilafe shariyat aur buri baton se logon ko manaA karte rahe.
RASTON KE HUKHUK
2015-02-10T11:04:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara