A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:38:00 AM by shayarkishayari in    No comments

Aksar mufassirin ke nazdik ye vakhia Hazrate Uzair Bin Sharkhiya Alaihis Salam ka hai ye jo Bani Israel ke ek Nabi hain. Vakhiye ki Tafsil ye hai ki jab bani israel ki Amaliyan bahut zaida bad jayi to in par khuda ki taraf se ye Azab aya ki bakhth nasr babili ek kafir badshaa ne bahut badi foz ke saath baitul mukhaddas par hamla kar diya aur shahar ke ek lack bashindon ko khatal kar diya. Aur ek lack ko mulke shaam me idar udar bikher kar abad kar diya. Aur ek lack ko giriftar kar ke londi gulam bana liya. Hazrate uzair Alaihis Salam bhi unhi kaidiyon me the. Iss ke baad us kafir badshaa ne pure shahar baitul mukhaddas ko tod fod kar mismar kar diya aur bilkul viran bana dala.

Bakht Nasr kon tha? :-

Khome amalka ka ek ladka in ke bhut "Nasar" ke pas lavaris pada huva mila chunki iss ke baap ka nam kisi ko  nahi malum tha, iss liye logon ne iss ka nam bakht nasr (nasar ka beta) rakh diya. Kuda ki shaan ki ye ladka bada ho kar kahare asfa badsha ki taraf se saltanate babil par gavarnar mukharrar ho gaya.Fir ye khud dunya ka bahut bada badsha ho gaya.

Kuch dino ke baad hazrate uzair alaihis salam jab kisi tarha "bakht nasr" ki kaid se riha huve to ek ghade par suvar ho kar apne shahar baitul mukhaddas me dakhil huve. Apne shahar ki virani aur barbadi dekh kar un ka dil bhar Aaya aur voh ro pade. Charo taraf chakkar lagaya magar unhen kisi insan ki shakal nazar nahi ayi. Han ye dekha ki vahan ke darakhton par khub zaida fal aye hain jo pak kar tayyar ho chuke hain magar koi in falon ko todne vala nahi hai. Ye manzar dekh kar nihayat hi hasrat va afsos ke saath be ikhtiyar Aap ki zabane mubarak se ye jumla nikal pada ki "Iss shahar ki yesi barbadi aur virani ke baad bhala kis tarha allah tala fir iss ko abad karega?" fir Aap ne kuch falon ko tod kar tanavul farmaya, aur Anguron ko nichod kar uss ka shira nosh farmaya fir bache huve falon ko apne jhole me dal liya aur bache huve angur ke shire ko apni mashk me bhar liya aur apne ghade ko ek mazbuth rassi se band diya. Aur fir Aap ek darakht ke niche lait kar so gaye aur isi  nind ki halat me Aap ki vafat ho gayi aur allah tala ne darindon, parindon aur jinn va insan sab ki ankhon se Aap ko Ojhal kar diya ki koi Aap ko na dekh daka. Yaha tak ki 70 baras ka zamana guzar gaya to mulke france ke badshahon me se ek badshaa apne lashkar ke saath baitul mukhaddas ke iss virane ma dakhil huva. Aur bahut se logon ko yahan la kar basaya aur shahar ko fir dobara abad kar diya. Aur bache khuche bani israel ko jo atraf va javanib me bikhere huve the saab ko bula bula kar iss shahar me abad kar diya. Allah in logon ne nayi imaraten bana kar aur khism khism ke bagh laga kar iss shahar ko pahale se bhi zaida khub surat aur ba ronakh bana diya.

Jab Hazrate Uzair Alaihis Salam ko pure 100 bars vafat ki halat me ho gaye to allah tala ne Aap ko zinda farmaya to Aap ne dekha ki Aap ka ghada mar chuka hai aur uss ki haddiyan gal sad kar idhar udhar bikhri padi hai. Magar thele me rakhe huve fal aur mashk me rakha huva angur ka shira bilkul kharab nahi huva, na falon me koi tagayur na shire me koi bu bas ya bad mazgi paida huvi hai aur Aap ne ye bhi dekha ki ab bhi Aap ke sar aur dadi ke bal kale hain aur Aap ki umr vohi chalis(40) baras hai. Aap hairan ho kar soch me pade the ki Aap par Vahi utari aur allah  tala ne Aap se daryaft farmaya ki ye uzair! Aap kitne dino tak yahan rahe? To Aap ne khayal kar ke kaha ki main subah ke vakht soya tha aur ab asar ka vakht ho gaya hai. ye javab diya ki main din bhar ya din bhar se kuch kam sota raha to Allah Tala ne farmaya ki nahi ye Uzair! Tum pure ek 100 baras yahan tahare rahe, Ab tum hamari kudrat ka nazara karne ke liye zara apne ghade ko dekho ki uss ki haddiyan gal sad kar bikhar chuki hai aur apne khane pine ki chizon par nazar dalo ki un me koi kharabi aur bigad nahi paida huva. Fir irshad farmaya ki ye Uzair! Ab tum dekho ki kis tarha ham in haddiyon ko utha kar in par gosht poshth chada kar iss gadhe ko zinda karte hai. Chunanche, Hazrate Uzair Alaihis Salam ne dekha ki achanak bikhri huve haddiyon me harkat paida huyi aur ek dam tamam haddiyan jama ho kar apne apne jod se mil kar gadhe ka dhancha ban gaya aur lamha bhar me iss dhanche par gosht poshth bhi chad gaya aur gadha zinda ho kar apni boli bolne laga. Ye dekh kar hazrate uzair alaihis salam ne buland avaz se ye kaha.

Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Main khoob janta hun ki allah sab kuch  kar sakta hai.

Is ke baad hazrate uzair alaihis salam shahar ka dora farmate huve uss jagah pahunch gaye jahan ek 100 baras pahale Aap ka makan tha. To na kisi ne Aap ko pahachana  na Aap ne kisi ko pahachana. Han albatta  ye dekha ki ek bahut hi buddi aur apahaz aurat makan ke pas baithi hai jis ne apne bachpan me hazrate uzair alaihis salam ko dekha tha. Aap ne uss se pucha ki kai yehi uzair ka makan hai to uss ne javab diya ki ji han. Fir budiya ne kaha ki uzair ka kai zikr hai? Un ko to 100 baras ho gaye ki vo bilkul hi la pata ho chuke hain ye kah kar budiya rone lagi to Aap ne farmaya ki ye budiya! main hi uzair hun to budiya ne kaha ki Subhanalla Aap kaise uzair ho sakte hain? Aap ne farmaya ki ye budiya! mujh ko allah tala ne ek 100 baras murda rakha. Fir mujh ko zinda farma diya aur main apne ghar Aa gaya hun to budiya ne kaha ki hazrate uzair alaihis salam to yese ba kamal the ki un ki har dua makhbul hoti thi agar Aap vakhayi hazrate uzair alaihis salam hai to mere liye dua kar dijiye ki meri ankhon me roshni Aa jaye aur mera faliz achcha ho jaye. Hazrate uzair alaihis salam ne dua kar di to budiya ki ankhon thik ho gayi aur uss ka faliz bhi achcha ho gaya. Fir uss ne ghor se Aap ko dekha to pahachan liya aur bol uthi ki main shahadat deti hun ki Aap yakhinan hazrate uzair alaihis salam hi hain fir vo budiya Aap ko le kar bani israel ke mahalle me gayi. Ittifakh se vo sab log ek majlis me jama the aur isi majlis me Aap ka ladka bhi mojud tha jo ek 118 baras ka ho chuka tha. Aur Aap ke chand pote bhi the jo saab budde ho chuke the. Budiya ne majlis me shahadat di aur yelan kiya ki ye logon! Bila shuba ye hazrate uzair alaihis salam hi hain magar kisi ne budiya ki bath ko sahih nahi mana. Itne me in ke ladke ne kaha ki mere baap ke dono kandhon ke darmiyan kale rang ka masa tha jo chand ki shakal ka tha. Chunanche, Aap ne apna kurta utar kar dikhaya to vo masa maujud tha. Fir logon ne kaha ki hazrate uzair ko to torait zabani yad thi agar Aap uzair hain to zabani torath pad kar sunayiye. Aap ne bighair kisi jhajak ke foran puri torath pad kar suna di. Bakht nasr badshaah ne baitul mukhaddas ko tabah karte vakhth 40 hazar torath ke alimon ko chun chun kar katal kar diya tha aur torath ki koi jild bhi uss ne zamin par bakhi nahi chodi thi. Ab ye suval paida huva ki hazrate uzair ne torath sahi padi hai ya nahi? to ek admi ne kaha ki mai ne apne baap se suna hai ki jis din ham logon ko bakht nasr ne giraftar kiya tha uss din ek virane me ek angur ki bel ki jad me torath ki ek jild dafan kar di gayi thi agar tum log mere dada ke angur ki jagah ki nishan dehi kar do to main torat ki ek jild baramad kar dunga. Uss vakht pata chal jayega ki hazrate uzair ne jo torath padi hai vo sahi hai ya nahi? Chunanche, logon ne talash kar ke aur zamin khod kar torath ki jild nikal li to vo harf ba harf hazrate uzair ki zabani yad ki huyi torath ke mutabikh thi. Ye ajibo garib aur hairat angez mazara dekh kar saab logon ne ek zaban ho kar ye kahana shuru kar diya ki beshak hazrate uzair yehi hain aur yakhinan ye khuda ke bete hain. Chunanche, Usi din se ye galat aur mushrikana akhida yahudiyon me fail gaya ki "mazallah" hazrate uzair khuda ke bete hain. Chunanche, Aaj tak dunya bhar ke yahudi iss batil akhide par jame huve hain ki hazrate uzair alaihis salam khuda ke bete hain.(Maza Allah)

Allah Tala ne Quran e Majid ki Surah Bakhra me iss vakhiye ko in lafjon me bayan farmaya hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Ya uss ki tarha jo guzara ek basti par aur voh tayi(giri) padi thi apni chaton par. Bola: Isse kuin kar jilayega allah iss ki maoth ke baad to allah ne use murda rakha 100 baras  fir zinda kar diya, Farmaya : Tu yahan kitna tahara, Arz ki : Din bhar tahara hounga ya kuch kam. Farmaya : Nahi balki tujhe 100 baras guzar gaye aur apne khane aur pani ko dekh ki Ab tak bun laya aur apne ghade ko dekh(Ki jis ki haddiyan tak salamat na rahi) aur ye iss liye ki tujhe ham logon ke vasite nishani karen aur in haddiyon ko dekh kuinkar ham inhen uthan dete fir inhen josht pahanate hain jab ye muamla iss par zahir ho gaya bola : Main khoob janta hun ki allah saab kuch kar sakta hai.

Darse Hidayat:

  1. In ayaton me saaf saaf  maujud hai ki ek hi jagah par ek hi Aabo hava me Hazrate Uzair Alaihis Salam ka gadha to mar kar gal sad gaya aur uss ki haddiyan reza reza ho kar bikhar gayi magar falon aur shira e angur aur khud hazrate uzair alaihis salam ki zaath me kisi khisam ka koi taghayyur nahi huva. Yahan tak ki 100 baras me in ke baal bhi safed nahi huve. Iss se sabit hota hai ki ek hi khabristan ke andar ek hi Aabo hava me agar baaz murdon ki lashon gal sad kar fana ho jayen aur baaz buzurgon ki lashe salamat rah jayen aur un ke kafan bhi maile na ho yesa ho sakta hai, Balki barha yesa huva hai aur hazrate uzair alaihis salam ka ye Qurani vakhia iss ki behtarin dalil hai.
  2. Baitul Mukhaddas ki tabahi aur birani dekh kar Hazrate Uzair Alaihis Salam gham me dub gaye aur fikar mand ho kar ye kah diya ki iss shahar ki barbadi aur virani ke baad kuinkar allah tala iss shahar ko dobara abad farmayega? Iss se sabith hota hai ki apne vatan aur shahar se mahabbath karna aur ulfath rakhna ye salihin aur allah valon ka tarikha hai.