On 4:05:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Ye Hazrate Hazakhil Alaihis Salam ki khom ka ek bada hi Ibrat khaiz aur intihayi nasihat amez vakhia hai jis ko khudavande khuddus ne quran e majid ki surah e bakhra me bayan farmaya hai.
Hazrate Hazakhil Alaihis Salam kon the? :-Ye Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ke tisre(3) khalifa hain jo mansabe nabuvath par sarfaraz kiye gaye. Hazrate Nabi Musa Alaihi Salam ka jism mubarak parda farmaneke baad Aap ke khilafa e Avval Hazrate Yusha Bin Noon Alaihis Salam Huve jin ko Allah Tala ne Nubuvath ata farmayi. In ke baad Hazrate Khalib Bin Yuhana Alaihis Salam Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ki khilafat se sarfaraz ho kar martabaye nabuvath par fayiz huve. Fir in ke Baad Hazrate Hazakhil Alaihis Salam Hazrate Musa Alaihis Salam ke Janshin aur Nabi huve.
Hazrate Hazakhil Alaihis Salam ka lakhab ibnul ajuz(Budiya ke Bete) hai. Aur Aap Zul Khifl bhi kahalate hain. "Ibnul Ajuz" kahlane ki vajah ye hai ki ye uss waqth paida huve the jab ki in ki valida majida bahuth buddi ho chuki thi.Aur Aap ka lakhab Zul Khifl iss liye huva ki Aap ne apni khafalat me le kar sattar ambiyaye kiram ko khatl se bacha liya tha jin ke khatl par yahudi khom amada ho gayi thi. Fir ye khud bhi khuda ke fazlo karam se yahudiyon ki talvar se bach gaye aur barson zinda rah kar apni khom ko hidayat farmate rahe.

Murdon ke Zinda Hone ka Vakhiya:
Iss ka vakhiya ye hai ki bani israel ki ek jamath jo hazrate hazakhil alaihis salam ke shahar me rahati thi, shahar me ta'un ki vaba fail jane se in logon par mauth ka khof suvar ho gaya. Aur ye log mauth ke dar se saab shahar chod kar ek jangal me bhag gaye aur vahi rahne lage to Allah Tala ko in logon ki ye harkat bahut zaida napasand huyi. Chunanche, Allah Tala ne ek Azab ke firishte ko uss jangal me bhej diya. Jis ne ek pahad ki Aad me chup kar aur chikh mar kar buland avaz se ye kah diya ki " Mau Tu" yani tum sab mar javoge aur iss muhib aur bhayanak chikh ko sun kar bighair kisi bimari ke bilkul achanak ye sab ke sab mar gaye jin ki tadad 70,000 thi. In murdon ki tadad iss khadar zaida thi ki log in ke kafan va dafan ka koi intizam nahi kar sake aur in murdon ki lashen khule maidan me be ghore kafan 8 din tak padi padi sadne lagi aur be intiha tafun aur badbu se pure jangal balki iss ke atraf me badbu paida ho gayi. Kuch logon ne in ki lashon par raham kha kar charon taraf se divar utha di taki ye lashen darindon se mahfuz rahe.
Kuch dino ke baad Hazrate Hazakhil Alaihis Salam ka iss jangal me un lashon ke pas se guzar huva to apni khom ke sattar(70,000) hazar insano ki iss maute nagahani aur be ghore kafan lasho ki firavani dekh kar ranjo gham se in ka dil bhar gaya. Aab dida ho gaye aur Bari Tala ke darbar me dukh bhare dil se gid gida kar dua mangne lage ki ya Allah Ye meri khom ke afrad the jo apni nadani se ye galti kar baithe ki mauth ke dar se shahar chod kar jangal me Aa gaya. Ye saab mere shahar ke bashinde hain in logon se muje uns tha aur ye log mere dukh sukh ke sharik the. Afsos ki meri khom halak ho gayi aur main bilkul akela rah gaya. Ye mere raab ye vo khom thi jo teri hamd karti thi aur teri tohid ka yelan karti thi aur teri kibriyayi ka khutba padti thi.
Aap bade Soje dil ke saath dua me mashgul the ki achanak Aap par ye Vahi utar padi ki ye Hazakhil Alaihis Salam Aap in ki bikhri huyi Haddiyon se farma dijiye ki ye Haddiyon! Beshak Allah Tala tum ko hukum farmata hai ki tum Ikhatta ho javo. Ye sun kar bikhri huvi haddiyon me harkat paida huyi aur har admi ki haddiyan jamaa ho kar haddiyon ke dhanche ban gaye. Fir ye vahi ayi ki ye Hazakhil Alaihis Salam Aap farma dijiye ke ye haddiyon! Tum ko Allah ka ye hukum hai ki tum gosht pahan lo. Ye kalam sunte hi foran haddiyon ke dhanchon par gosht posth chad gaya. Fir tisri bar ye vahi nazil huvi. Ye Hazakil Aab ye kah do ki ye Murdon! Khuda ke hukum se tum sab Ut kar khade ho javo. Chunanche,Aap ne ye farma diya to Aap ki jaban se jumla nikalte hi Sattar Hazar (70,000) lashen dam zadan me nagahan ye padte huve khadi ho gayi ki "Subhanakallahumma Va Bihamdika La Ilaha Illa Anta" Fir ye sab log jangal se ravana ho kar apne shahar me Aa kar dobara abad ho gaye. Aur apni urmon ki muddat bhar jinda rahe lekin in logon par iss mauth ka itna nishan bakhi rah gaya ki in ki avlad ke jismon se sadi huvi lash ki bad bu barabar ati rahi aur ye log jo kapda bhi pahante the vo kafan ki surat me ho jata tha. Aur khabr me jis tarha kafan mela ho jata tha yesa hi melapan in ke kapdon par numudar ho jata tha. Chunanche, ye asrath Aaj tak in yahudiyon me paya jate hain jo in logon ki nasal se bakhi rah gaye hain.
Ye Ajibo Gharib vakhia Quran e Majid ki Surah Bakhra me Khudavande Khuddus ne iss tarha bayan farma ya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Ye Mahabub kai tum ne na dekha tha unhen jo apne gharon se nikle aur voh Hazaron the mauth ke dar se to Allah ne un se faramaya mar javo fir unhen jinda farma diya beshak Allah logon par fazl karne vala hai magar aksar log nashukkre hain.
Dars Hidayat:
Bani Israel ke is mahiyyarul Ukhul Vakhiye se mundarijaye zail hidayat milti hai:

- Admi mauth ke dar se bhag kar apni jan nahi bacha sakta. Lihaza mauth se bhagna bilkul hi bekar hai.Allah Tala ne jo mauth mukaddar farma di hai vo apne vakht par zarur ayegi na ek secound apne vakhth se pahale Aa sakti hai na ek secound Baad Ayegi lihaza Bandon ko lazim hai ki razaye ilahi par razi rah kar sabiro shakir rahen aur khwa kitni hi vaba faile ya dhumsan ka ran pade itminan va sukun ka daman apne haath se na choden aur ye yakhin rakhen ki jab tak meri mauth nahi ati muje koi nahi mar sakta aur na main mar sakta hun aur jab meri mauth Aa jayegi to main kuch bhi karun, kahi bi chala jaun,bhag jaun ya dat kar khada rahun main kisi hal me bach nahi sakta.
- Iss Ayath me khas tor par mujahidin ko hidayat ki gayi hai ki jihad se gurez karna ya maidane jang chod bhag jaya hargiz mauth ko dafa nahi kar sakta lihaza mujahidin ko maidane jang me dil mazbuth kar ke date rahana chahiye aur ye yakhin rakhna chahiye ki main mauth ke vakht se pahale nahi mar sakta, na koi mujhe mar sakta hai. Ye akhida rakhne vala iss khadar bahadur aur sher dil ho jata hai ki khof aur buzdili kabhi uss ke kharib nahi ati aur uss ke paye istikhalal me kabhi bal barabar bhi koi lagjish nahi Aa sakti. Islam ka bakhsha huva yehi vo mukhaddas akhida hai ki jis ki badolat mujahidine islam hazaron kuffar ke mukable me tanha pahad ki tarha jam kar jang karte the. Yahan tak ki fatheh mubin in ke khadmon ka bosa leti thi. Aur vo har jang me Muzaffar va mansur ho kar arze azim aur male ghanimath ki daulath se mala mal ho kar apne gharon me iss hal me vapas ate the ki un ke jismon par zakhamon ki koi kharash bhi nahi hoti thi aur vo kuffar ke dal badal lashkaron ka safaya kar dete the. Shayire mashrukh ne iss manzar ki tasbir kashi karte huve kisi mujahide islam ki zaban se ye tarana sunaya hai ki.
Taa'l na sakte the Agar jang me Aad jate the
Paon Sheron ke bhi maidan se Ukhad jate the.
Haq se sarkash huva koi to bigad jate the
Taigh kai chiz hai? Ham Top se lad jate the.
Naksh tohid ka har dil pe bithaya ham ne
Zere Khanjar bhi ye paigham sunaya ham ne.
(Kulliyate Iqbal)
Latifa:-
Mankhul hai ki banu umaya ka badsha abdull malik bin marvan jab mulke shaam me taun ki vaba faili to mauth ke dar se ghode par savar ho kar Apne shahar se bhag nikala aur saath me apne khas ghulam aur kuch faiz bhi le li aur vo taun ke dar se iss khadar khayif aur harasan tha ki zamin par paon nahi rakhta tha balki ghode ki push par sota tha. Daurane safar ek raath us ko nind nahi ayi. To us ne apne ghulam se kaha ki tum mujhe khissa sunavo. To hoshiyar ghulam ne badsha ko nasiyat karne ka mokha pa kar ye khissa sunaya ki ek lomdi apni jan ki hifazat ke liye ek sher ki khidmat guzari kiya karti thi to koi darinda sher ki haibat ki vajah se lomdi ki taraf dekh nahi sakta tha. Aur lomdi nihayat hi be khofi aur itminan se sher ke saath zindagi basar karti thi. Achanak ek din ek ukhab lomdi par jhapta to lomdi bhag kar sher ke pas chali gayi. Aur sher ne uss ko apni pit par bitha liya. Ukhab dobara jhapata aur lomdi ko sher ko pit par se apne chungal me daba kar ud gaya. Lomdi chilla chilla kar sher se faryad karne lagi to sher ne kaha ki ye lomdi! Main zamin par rahane vale darindon se teri hifazath kar sakta hun lekin asman ki taraf se hamla karne valon se main tujhe nahi bacha sakta. Ye khissa sun kar Abdul Malik Badshaa ko badi ibrath hasil huyi aur un ki samaj me Aa gaya ki meri foz un dushmano se to meri hifazat kar sakhti hai jo zamin par rahate hain magar jo balayen aur vabayen asman se mujh par hamla avar ho, Un se mujh ko na meri badshahi bacha sakhti hai na mera khazana aur na mera lashkar meri hifazat kar sakta hai. Asmani balavon se bachane vala to bujuz Khuda ke aur koi nahi ho sakta. Ye soch kar abdul malik badshaa ke dil se, Taun ka khof jata raha aur vo raza e ilahi par razi rah kar sukun va itminan ke saath apne shahi mahal me rahane laga.
70 Hazar Murde Zinda Ho Gaye
2015-03-25T16:05:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara