On 12:33:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Ye Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ki vo Mukhaddas lathi hai.Jis ko "Asa E Musa" kahte hain iss ke zariye Aap ke bahuth se un mojizath ka zahur huva jin ko Quran E Majid me mukhtalif Unvano ke saath bar bar bayan farmaya hai.
Iss Mukhaddas lathi ki tarikh bahut khadim hai jo apne daman me saikdon un tarikhi vakhiyath ko samete huve hai jin me ibraton aur nasihaton ke hazaron nishanath sitaron ki tarha jagmaga rahe hain.Jin se ahle nazar ko basirat ki roshni aur hidayat ka noor milta hai.
Ye Lathi Hazrate Musa Alaihissalam ke khad barabar das haat lambi thi.Aur iss ke sar par do shakhen thi jo raat me Mashal ki tarha roshan ho jaya karti thi. Ye jannat ke darakht "Pilu" ki lakdi se banayi gayi thi aur iss ko Hazrate Adam Alaihis Salam bahisht se apne saat laye the.Chunanche,Hazrate Syed Ali Hizveri Alaihi Rahamath ne farmaya ki.
Tarzama: Hazrate Adam Alaihis Salam ke saat Und (Khushbudar Lakdi), Hazrate Musa Alaihis Salam ka Asa (Jo Izzath vali pilu ki lakdi ka tha),Anjeer ki pattiyan,Hazare Asvad jo makka e muazzama me hai aur nabi e muazzama hazrate Suleman Alaihis Salam ki Angothi ye pancho chizen Jannat se utari gayi.
Hazrate Adam Alaihis Salam ke Baad ye mukhaddas asa hazrate Ambiya e kiram Alaihimus Salatu vassalam ko yake baad digare batore miras ke milta raha. Yahan tak ki Hazrate Shoyeb Alaihis Salam ko mila jo "Khome Madyan" ke nabi the jab hazrate musa alaihis salam misar se hijrat farma kar madyan tashrif le gaye hazrate shoyeb alaihis salam ne apni sahibzadi (hazrate bibi safura Raziyallahu Tala Anha) se Aap ka nikah farma diya. Aur Aap das baras tak hazrate shoyeb alaihis salam ki khidmat me raha kar Aap ki bakriyan charate rahe. Uss waqth hazrate shoyeb alaihis salam ne hukume khudavandi azzawajal ke mutabik Aap ko ye mukhaddas asa ata farmaya.
Fir jab Aap apni zojaye mohtarma ko saat le kar madyan se misar apne vatan ke liye ravana huye aur vadiye mukhaddas makame "Tuva" me pahunche to Allah Tala ne apni tajalli se Aap ko sarfaraz farma kar mansabe risalat ke sharaf se sarbuland farmaya. Uss waqth Hazrate Hakha jalmajda ne Aap se jiss tarha kalam farmaya.Quran E Majid ne uss ko iss tarha bayan farmaya ki.
Tarzama E Kanzul Imaan:- Aur ye tere dahine haat me kai hai? Ye Musa! Arz ki : Ye mera Asa hai, Main iss par takya (Tek va Sahara) lagata hun aur iss se apni bakriyon par patte jhadata hun aur mere iss me aur kam hain.
MaAribu Ukhra (Dusre Kamon) ki tafsir me hazrate allama abul barkat abdullah bin ahmad nasfi Alaihi Rahamat ne farmaya ki maslan:
Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam iss mukhaddas lathi se mazkura bala kam nikalte rahe magar jab Aap firon ke darbar me hidayat farmane ki garaz se tashrif le gaye aur uss ne Aap ko jadugar kaha kar jhutlaya to Aap ke iss Asa ke zariye bade bade mojizath ka zuhur shuru ho gaya, jin me se tin mojizath ka tazkira Quran E Majid ne bar bar farmaya jo hasbe zail hai.Iss Mukhaddas lathi ki tarikh bahut khadim hai jo apne daman me saikdon un tarikhi vakhiyath ko samete huve hai jin me ibraton aur nasihaton ke hazaron nishanath sitaron ki tarha jagmaga rahe hain.Jin se ahle nazar ko basirat ki roshni aur hidayat ka noor milta hai.
Ye Lathi Hazrate Musa Alaihissalam ke khad barabar das haat lambi thi.Aur iss ke sar par do shakhen thi jo raat me Mashal ki tarha roshan ho jaya karti thi. Ye jannat ke darakht "Pilu" ki lakdi se banayi gayi thi aur iss ko Hazrate Adam Alaihis Salam bahisht se apne saat laye the.Chunanche,Hazrate Syed Ali Hizveri Alaihi Rahamath ne farmaya ki.
Tarzama: Hazrate Adam Alaihis Salam ke saat Und (Khushbudar Lakdi), Hazrate Musa Alaihis Salam ka Asa (Jo Izzath vali pilu ki lakdi ka tha),Anjeer ki pattiyan,Hazare Asvad jo makka e muazzama me hai aur nabi e muazzama hazrate Suleman Alaihis Salam ki Angothi ye pancho chizen Jannat se utari gayi.
Hazrate Adam Alaihis Salam ke Baad ye mukhaddas asa hazrate Ambiya e kiram Alaihimus Salatu vassalam ko yake baad digare batore miras ke milta raha. Yahan tak ki Hazrate Shoyeb Alaihis Salam ko mila jo "Khome Madyan" ke nabi the jab hazrate musa alaihis salam misar se hijrat farma kar madyan tashrif le gaye hazrate shoyeb alaihis salam ne apni sahibzadi (hazrate bibi safura Raziyallahu Tala Anha) se Aap ka nikah farma diya. Aur Aap das baras tak hazrate shoyeb alaihis salam ki khidmat me raha kar Aap ki bakriyan charate rahe. Uss waqth hazrate shoyeb alaihis salam ne hukume khudavandi azzawajal ke mutabik Aap ko ye mukhaddas asa ata farmaya.
Fir jab Aap apni zojaye mohtarma ko saat le kar madyan se misar apne vatan ke liye ravana huye aur vadiye mukhaddas makame "Tuva" me pahunche to Allah Tala ne apni tajalli se Aap ko sarfaraz farma kar mansabe risalat ke sharaf se sarbuland farmaya. Uss waqth Hazrate Hakha jalmajda ne Aap se jiss tarha kalam farmaya.Quran E Majid ne uss ko iss tarha bayan farmaya ki.
Tarzama E Kanzul Imaan:- Aur ye tere dahine haat me kai hai? Ye Musa! Arz ki : Ye mera Asa hai, Main iss par takya (Tek va Sahara) lagata hun aur iss se apni bakriyon par patte jhadata hun aur mere iss me aur kam hain.
MaAribu Ukhra (Dusre Kamon) ki tafsir me hazrate allama abul barkat abdullah bin ahmad nasfi Alaihi Rahamat ne farmaya ki maslan:
- Uss ko saat me le kar uss ke sahare chalna.
- Uss se baat chit kar ke dil bahalana.
- Din me uss ka darakht ban kar Aap par saya karna.
- Raat me uss ki dono shakhon ka roshan ho kar Aap ko roshni dena.
- Uss se dusmano,Darindon aur Sampon,Bichchuon ko marna.
- Kuvven se pani bharne ke waqth uss ka rassi ban jana aur uss ki dono shakhon ka dhol ban jana.
- Ba waqht te zarurath uss ka darakht ban kar hasbe khwahish fal dena.
- Uss ko zamin me gad dene se pani nikal padna vaghaira.
Asa Hasdah ban gaya
Iss ka vakhiya ye hai ki firon ne ek mela lagvaya. Aur apni puri saltanat ke jadugaron ko jama kar ke Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ko shikasth dene ke liye mukhable par lagadiya. Aur uss mele ke izadaham me jahan lakhon insano ka majma tha, ek taraf jadugaron ka hukum apni jadugari ka saman le kar jama ho gaya. Aur uss jadugaron ki foz ke mukable me Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam tanha dat gaye. Jadugaron ne firon ki izzath ki khasam kha kar apne jadu ki lathiyon aur rassiyon ko fenka to ek dam vo tathiyan aur rassiyan samp ban kar pure maidan me har taraf funkaren mar kar dodne lagin aur pura majma khof va hiras me bad havas ho kar idar udhar bhagne laga aur firon aur uss ke tamam jadugar iss kartab ko dikha kar apni fatah ke ghamand aur gurur ke nashe me bad mast ho gaye aur joshe shadmani se taliyan baja baja kar apni masarrath ka izhar karne lage ki itne me nagaha hazrate nabi musa Alaihis Salam ne khuda ke hukum se apni mukhaddas lathi ko un sampon ke huzum me dal diya to ye lathi ek bahut bada aur nihayat haibat nak azdah ban kar jadugaron ke tamam sampon ko nigal gaya. Ye mojiza dekh kar tamam jadugar apni shikast ka yetiraf karte huve sajde me gir pade aur ba avaze buland yelan karna shuru kar diya ki "Amanna Bi Rabbi Haruna Va Musa" Yani ham sab Hazrate Harun aur Hazrate Musa Alaihis Salam ke raab par imaan laye.
Chunanche, Quran E Majid ne iss vakhiye ka Zikr karte huve Irshad farmaya Ki.
Tarjuma E Kanzul Imaan: Bole ye Musa ya to tum dalo ya ham pahale dalen, Musa ne kaha balki tumhi dalo jabbhi un ki rassiyan aur lathiyan un ke jadu ke zor se un ke khayal me dodti malum huyi to Aap ne ji me Musa ne khof paya, Ham ne farmaya dar nahi beshak tu hi ghalib hai aur dal to de jo tere dahine haath me hai vo un ki banavaton ko nigal jayega vo jo bana kar laye hain vo to jadugar ka fareb hai aur jadugar ka bala nahi hota kahin ave, to saab jadugar sajde me gira liye gaye bole ham uss par imaan laye jo haroon aur musa ka raab hai.
Asa Marne Se Chashme Jari Ho Gaye:
Bani Israyil ka asal vatan mulke shaam tha lekin hazrate Yusuf Alaihis Salam ke daure hukumat me ye log misar me Aa kar abad ho gaye aur mulke shaam par khome amalika ka tasalluth aur kabza ho gaya.Jo badtarin khism ke kuffar the.Jab firon darya Neel me gharkh ho gaya aur hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ko firon ke khatarath se itminan ho gaya to Allah Tala ne hukum diya ki khone Amalka se jihad kar ke mulke shaam ko un ke khabze va tasalluth se azad karayen. Chunanche, Aap 6 Lack bani Israyil ki foj le kar jihad ke liye ravana ho gaye magar mulke shaam ki hudud me pahunch kar bani israyil par khome amalaka ka yesa khof suvar ho gaya ki bani israyil himmat har gaye aur jihad se muh fer liya. Iss nafarmani par Allah Tala ne bani israyil ko ye saza di ki ye log chalis baras tak " Maidane Tiha" me bhatakte aur ghumte fire aur iss maidan se bahar na nikal sake. Hazrate Musa Alaihis Salam bhi in logon ke saath maidane tiha me tashrif farma the. Jab bani israyil iss be Aabo gayah maidan me bhuk va pyas ki shiddat se be kharar ho gaye to Allah Tala ne hazrate nabi musa alihis salam ki dua se in logon ke khane ke liye "Manna Va Salva" asman se utara .Manna Shahad ki tarha ek khisam ka halva tha, aur salva buni huyi bateren thi. Khane ke baad jab ye log pyas se betab hone lage aur pani mangne lage to hazrate nabi musa alaihis salam ne patthar par apna asa mar diya to uss patthar me barah(12) chashme fut kar bahane lage aur bani israyil ke barah khandan apne apne ek chashme se pani le kar khud bhi pine lage aur apne janvaron ko bhi pilane lage aur pure chalis baras tak ye silsila jari raha. Ye Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ka mojiza tha jo asa aur patthar ke zariye zuhur me aya. Quran E Majid ne iss vakhiye aur mojize ka bayan karte huve irshad farmaya ki.
Tarjuma E Kanzul Imaan: Aur Jab Musa ne Apni Khom ke liye pani manga to ham ne farmaya uss patthar par apna asa maro foran uss me se barah(12) chashme baha nikle.Har guroh ne apna ghata pahchan liya.
Asa Ki Maar Se Darya Fat Gaya:
Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ek muddate daraz tak firon ko hidayat farmate rahe aur ayat va mojizat dikhate rahe magar uss ne haq ko kabul nahi kiya bilki aur ziyada uss ki shararath va sarkashi badti rahi. Aur bani israyil ne chunki uss ki khudayi ko taslim nahi kiya iss liye uss ne in moaminin ko bahut ziyada zulmo sitam ka nishan banaya. Iss doran main ek dam Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam par vahi utari ki Aap apni khom bani Israyil ko apne saath le kar raat me misar se hijrat kar jayen. Chunanche,Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam Bani Israyil ko hamraah le kar raat me misar se ravana ho gaya.
Jab firon ko pata chala to vo bhi apne lashkaron ko saat le kar bani israyil ki giraftari ke liye chal pada. Jab dono lashkar ek duste ke kharib ho gaye to bani israyil firon ke khof se chikh pade ki Aab to ham firon ke haton giraftar ho jayenge aur bani israyil ki pozision bahuth nazukh ho gayi kuin ki in ke piche firon ka khoon khwar lashkar tha aur age maujen marta huva darya tha. Iss pareshani ke alam me Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam mutmayin the aur bani israyil ko tasalli de rahe the. Jab darya ke pas pahunch gaye to Allah Tala ne Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ko hukum farmaya ki tum apni tathi darya par mar do. Chunanche, Junhi Aap ne darya par lathi mari to foran hi darya me barha (12) sadken ban gayi aur bani israyil un sadkon par chal kar salamati ke saath darya se paar nikal gaye. Firon jab darya ke kharib pahuncha aur uss ne darya ki sadkon ko dekha to vo bhi apne lashkaron ke saath un sadakon par chal pada. Magar jab firon aur uss ka lashkar darya ke bich me pahuncha to achanak darya mauje marne laga aur saab sadken khatam ho gayi aur firon apne lashkaron samet darya me garkh ho gaya. Iss vakhiye ko Quran E Majid ne iss tarha bayan farmaya ki.
Tarjuma E Kanzul Imaan:
Fir jab amna samna huva dono gurohon ka, Musa valon ne kaha ham ko unhon ne Aa liya. Musa ne farmaya : Yun nahi beshak mera raab mere saath hai vo mujhe ab raah deta hai. To ham ne musa ko vahi farmayi ki darya par apna asa mara to jabhi darya fat gaya to har hissa ho gaya jaise bada pahad. Aur vo karib laya ham dusron ko aur ham ne bacha liya musa aur uss ke sab saath valon ko fir duston ko dabo diya beshak iss me zarur nishani hai aur un me aksar musalman na the.
Ye hain Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ki mukhaddas lathi ke zariye zahir hone vale vo tino Azimushshaan Mojizath jin ko Quran Ne Karim ne mukhtalif alfaz aur muta Addid unvano ke saath bar bar bayan farma kar logon ke liye ibrat aur hidayat ka saman bana diya hai.
Jannat Ki Lathi
2015-03-19T12:33:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara