On 10:41:00 AM by shayarkishayari in Lecture No comments
Ye ek haat lamba ek haat choda chokura patthar tha, Jo hamesha Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ke Jhole me rahta tha. Iss mubarak patthar ke zariye hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ke 2 Mojizath ka zahur huva. Jin ka tazkira Quran E Majid me bhi huva hai.
Pahala Mojiza:
Iss patthar ka pahala ajib karnama jo dar hakhikat hazrate nabi musa alaihis salam ka mojiza tha vo iss patthar ki danishmandana lambi daud hai aur yehi mojiza iss patthar ke milne ki tarikh hai. Iss ka mufassal vakhiya ye hai ki bani israel ka ye Aam dastur tha ki vo bilkul nange badan ho kar majmaye Aam me gusul kiya karte the.Magar Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam goya ki isi khom ke ek fard the aur isi mahol me pale bade the, Lekin khudabande khuddus ne un ko nabuvath va risalat ki azmaton se sarfaraj farmaya tha. Iss liye Aap ki ismate nabuvath bhala iss haya soj be ghairati ko kab gavara kar sakti thi? Aap bani israel ki iss behayayi se sakht nalan aur intihayi bezar the iss liye Aap hamesha ya to tanhayi me ya tahaband pahan kar gusul farmaya karte the. Bani Israel ne jab ye dekha ki Aap kabhi bhi nange ho kar gusul nahi farmate to zalimo ne Aap par bohtan laga diya ki Aap ke badan ke androni hisse me ya to bars ka safed dagh ya koi yesa yeb zarur hai ki jis ko chupane ke liye ye kabhi barhana nahi hote aur zalimo ne iss tohmat ka iss khadar yelan aur charcha kiya ki har kunche va bazar me iss ka propaganda fail gaya. Iss makruh tohmat ki shorish ka Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ke balbe nazuk par bada sadma va ranj guzara aur Aap badi khofat aur aziyat me pad gaye.To khudabande khuddus apne mukhaddas kalim ke ranjo gham ko bhala kab gavara farmata. Aur apne ek barguzida rasool par ek yeb ki tohmat bhala khalikhe alam ko kab aur kuinkar aur kis tarha pasand ho sakti thi. ArhamurRahimin ne Aap ki baraAt aur be yebi zahir kar dene ka ek yesa zaria paida farma diya ki dam zadan me bani israel ke propaganda aur un ke shukhuk va shubhat ke badla chat gaye aur Aap ki barAt aur be yebi ka suraj aftabe alam tab se zaida roshan va ashkar ho gaya.
Aur vo yun huva ki ek din Aap pahadon ke damano me chupe huve ek chashme par gusul ke liye tashrif le gaye aur ye dekh kar ki yahan door door tak kisi insaan ka namo nishan nahi hai, Aap apne tamam kapdon ko ek patthar par rakh kar aur bilkul barhana badan ho kar gusul farmane lage, gusul ke baad jab Aap libas pahanne ke liye patthar ke pass pahunche to kai dekha ki vo patthar Aap ke kapdon ko liye huve sarpat bhag chala jaa raha hai. Ye dekh kar hazrate nabi musa alaihis salam bhi uss patthar ke piche piche daud ne lage ki "Subi Hajar,Subi Hajar" Yani ye patthar! mera kapda.ye patthar mera kapda.Magar ye patthar barabar bhagta raha. Yahan tak ki shahar ki badi badi sadkon se guzarta huva gali kunche me pahunch gaya. Aur Aap bhi barhana badan hone ki halat me barabar patthar ko dodate chale gaye. Iss tarha Bani Israel ke har chote bade ne apni Aankhon se dekh liya ki sar se paon tak Aap ke mukhaddas badan me kahin bhi koi yeb nahi hai balki Aap ke jisme akdas ka har hissa husno jamal me iss khadar nukhta e kamal ko pahuncha huva hai ki Aam inshano me iss ki misal takriban muhal hai. Cunanche,Bani israel ke har har fard ki zaban par yehi jumla tha ki "Khuda ki khasam Musa Bilkul hi be yeb hain".
Jab ye patthar puri tarha hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ki baraAt ka yelan kar chuka to khud ba khud tahar gaya. Aap ne jaldi se apna libas pahan liya aur uss patthar ko utha kar apne jhole me rakh liya.
Allah Tala ne iss bakhiya ka zikr Quran Ne Majid me iss tarha bayan farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Ye imaan valon uss jaise na hona jinho ne musa ko sataya to allah ne use bari farma diya iss baat se jo unho ne kahi. Aur musa allah ke yaha abru vala hai.
Dusra Mojiza:
"Maidane Tih" me isi patthar par hazrate Nabi musa Alihis Salam Asa mar diya tha to iss me se barha(12) chashme jari ho gaye the jis ke pani ko chalis baras tak bani israel maidane tih me istimal karte rahe. jis ka pura vakhiA pahle guzar chuka hai Qurane Majid ki ayath
Me "Pattahar" se yehi patthar murad hai.
Ek Shube Ka Izala:
Mojizat ke munkirin jo har chiz ko apni nakis akal ki aynak hi se dekha karte hain.Iss patthar se pani ke chashmo ka jari hona muhal karar de kar iss mojize ka inkar karte hain aur kahte hain ki hamari akal iss ko kabul nahi kar sakti ki itne chote se patthar se barah chashme jari ho gaye. Halan ki ye munkirin apni Aakhon se dekh rahe hain ki baaz pattharon me khudabande tala ne ye tasir paida farma di hai ki voh bal mund dete hain, baaz pattharon ka ye asar hai ki voh sirke ko tez aur tursh bana dete hain, Baaz pattharon ki ye khasiyat hai ki vo lohe ko door se khinch lete hain, baaz pattharon se muzi janvar bhag jate hain, Baaz pattharon se janvaron ka zahar utar jata hai, Baaz patthar dil ki dhadkan ke liye tiryak hain, Baaz pattharon ko na Aag jala sakti hai na garm kar sakti hai, Baaz pattharon se Aag nikal pad ti hain,Baaz pattharon se atsho fashan fat padta hai to jab khudabande khuddus ne pattharon me khism khism ke asarat paida farma diye hain to fir iss me kon si khilafe akhal aur muhal baat hai ki hazrate Nabi musa alaihis salam ke iss patthar me allah tala ne ye asar bakhsh diya aur iss me ye khasiyat ata farma di ki vo zamin ke andar se pani jazb kar ke chashmon ki shakal me bahar nikalta rahe ya iss patthar me ye tasir ho ki jo hava iss patthar se takrati ho vo pani ban kar musalsal bahti rahe ye khudabande khadir va khadir ki khudrat se hargiz hargiz na koi bayid hai na muhal na khilafe akhal. Lihaza iss mojize par imaan lana zaruriyate deen me se hai aur iss ka inkar kufr hai Quran E Majid me hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Aur pattharon me to kuch voh hai jin se nadiyan baha nikalti hai aur kuch voh hain jo fat jate hain to un se pani nikalta hai aur kuch voh hain ki allah ke dar se gir padte hain.
Bahar haal pattharon se pani nikalna ye rozana ka chashmadid mushahada hai to fir bhala hazrate nabi musa alaihis salam ke patthar se pani ke chashmon ka jari ho jana kuinkar khilafe akhal aur muhal karar diya ja sakta hai.
Nabi Musa Ka Daud Ne Wala Patthar
2015-03-20T10:41:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara