A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:42:00 AM by shayarkishayari in    No comments
Roshan
Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ko jab Allah Tala ne Firon ki hidayat ke liye uss ke darbar me bheja to do mojizat Aap ko ata farma kar bheja. Ek "Asa" dusra "Yade Baiza" (Roshan Haath) hazrate musa Alaihis Salam apne gireban me haath dal kar bahar nikalte the to ek dam Aap ka haath roshan ho kar chamakne lagta tha, fir jab Aap apna haath gireban me dal dete to vo apni asali halat par ho jaya karta tha. Iss mojize ko Quran Ne Azim ne mukhtalif suraton me bar bar zikr farmaya hai. Chunanche Surah Taha me irshad farmaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Aur apna haath apne bazu se mila khub safed niklega be kisi marz ke ek aur nishani ki ham tujhe apni badi badi nishaniyan dikhayen.

Isi mojize ka naam "Yade Baiza" hai jo ek ajib aur azim mojiza hai. Hazrate Ibne abbas Raziyallahu Tala Anha ne farmaya ki hazrate nabi musa alaihis salam ke daste mubarak se raat aur din me aftab ki tarha noor nikalta tha.

Manna Va Salva

Jab Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam 6 lack bani israel ke afrad ke saath maidane tih me mukhim the to allah tala ne un logon ke khane ke liye asman se do khane utare. Ek  ka naam "manna" aur dusre ka naam "Salva" tha. Manna bilkul safed shahad ki tarha ek halva tha.Ya safed rang ki shahad hi thi jo rozana asman se barish ki tarha barasti thi aur salva paki huyi bateren thi jo dakhkhani hava ke saath asman se nazil huva karti thi.Allah Tala ne bani Israel par apni nematon ka shumar karte huve Quran ne Majid me irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Aur tum par manna aur salva utara.

Iss manna va salva ke bare me Hazrate Nabi Musa Alaihis Salam ka ye hukum tha ki rozana tum log iss ko kha liya karo aur kal ke liye hargiz hargiz iss ka zakhira mat karna. Magar baaz zaiful etikhad logon ko ye dar lagne laga ki agar kisi din manna va salva na utra to ham log iss be abo giyah, chatyal maidan me bhukhe mar jayente. Chunanche,un logon ne  kuch chupa kar kal ke liye rakh liya to nabi ki nafarmani se yesi nuhusat fail gayi ki jo kuch  logon ne kal ke liye jama kiya tha vo saab sad gaya aur ayinda ke liye iss ka utarna band ho gaya isi liye Huzure Akdas Sallallahu Alaihi O Sallam ne irshad farmaya ki bani israel na hote to na khana kabhi kharab hota aur na gosht sadta, khane ka kharab hona aur josht ka sadna usi tarikh se shuru huva. Varna iss se pahle na khana bigadta tha na gosht sadta tha.