On 9:28:00 AM by shayarkishayari in Lecture No comments
Rivayat hai ki Hazrate Nabi Dawood Alaihis Salam ki khom ke sattar hazar admi "Ukhaba" ke pas samandar ke kinare "Yila" nami gaon me rahate the aur ye log badi farakhi aur khushhali ki zindagi basar karte the. Allah Tala ne un logon ka iss tarha imtihan liya ki sanichar ke din Machli ka shikar un logon par haram farma diya aur hafte ke baki dino me shikar halal farma diya magar iss tarha un logon ko azmayish me mubtala farma diya ki sanichar ke din be shumar machliyan ati thi aur dusre dino me nahi ati thi to shaitan ne un logon ko ye hila bata diya ki samandar se kuch naliyan nikal kar khushki me chand haiz bana lo aur jab sanichar ke din un naliyon ke zariye machliyan haiz me Aajayen to naliyon ka muh band kar do. Aur uss din shikar na karo balki dusre din asani ke saath un machliyon ko pakd lo. Un logon ko ye shaitani hila bazi pasand Aa gayi aur un logon ne ye nahi socha ki jab machliyan naliyon aur hozon me mukhayyad ho gayi to yehi un ka shikar ho gaya. To sanichar hi ke din shikar karna paya gaya jo un ke liye haram tha. Iss mokha par in yahudiyon ke tin guroh ho gaye.
Jab nafarmano ne mana karne ke ba wazud shikar kar liya to mana karne vali zamath ne kaha ki ab ham in masiyat karon se koi mel milap na rakhenge chunanche, un logon ne gaon ko taksim kar ke darmiyan me ek divar bana li aur amado raft ka ek alag darvaza bhi bana liya. Hazrate Nabi Dawood Alaihis Salam ne gazab nak ho kar shikar karne valon par lanath farma di. Iss ka asar ye huva ki ek din khata karon me se koi bahar nahi nikla. To unhen dekhne ke liye kuch log divar par chad gaye to kai dekha ki vo sab bandaron ki surat me maskh ho gaye hain. Ab log un mujrimon ka darvaza khol kar andar dakhil huve to vo bandar apne rishtedaron ko pahachante the aur un ke pas Aa kar un ke kapdon ko sundte the aur zaro zar rote the, Magar log un bandar ban jane valon ko nahi pahachante the. Un bandar ban jane valon ki tadad barah hazar thi. Ye sab tin din tak zinda rahe aur iss darmiyan me kuch bhi kha pi na sake balki yun hi bhukhe pyase sab ke sab halak ho gaye. Shikar se mana karne vala guroh halakat se salamat raha. Aur sahih kol ye hai ki dil se bura jan kar khamosh rahne valon ko bhi Allah Tala ne halakat se bacha liya.- Kuch log yese the jo shikar ke iss shaitani hile se mana karte rahe aur naraz va bezar ho kar shikar se baz rahe.
- Aur kuch log iss kam ko dil se bura jan kar khamosh rahe dusron ko mana na karte the balki mana karne balon se ye kahte the ki tum log yesi khom ko kuin nasihat karte ho jinhen Allah Tala halak karne vala ya sakht saza dene vala hai.
- Aur kuch vo sarkash va nafarman log the jinhone hukume khudabandi ki yelaniya mukhalfat ki aur shaitan ki hila bazi ko man kar sanichar ke din shikar kar liya aur un machliyon ko khaya aur becha bhi.
Iss vakhiye ka izmali bayan to surah bakhrah ki iss ayat me hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Aur beshak zarur tumhen malum hai tum me ke voh jinho ne hafte me sarkashi ki to ham ne un se farmaya ki ho jao bandar dhuthkare huve.
Aur Mufassal vakhia surah Arafa me hai jis ka tarjama ye hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Aur un se hal pucho us basti ka ki darya kanare thi.Jab vo hafte ke bare me had se badte. Jab hafte ke din un machliyan pani par tairti un ke samne ati aur jo din hafte ka na hota na Aati iss tarha ham unhen azmate the un ki be hukmi ke sabab aur jab un me se ek guroh ne kaha kuin nasihat karte ho un logon ko jineh Allah halak karne vala hai ya unhen sakhth azab dene vala. Bole tumhare raab ke huzur mazirat ko aur shayad unhen dar ho fir jab voh bula baithe jo nasihat unhen huyi thi ham ne bacha liye voh jo burayi se mana karte the.Aur jalimon ko bure azab me pakada badla un ki nafarmani ka. Fir jab unhon ne mumanath ke hukum se sarkashi ki ham ne un se farmaya ho jao bandar dhuthkare huve.
Darse Hidayath:
Malum huva ki shaitani hila baziyon me pad kar allah tala ke ahkam ki nafarmaniyon ka anjam kitna bura aur kis khadar khatarnak hota hai. Aur khuda ke nabi jin bad nasibon par lanat farma den vo kaise holnak azabe ilahi me giriftar ho kar dunya se nisto nabud ho kar azabe nar me giraftar ho jate hain aur dono jahan me zalilo khwar ho jate hain. Nauzbillah.
Ashabe yila ke iss dil hila dene bale vakhiye me har musalman ke liye bahut badi ibraton aur nasihaton ka saman hai. Kaash! Iss vakhiye se Musalmano ke kulub me khofe khudavandi ki lahar paida ho jaye aur vo Allah va Rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ki nafarmaniyon ki pagdiyon me batkane se muh mod kar sirate mustakhim ki shahrah par chal pade aur dono jahano ki sar bulandiyon se sarfaraz ho kar yezaz va ikram ki saltanat ke tajdar ban jayen.
Barah Hazar Yahudi Bandar Ho Gaye
2015-03-23T09:28:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara