On 1:26:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Jab Khabil ne Habil ko Khatl kar diya to chunki iss se pahle koi admi mara hi nahi tha iss liye Khabil hairan tha ki bhai ki laash ko kai karun. Chunanche, kayi dino tak vo lash ko apni peet par lade fira. Fir is ne dekha ki do Kavve(crow) apas me lade aur ek ne dusre ko mar dala. Fir zinda kavve(crow) ne apni chonch aur panjon se zamin khured kar ek gada khoda aur iss me mare huve kavve(crow) ko dal kar mitti se daba diya. Ye manzar dekh kar Khabil ko malum huva ki murde ki lash ko zamin me dafan karna chahiye. Chunanche, Uss ne khabr khod kar uss me bhai ki lash ko dafan kar diya.
Quran e Majid ne iss bakhiya ko in lafzon me bayan farmaya hai ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
To Allah ne ek Kavve(crow) bheja zamin kuredta ki use dikhaya kuinkar(kis tarha) apne bhai ki lash chupaye, Bola : Haya kharabi me iss crow jaisa bhi na ho saka ki main apne bhai ki lash chupata to pachtata rah gaya.
Quran e Majid ne iss bakhiya ko in lafzon me bayan farmaya hai ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
To Allah ne ek Kavve(crow) bheja zamin kuredta ki use dikhaya kuinkar(kis tarha) apne bhai ki lash chupaye, Bola : Haya kharabi me iss crow jaisa bhi na ho saka ki main apne bhai ki lash chupata to pachtata rah gaya.
Darse Hidayath:
- Iss vakhiya se sabak milta hai ki admi ilm sikhne me chote se chote ustad ka yahan tak ki crow ka bhi mohtaj hai.
- Isi se malum huva ki insan par uss ki dunyavi zindagi ki rah me jab koi mushkil darpesh ho jati hai to Allah Tala yesa rahimo karim hai ki kisi na kisi tarikhe se yahan tak ki charindon aur parandon ke zariye bhi mushkilath hal karne ki raah dikha deta hai.
Murda Dafan Karna Crow(Kavve) Ne Sikhaya
2015-04-27T13:26:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara