A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:47:00 AM by shayarkishayari in    No comments
katil
Rooh he Zamin par sab se pahala katil khabil aur sab se pahla makhtul habil hain "Khabil va Habil" Ye dono Hazrate Adam Alaihis Salam ke farzand hain. In dono ka vakhiya ye hai ki Hazrate Havva Raziyallahu Tala Anha ke har hamal me ek ladka aur ek ladki paida hote the . Aur ek hamal ke ladke ka dusre hamal ki ladki se nikah kiya jata tha. Iss Dastur ke mutabik Hazrate Adam Alaihis Salam ne Khabil ka nikah "Liyuza" se jo Habil ke saath paida huyi thi karna chaha. Magar khabil iss par razi na huva kuinki ikhlima zaida khub surath thi iss liye vo iss ka talabgar huva.

         Hazrate Adam Alaihis Salam ne iss ko samjhaya ki Ikhlima tere saath paida huyi hai. Iss liye vo teri bahan hai. Uss ke saath tera nikah nahi ho sakta. Magar Khabil apni zid par Ada raha. Bil akhir Hazrate Adam Alaihis Salam ne ye hukum diya ki tum dono apni apni khurbaniyan khudavande khuddus azzawajal ke darbar me pesh karo. Jis ki khurbani makhbul hogi vohi Ikhlima ka haqdar hoga. Uss zamane me khurbani ki makhbuliyath ki ye nishani thi ki asman se ek Aag utar kar iss ko kha liya karti thi. Chunanche, Khabil ne gehun ki kuch balin aur Habil ne ek bakri khurbani ke liye pesh ki. Asmani Aag ne Habil ki kurbani ko kha liya aur Khabil ke gehun ko chod diya. Iss baath par Khabil ke dil me bugz va hasad paida ho gaya aur uss ne Habil ko katl kar dene ki than li aur habil se kah diya ki main tujh ko katl kar dunga. Habil ne kaha ki khurbani khabul karna Allah Tala ka kam hai aur vo muttakhi bandon hi ki khurbani khabul karta hai. Agar tu muttakhi hota to zarur teri khurbani khabul hoti. saath hi Habil ne ye bhi kah diya ki agar tu mere khatl ke liye haath badayega to main tuj par apna haath nahi uthaun ga kuinki main Allah se darta hun. Main ye chahta hun ki mera aur tera gunah dono tere hi palle pade aur tu dozakhi ho jaye kuinki be insafon ki yehi saza hai. Akhir Khabil ne apne bhai Habil ko khatl kar diya. Ba vakhte katl habil ki umr 20 baras ki thi aur katl ka ye hadisa makka e mukarrama me jable sor ke pas ya jable hira ki ghati me huva. Aur baaz ka khol hai ki basra me jis jagah masjid e azam bani huyi hai mangal ke din ye saneha huva(vallahu Tala).

         Rivayath hai ki jab habil khatl ho gaya to 7 dino tak zamin me zalzala raha. Aur wuhush va tuyur aur darindon me ijtiraab aur be chaini fel gayi aur Khabil jo bahut hi gora aur khub surath tha bhai ka khoon bahate hi uss ka chehra bilkul kala aur bad surath ho gaya. Aur hazrate Adam Alaihis Salam ko be had ranjo khalk huva. Yahan tak ki habil ke ranjo gham me 100 baras tak kabhi Aap alaihis salam ko hasi nahi ayi. Aur siryani zaban me Aap ne habil ka marisa kaha jis ka arabi ashar me tarjuma ye hai
Tarjuma:
              Tamam shahron aur un ke bashindon me taghayyur paida ho gaya aur  zamin ka chehra gubar aluda aur khabiha ho gaya. Har rang aur maze bali chiz badal gayi aur gore chehre ki ronak kam ho gayi.

Hazrate Adam Alaihis Salam ne shadid gazab naak ho kar Khabil ko fitkaar kar apne darbar se nikal diya aur vo bad nasib Ikhlima ko saath le kar yaman ki sar zamin "Adan" me chala gaya vo Iblis us ke pass Aa kar kahane laga ki habil ki kurbani ko Aag ne iss liye kha liya ki vo Aag ki puja kiya karta tha lihaza tu bhi ek Aag ka mandar bana kar Aag ki parstish kiya kar. Chunanche, Khabil pahala vo shakhs hai jis ne Aag ki ibadath ki. Aur ye rooh he zamin par pahla shakhs hai jis ne Allah Tala ki nafarmani ki aur sab se pahle zamin par khoon e nahaq kiya aur ye pahala vo muzrim hai jo zahannam me saab se pahale dala jayega aur hadis sharif me hai ki rooh he zamin par khiyamath tak jo bhi khoon e nahaq hoga khabil uss me hissedar hoga kuinki isi ne saab se pahale khatl ka dastur nikala aur khabil ka anjam ye huva ki iss ke ek ladke ne jo ki andha tha iss ko ek patthar mar kar khatl kar diya aur ye bad bakht nabi zada hone ke bavajud Aag ki parastish karte huve kufro shirk ki  halath me apne ladke ke haath se mara gaya.

        Habil ke khatl ho jane ke 5 baras baad Hazrate Shish Alaihis Salam paida huve jab ki Hazrate Adam Alaihis Salam ki umr sharif 130 baras ki ho chuki thi. Aap ne apne iss honhar farzand ka naam "Shis" rakha. Ye siryani zaban ka lafz hai aur arabi me iss ke mana "Habtullah" yani Allah ka Atiyya hai. Hazrate Adam Alaihis Salam ne 50 sahife jo Aap par nazil huve the in saab ki hazrate shis Alaihis Salam ko talim di aur in ko apna vasi va khalifa aur sajjada nashin banaya. Aur in ki nasal me khairo barkath hone ki duayen mangi. Hamare Huzur Khatimun Nabiyin Sallallahu Alaihi o Sallam in hi Hazrate Shis Alaihis Salam ki Avlad me se hain. Iss vakhiye ko Quran e Karim me Allah Tala ne iss Tarha Bayan farmaya hai ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan
                  Aur Inhen pad kar suna-o Adam ke do beton ki sachchi khabar jab dono ne ek ek niyaz(khurbani) pesh ki to ek ki khabul huvi aur dusre ki na khabul huvi. Bola : khasam hai main tujhe khatl  kar dunga. Kaha : Allah usi se khabul karta hai jise dar hai beshak agar tu apna haath mujh par badayega ki mujhe khatl kar to main apna haath tuj par na badaun-ga ki tujhe khatl karun, main Allah se darta hun jo malik sare jahan ka. Main to ye chahta hun ki mera aur tera gunah dono tere hi palle pade tu dozakhi ho jaye. Aur be insafon ki ye hi saza hai to uss ke nafs ne use bhai ke khatl ka chaun dilaya(khatl par ubhara) to use khatl kar diya to rah gaya nuksan me.

Darse Hidayath:

Iss vakhiye se chand hidayaton ke sabak milte hain:
  1. Dunya me saab se pahla jo khatl aur khoone na-haq huva vo ek aurath ke muamle me huva. Lihaza kisi aurath ke fithnaye ishq me mubtala hone se khuda ki panah mangni chahiye.
  2. Kabil ne jazbaye hasad me giriftar ho kar apne bhai ko khatl kar diya. Iss se malum huva ki hasad insan ki kitni buri aur khatarnak khalbi bimari hai. Isi liye Quran e Majid me "Va Min Sahrri Hasidin Iza Hasad" Farma kar hukum diya gaya ki hasid ke hasad se khuda ki panah mangte raho.
  3. Khoone Na-haq kitna bada zurme azim hai ki iss zurm ki vajah se ek Nabi Alaihis Salam ka farzand apne baap Hazrate Adam Alaihis Salam ke darbar se randye dargha ho kar kuffro shirk me mubtala ho kar mar gaya. Aur khiyamath tak hone vale har khoone Na-haq me hissedar ban kar azabe jahannam me giraftar rahega.
  4. Iss se malum huva ki jo shakhs koi bura tarikha izad kare to khiyamath tak jitne log iss bure tarikhe par amal karenge sab ke gunah me vo barabar ka sharik aur hissedar banega.
  5. Iss se ye bhi malum huva ki nekon ki avlad ka nek hona koi zaruri nahi hai, nekon ki avlad buri bhi ho sakti hai. kuinki Hazrate Adam Alaihis Salam khuda ke mukhaddas Nabi aur Safiyyullah hain magar in ka beta khabil kitna kharab huva, vo Aap pad chuke. Hamesha har shakhs ko chahiye ki farzande saleh aur nek avlaad ki duayen khuda se mangta rahe.