On 11:12:00 AM by shayarkishayari in Lecture No comments
Hazrate Ibrahim Khalillulla Alaihis Salam ne Ek martaba khudavande khuddus ke darbar me ye Arz kiya ki ya Allah Tala tu mujhe dikha de ki tu Murdon ko kis tarha zinda Farmayega? To Allah Tala ne farmaya ki ye Ibrahim ! Kai iss par tumhara imaan nahi hai ? To App ne Arz kiya ki kuin nahi ? Main iss par imaan to rakhta hun lekin meri tamanna ye hai ki iss manzar ko apni Ankhon se dekh lun taki mere dil ko karar Aa jaye to Allah Tala ne farmaya ki tum Char(4) parandon ko palo aur un ko khub khila pila kar achchi tarha hila mila lo fir tum unhen zabha kar ke aur un ka khima bana kar apne do navah ke chand pahadon par thoda thoda goshth rakh do. Fir un parindon ko pukaro to voh parinde zinda ho kar daudte huve tumhare pass Aa jayenge aur tum murdon ke zinda hone ka manzar apni Ankhon se dekh loge. Chunanche, Ibrahim Alaihis Salam ne ek Murga, ek Kabutar, ek Gird, ek Mor. In Char(4) parindon ko pala. Aur ek muddath tak in char parindon ko khila pila kar khoob hila mila liya. Fir in char parindon ko zabha kar ke in ke saron ko apne pass rakh liya aur in charon ka khima bana kar thoda thoda goshth atraaf va javanib ke pahadon par rakh diya aur door se khade ho kar in parindon ka naam le kar pukara ki Ye Murg, Ye Kabutar, Ye Gird, Ye Mor. Aap ki pukar par ek dam pahadon se goshth ka khima ood na shuru ho gaya aur har parinda ka goshth, posth, haddi,par alag ho kar char parinda tayyar ho gaye aur vo charon parinda bila saron ke daudte huve Hazrate Nabi Ibrahim Alaihis Salam ke pass Aa gaye aur apne saron se jud kar dana chugne lage aur apni apni boliyan bolne lage aur hazrate ibrahim Alaihis Salam ne apni Ankhon se murdon ke zinda hone ka manzar dekh liya aur in ke dil ko itminan va kharar mil gaya.
Read : Nabi Musa Ka Daud Ne Wala Patthar
Iss Vakhiye ka Zikr Khudavande karim ne Quran e Majid ki surah bakrah me in lafzon ke saath bayan farmaya hai ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Aur jab Arz ki Ibrahim ne ye raab mere mujhe dikha de tu kuinkar murde jilayega ? Farmaya : kai tuje yakin nahi ? Arz ki : Yakin kuin nahi magar ye chahta hun ki mere dil ko kharar Aa jaye . Farmaya : To achcha, Char parindey le kar apne saath hila le fir un ka ek ek tukda har pahad par raakh de fir unhen bula vo tere pas chale ayenge paun se daudte aur jan rakh ki Allah Ghalib hikmath vala hai .
Read : Nabi Musa Ka Daud Ne Wala Patthar
Iss Vakhiye ka Zikr Khudavande karim ne Quran e Majid ki surah bakrah me in lafzon ke saath bayan farmaya hai ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Aur jab Arz ki Ibrahim ne ye raab mere mujhe dikha de tu kuinkar murde jilayega ? Farmaya : kai tuje yakin nahi ? Arz ki : Yakin kuin nahi magar ye chahta hun ki mere dil ko kharar Aa jaye . Farmaya : To achcha, Char parindey le kar apne saath hila le fir un ka ek ek tukda har pahad par raakh de fir unhen bula vo tere pas chale ayenge paun se daudte aur jan rakh ki Allah Ghalib hikmath vala hai .
Darse Hidayath:
Mazkura bala Qurani Vakhiya se mundrizaye zail masayil par khas tor se roshni padti hai. In ko baghor padiye aur hidayath ka noor hasil kijiye aur dusron ko bhi roshni dikhayiye.
Murdon ko Pukarna:
Charon parindon ka khima bana kar Hazrate Nabi Ibrahim Alaihis Salam ne pahadiyon par raakh diya tha. Fir Allah Tala ka hukm huva ki "Summad Uhunna" Yani in murde parindon ko pukaro. Chunanche, Aap ne charon naam le kar pukara to iss se ye masala sabith ho gaya ki murdon ko pukarna shirk nahi hai kuinki jab murda parindon ko allah tala ne pukarne ka hukum farmaya aur ek jalilul khadr paigambar ne in murdon ko pukara to hargiz hargiz ye shirk nahi ho sakta. Kuinki khudavande karim kabhi bhi kisi ko shirk ka hukum nahi dega na koi nabi hargiz hargiz kabi shirk ka kam kar sakta hai. To jab mare huve parindon ko pukarna shirk nahi to vafat paye huve khuda ke valiyon aur shahidon ko pukarna kuinkar shirk ho sakta hai ? Jo log valiyon aur shahidon ke pukarne ko shirk kahate hain ya Ghouse ka nara lagane valon ko mushrik kahate hain, unhen thodi der saar jhuka kar sochna chahiye ki iss Qurani vakhiye ki roshni me unhen hidayath ka noor nazar Aa jaye aur vo ahle sunnath ke tarikhe par sirate mustakhim ki shaharah par chal paden.
Tasawuf Ka Ek Nukhta:
Hazrate Nabi Ibrahim Alaihis Salam ne zin char parindon ko zabha kiya in me se har parinda ek buri khaslath me mashhur hai maslan mor ko apni shaklo surath ki khoob surati par ghamand rahta hai aur murga me kasrate shahavath ki buri khaslath hai aur gird me hirs aur lalach ki buri adath hai aur kabutar ko apni buland parvazi aur unchi udan par nakhvath va gurur hai. To in charon parindon ke zabha karne se in charon khaslaton ko zabha karne ki taraf ishara hai ki charon parind zabha kiye gaye to hazrate nabi ibrahim alaihis salam ko murdon ke zinda hone ka manzar nazar aya aur in ke dil me noore ithminan ki tajalli huyi. Jis ki badolath inhen nafse mutmayin ki daulath mil gayi to jo shakhs ye chahata hai ki uss ka dil zinda ho jaye aur uss ko nafse ithminan ki daulath nasib ho jaye uss ko chahiye ki murga zabha kare yani apni shahavath par churi fer de aur mor ko zabha kare yani apni shaklo surath aur libas ke ghamand ko zabha kar dale aur gird ko zabha kare yani hirs aur lalach ka gala kat dale aur kabutar ko zabha kare yani apni buland parvazi aur unche martabon ke gurur nakhvath par churi chala de . Agar koi in charon buri khaslaton ko zabha kar dalega to Insha allah vo apne dil ke zinda hone ka manzar apni Ankhon se dekh lega aur uss ko nafse muthmayin ki sarfarazi ka sharaf hasil ho jayega
Read More :
1. 70 Hazar Murde Zinda Ho Gaye
2. Dunya Ki Sab Se Khimti Gay(Cattle)
3. Barah Hazar Yahudi Bandar Ho Gaye
4. Roshan Haath
5. Maidan E Tih
Read More :
1. 70 Hazar Murde Zinda Ho Gaye
2. Dunya Ki Sab Se Khimti Gay(Cattle)
3. Barah Hazar Yahudi Bandar Ho Gaye
4. Roshan Haath
5. Maidan E Tih
Zabha Ho Kar Zinda Ho Jane Vale Parindey
2015-04-02T11:12:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara