A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 6:26:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Bani Israel ka nizam yun chalta tha ki hamesha in logon me ek badshaa hota tha. Jo mulki nizam chalata tha aur ek Nabi hota tha jo nizame shariath aur dini umur ki hidayath va rahanumayi kiya karta tha. Aur yun dastur chala ata tha ki badshahi yahud ibne yakub alaihis salam ke khandan me rahti thi aur nabuvath lavi bin yakhoob alaihis salam ke khandan ka turraye imtiyaz tha. Hazrate shamvil alihis salam jab nabuvath se sarfaraz kiye gaye to in ke zamane me koi badshaa nahi tha to bani israel ne Aap se darkhwasth ki, ki Aap kisi ko hamara badshaa bana dijiye to Aap ne hukme khudavandi ke mutabik  "Talut" ko badshaa bana diya jo bani israel me sab se zaida takathvar aur sab se bada alim tha. Lekin bahuth hi gharib va muflis tha. Chamda paka kar ya bakriyon ki charvahi kar ke jindagi basar karta tha. Iss par bani israel ko ehtiraz huva ki talut shahi khandan se nahi hai lihaza ye kuinkar aur kaise hamara badshaa ho sakta hai? Iss se zaida to badshaahath ke haqdar ham log hain kuinki ham log shaahi khandan se hain. Fir talut ke pass kuch ziyada maal bhi nahi hai. Ek gharib va muflis insan bhala takhte shaahi ke layak kuinkar ho sakta hai. Bani israel ke in etiraz ka javab dete huve hazrate Shamvil Alaihis Salam ne ye takhrir farmayi ki.

Tarjuma e Kanjul Imaan:- Farmaya: Ise Allah ne tum par chun liya aur ise ilm aur jism me khushdagi zaida di aur allah  apna mulk jise chahe de. Aur Allah Usath vala ilm vala hai. aur un se un ke nabi ne farmaya iss ki badshahi ki nishani ye hai ki aya tumhare pass tabuth jis me tumhare raab ki taraf se dilon ka chain hai.

Chunanche, Thodi hi der ke baad char farishte sandukh le kar Aa gaye aur sandukh ko hazrate shamvil alaihis salam ke pass rakh diya.Ye dekh kar tamam bani israel ne talut ki badshaahi ko taslim kar liya aur Aap ne badshaa ban kar na sirf intizame mulki sambhala balki bani israel ki foz bharti kar ke khome amalka ke kuffar se zihad bhi farmaya.

Allah Tala ne iss vakhiye ka zikr Quran e Majid me farmate huve iss tarha irshad farmaya jis ka tarjuma ye hai ki

Tarjuma e Kanzul Imaan:- Aur un se un ke nabi ne farmaya ki beshak Allah ne Talut ko tumhara badshaa bana kar bheja hai. Bole : Ise ham par badshaahi kuinkar hogi ? Aur ham iss se zaida saltanath ke mustahikh hain aur ise maal me bhi vusAt nahi di gayi, Farmaya ise Allah ne tum par chun liya aur ise ilm aur zism me khushadgi zaida di aur Allah apna mulk jise chahe de aur allah usAt vala ilm vala hai aur un se un ke nabi ne farmaya : iss ki badshaahi ki nishani ye hai ki ye tumhare pas tabuth jis me tumhare raab ki taraf se dilon ka chain hai aur kuch bachi huyi chizen hain muazzaz musa aur muazzaz harun ke tarke ki uthate layenge ise farishte. Beshak iss me badi nishani hai tumhare liye.Agar imaan rakhte ho.




Darse Hidayath:
  1.  Iss vakhiye se jahan bahuth se masayil par roshni padti hai ek bahuth hi vazeh dars ye milta hai ki Allah Tala ke fazal aur uss ki navazish ki koi had nahi hai. Vo chahe to chote se chote admi ko minton balki secondon me bade se bada admi bana de dekh lo Hazrate Talut ek bahuth hi kaam darze ke admi the aur ithne muflis the ki ya to dabgar the jo chamde ko dabaghath de kar apni rozi hasil karte thi ya bakriyan chara kar iss ki ujrath se guzar basar karte the magar lamhe bhar me Allah Tala ne unhen  sahibe takhto taaj bana kar badshaah bana diya.
  2. Iss vakhiye se aur Quran e Majid ki ibrath se malum huva ki jismani tuvanayi aur ilm ki usAt badshahi ke liye maldari se ziyada zaruri hai kuinki bighair jismani takat aur ilm ke nizame mulki ko chalana aur saltanath ka intizam karna takhriban muhal aur na mumkin hai.Iss se zahir huva ki ilm ka darja maal se bahooth buland tar hai.