A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:00:00 AM by shayarkishayari in    No comments
allah
                 Khome Aad Makhame "Ahakaf" me rahati thi jo Aman va Hazar Mauth ke darmiyan ek bada registan hai. In ke morise Aala ka Naam Aad Bin Ausa Bin Irma Bin Saam Bin Nuh hai. Puri khom ke log in ko morise Ala  " Aad" ke naam se pukarne lage. Ye log buth parash aur bahuth bad Amal va bad kirdar the. Allah Tala ne apne paighambar Hazrate Hood Alaihis Salam ko in logon ki hidayath ke liye bheja magar iss Khom ne apne takabbur aur sarkashi ki vajah se Hazrate Hood Alaihis Salam ko jhutla diya aur apne kufr par ade rahe. Hazrate Hood Alaihis Salam Bar bar in sarkashon ko azabe ilahi se darte rahe, magar iss sharir khom ne nihayath hi be bakhi aur gustakhi ke saath apne Nabi se ye kah diya ki .
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                   Kai tum hamare pass iss liye aye ho ki ham ek Allah ko pujen aur jo hamare baap dada pujte the, unhen chod den ? To lao jis ka hame vada de rahe ho agar sachche ho.

          Akhir Azabe ilahi ki jhalkiyan shuru ho gayi. Tin saal tak barish hi nahi huyi. Aur har taraf kahath (khushk sali) ka dor dora ho gaya. Yahan tak ki log anaaj ke dane dane ko taras gaye. uss zamane ka ye dastur tha ki jab koi bala aur musibath ati thi to log makka e muazzam ja kar khana e kaaba me duayen mangte the to balayen tal jati thi. Chunanche, ek jamath makka e muazzama jayi. Iss jamath me mursad bin saad nami ek shaks bhi tha jo momin tha magar apne imaan ko khom se chupaye huve tha. Jab logon ne kaaba e muazzama me dua mangni shuru ki to mursad bin saad ka imaani jazba bedar ho gaya aur uss ne tadap kar kaha ki ye meri khom tum laak duayen mango, magar khuda ki khasam uss vakhth tak pani nahi barsega jab tak tum apne Nabi Hazrate Hood Alaihis Salam par Imaan na laoge.

            Hazrate Mursad Bin Saad ne jab apna Imaan zahir kar diya to khome Aad ke shariron ne in ko maar pit kar alag kar diya aur duayen mangne lage. Uss vakht Allah Tala ne 3 badliyan bheji. ek safed, ek surkh, ek siyah aur asman se ek avaz ayi ki ye khome Aad ! Tum log apni khom ke liye in 3 badliyon me se ek badli ko pasand kar lo. In logon ne kali badli ko pasand kar liya aur ye log iss khayal me magan the ki kali badli khub zaida barish degi. Chunanche, vo abre siyah khome Aad ki abadiyon ki taraf chal pada. khome Aad ke log kali badli ko dekh kar bahuth khush huve. Hazrate Hood Alaihis Salam ne Farmaya ki ye meri khom ! Dekh lo Azabe ilahi abar ki surath me tumhari taraf bad raha hai magar khom ke gustakhon ne apne Nabi ko jhutla diya aur kaha ki kahan ka azab aur kaisa azab ? Ye to badal hai jo hame barish dene ke liye Aa raha hai.

           Ye badal pachchim ki taraf se abadiyon ki taraf barabar badta raha aur ek dam nagahan iss me se ek Andhi ayi jo itni shadid thi ki unton ko Maa in ke suvar ke uda kar kahin se kahin fenk deti thi. Fir itni zordar ho gayi ki darakhton ko jhadon se ukhad kar uda le jane lagi. Ye dekh kar khome Aad ke logon ne apne sangin mahalon me dakhil ho kar darvazon ko band kar liya magar andhi ke jhonke na sirf darvazon ko ukhad kar le gaya balki puri imaraton ko jhanjod kar in ki yit se yit baja di. 7 raath aur 8 din musalsal ye andhi chalti rahi. yahan tak ki khome Aad ka ek ek admi mar kar fana ho gaya. Aur iss khom ka ek bachcha bhi bakhi na raha.

         Jab andhi khatm huyi to uss khom ki lashen zamin par iss tarha padi huyi thi jis tarha khazuron ke darakht ukhad kar zamin par pade hon chunanche, irshade rabbani hai :
 Tarjuma e Kanzul Imaan:
                   Aur rahe Aad vo halak kiye gaye nihayath sakhth garajti andhi se vo un par kuvvath se laga di saath(7) Raaten aur Aat(8) Din lagatar jo un logon ko un me dekho pachde( mare) huve goya vo khajur ke dand (Sukhe tane) hain gire huve to tum un me se kisi ko bacha huva dekhte ho ?

          Fir khudrate Khudavandi se kale rang ke parindon ka ek ghol namudar huva. Jinhone in ki lasho ko utha kar samandar me fenk diya. Aur Hazrate Hood Alaihis Salam ne uss basti ko chod diya aur chand mominin ko jo imaan laye the saath le kar makka mukarrama chale gaye. aur akhir zindagi tak baitullah sharif me ibadath karte rahe.

Darse Hidayath:

              Quran e Karim ke iss dardnak vakhiye se ye sabak milta hai ki " Khome Aad" Jo badi takatvar aur Khad Avar khom thi aur in logon ki mali khushhali bhi nihayath mustahkam thi kuinki lahlahati khetiyan aur hare bhare bagh in ke pass the. Pahadon ko tarash tarash kar in logon ne garmiyon aur sardiyon ke liye alag alag mahalath tamir kiye the. In logo ko apni kasrath aur takath par bada yetimad, Apne tamvul aur samane yesho ishrath par bada naaz tha. Magar kufr aur bad amaliyon va bad kariyon ki nuhusath ne in logon ko kahare ilahi ke azab me iss tarha giriftar kar diya ki Aandhi ke jhokon aur jhatkon ne in ki puri abadi ko janjhod kar chakna chur kar diya aur iss puri khom ke vajud ko safahe hasti se iss tarha mita  diya ki in ki khabron ka bhi kahin nishan bakhi na raha to fir bhala ham logon jaisi kamzor khomon ka kai thikana hai ? ki azabe ilahi ke jhatkon ki taab la saken. Iss liye jin logon ko apni aur apni naslon ki khairiyath va bakhaa manzur hai, unhen lazim hai ki vo Allah Tala va Rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ki nafarmaniyon aur bad amaliyon se hamesha bachte rahen. apni koshish aur takath bhar Amale saleh aur nikiyan karte rahe, varna Quran e Majid ki ayaten hamen jhanjod kar ye sabak de rahi hai ki niki ki tasir abadi aur badi ki tasir barbadi hai. Quran e Majid me pad lo ki " Val muAtafikatu Bil KhatiAti" Yani bahuth si bastiyan apni badkariyon aur bad amaliyon ki vajah se halak va barbad kar di gayi. Aur dusri ayath me ye bhi pad lo ki,
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Aur agar bastiyon vale imaan late aur darte to zarur ham un par asman aur zamin se barkaten khol dete magar unho ne to jhutlaya to ham ne unhen un ke liye par giriftar kiya.