A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:00:00 AM by shayarkishayari in    No comments
saleh
                   Hazrate Saleh Alaihis Salam khome Samud ki taraf Nabi bana kar bheje gaye. Aap ne jab khome samud ko Khuda Azzawajal ka farman suna kar Imaan ki davath di to iss sarkash khom ne Aap se ye Mojiza talab kiya ki Aap iss pahad ki chattan se ek ghaban untni nikaliye jo Khub farbo aur har khism ke uyub va nakhayis se paak ho. Chunanche, Aap ne Chattan ki Taraf Ishara farmaya to vo foran hi fat gayi aur uss me se ek nihayath hi khub surath va tandurusth aur khoob buland khamt untni nikal pani jo ghaban thi aur nikal kar uss ne ek bachcha bhi jana aur ye apne bachche ke saath maidano me chalti firti rahi.

                     Iss basti me ek hi talab tha jis me pahodon ke chashmo se pani gir kar jama hota tha. Aap ne farmaya ki ye logon ! dekho ye mojize ki untni hai. Ek roz tumhare talaab ka sara pani ye pee dalegi aur ek roz tum log pina. Khom ne iss ko man liya fir Aap ne khome samud ke samne ye tkhrir farmayi ki
saleh alaihis salam
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Ye Meri Khom Allah ko pujo uss ke siva tumhara koi mabud nahi beshak tumhare pass tumhare raab ki taraf se roshan dalil ayi ye allah ka nakha hai tumhare liye nishani to use chod do ki allah ki zamin me khaye aur use burayi se haath na lagao ki tumhen dardnaak azab ayega.

               Chand din to khome samud ne iss taklif ko bardasht kiya ki ek din un ko pani nahi milta tha. Kuinki uss din talab ka sara pani untni hi pee jati thi. Iss liye un logon ne tai kar liya ki iss untni ko khatl kar dalen.

Khidar Bin Salifa:

Chunanche, Iss khom ne khadar bin salifa jo surkh rang ka buri ankhon vala aur pasth khad admi tha aur ek zinakar aurath ka ladka tha. Sari khom ke hukum se iss untni ko khatl karne ke liye tayyar ho gaya. Hazrate Saleh Alaihis Salam Mana hi karte rahe, lekin khidar bin salifa ne pahle to untni ke charon paun ko kaat dala. Fir iss ko zabah kar diya aur intihayi sarkashi ke saath Hazrate Saleh Alaihis Salam se be adbana guftagu karne laga.
                  Chunanche, Khudavande Khuddus ka irshad hai ki 
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Pass Nakhe ki Kunchen (Khadam) kaat di aur apne raab ke hukum se sarkashi ki aur bole : Ye saleha ! Ham par le Aao jis ka tum vada de rahe ho agar tum rasool ho.

Zhalzale ka Azab:

              Khome Samud ki iss sarkashi par azabe Khudavandi ka zahur iss tarha huva ki pahle ek zabardasth chidhad ki khofnak avaz ayi. Fir shadid zhalzala aya jis se puri abadi uthal pathal ho kar chakna chur ho gayi. Tamam imaraten tut fut kar tahas nahas ho gayi aur khome samud ka ek ek admi ghutno ke bal ondha gir kar mar gaya. Quran e Majid ne farmaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  To unhen zhalzale ne Aa liya to subah ko apne gharon me Ondhe rah gaye to saleh ne un se muh fera.

              Hazrate Saleh Alaihis Salam ne jab dekha ki puri basti zhalzalon ke jhatkon se tabaho barbad ho kar yit pattharon ka dher ban gayi aur puri khom halaq ho gayi to Aap ko bada sadma aur khalak huva. Aur Aap ko khome samud aur in ki basti ke virano se iss khadar nafrat ho gayi ki Aap ne in logon ki taraf se muh fer liya. aur iss basti ko chod kar dusri jagah tashrif le gaye aur chalte vakht murda lashon se ye farma kar ravana ho gaye ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Ye meri khom beshak main ne tumhen apne raab ki risalath pahuncha di aur tumhara bhala chaha magar tum khair khwahon ke gharzi(pasand karne vale) hi nahi.

              Khulasa e Kalam ye hai ki khome samud ki puri basti barbad va viran ho kar khandar ban gayi aur puri khom fana ke ghat utar gayi ki Aaj un ki nasal ka koi insan ruhe zamin par bakhi nahi rah gaya.

Darse Hidayath:

              Iss vakhiye se ye sabak milta hai ki jab ek Nabi ki ek untni ko khatl kar dene vali khom azabe ilahi ki tabah kariyon se iss tarha fana ho gayi ki un ki nasal ka koi insan bhi ruhe zamin par bakhi na rah gaya to jo khom apne nabi ki ala va avlad ko khatl kar dalegi bhala vo azabe ilahi ke kahar se kab aur kis tarha mahfuz rah sakti hai ? chunanche, tarikha shahid hai ki karbala me ahale baith nabuvath ko shahid karne vale yazidi kufiyon aur shamiyon ka yehi hashar huva ki mukhtar bin ubaid ke dore hukumath me yazidiyon ka bachcha bachcha khatl kar diya gaya aur in ke gharon ko takht va taraj kar ke in par gadhon ke hal chalaya gaya aur Aaj ruhe zamin par in yazidiyon ki nasal ka koi ek bachcha bhi bakhi nahi rah gaya.

Ek Lack Chalis Hazar[140000] Yahudi Makhtul:

               Hakim Muhaddis ne ek hadis rivayath ki hai ki Allah Tala ne apne Habib Sallallahu Alaihi o Sallam par Vahi bheji thi ki khome yahud ne Hazrate Zakariya Alaihis Salam ko Khatal kar diya to in ke ek khoon ke badle 70000 yahudi khatl huve aur Aap ne navase Hazrate Imane Husain Raziyallahu Tala Anha ke ek khoon ke badle Sattar Sattar Hazar Yani ek lack chalis hazar kufi va shami mukhtul honge. Chunanche Allah Tala ka vada iss tarha pura huva ki mukhtar bin ubaid ki ladayi me sattar hazar kufi va shami khatl huve aur fir abbasi saltanath ke baani Abdullah Saffaha ke hukum se sattar hazar kufi va shami mare gaye. Yun kul mila kar ek lack chalis hazar makhtul ho gaye.
          Bahar haal ye yaad rakhiye ki Allah Tala apne mahbubon ki har har chiz ko apna mahbub bana leta hai. Lihaza khuda azzawajal ke mahabubon ki Aal va Azvaz ho ya ashab va ahbab ya in se nisbath va tallukh rakhne vali koi bhi chiz ho in me se kisi ki bhi tohin aur be adabi se khudavande kahhar ka kaharo gazab zarur kisi na kisi azab ki surath me zahir hota hai. lihaza har vo chiz jis ko Allah Azzawajal ke mahabubon se nisbath hasil ho gaya uss ki tazim va takrim lazim va zaruri hai aur uss ki tohin va be adabi azabe ilahi ki hari jhandi aur tabahi va barbadi ka nishan hai.

Azab Ki Zamin Manhus:

Rivayath hai ki jab jange tabuk ke mokha par safar me Huzur Sallallahu Alaihis Sallam khome samud ki bastiyon ke khandarath ke pass se guzare to Aap ne farmaya ki khabardar koi shakhs iss gaon me dakhil na ho aur na iss gaon ke kuvven ka koi pani piye aur tum log iss azab ki jagah se khofe ilahi azzawajal me dub kar rote huve aur muh dhampe huve jald se jald Aao, kahin yesa na ho ki tum par bhi azab utar pade.