On 4:52:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Hazrate Yunus Alaihis Salam ko Allah Tala ne shahar "Nonva" ke bashindon ki hidayath ke liye rasool bana kar bheja tha.
Nonva:
Ye Mausul ke ilakho ka e bada shahar tha. yahan ke log but parrasti karte the aur kuffro shirk me mubtala the. Hazrate Yunus Alaihis Salam ne in logon ko imaan lane aur bhut parasti chodne ka hukum diya. magar in logon ne apni sarkashi aur tamarrud ki wajah se Allah Azzawajal ke rasool Alaihis Salam ko jhutla diya aur imaan lane se inkar kar diya. Hazrate Yunus Alaihis Salam ne inhen khabar di ki tum logon par Aan Kharib Azab ane vala hai. ye sun kar shahar ke logon ne apas me yeh mashwara kiya ki hazrate yunus Alaihis Salam ne kahi koi jhuti baat nahi kahi hai.Iss liye ye dekho ki agar vo raat ko iss shahar me rahen jab to samajh lo ki koi khatra nahi hai aur agar unhon ne is shahar me raath na guzari to yakhin kar lena chahiye ki zarur azab ayega. Raat ko logon ne ye dekha ki hazrate yunus Alaihis Salam shahar se bahar tashrif le gaye. aur vakheyi subha hote hi azab ke asar nazar ane lage ki charon taraf se kali badliyan numudar huyi aur har taraf se dhuvan ut kar shahar par cha gaya. ye manzar dekh kar shahar ke bashindon ko yakhin ho gaya ki azab ane vala hi hai to logon ko hazrate yunus alaihis salam ki talash va zustazu huyi magar vo dur dur tak kahin nazar nahi aya.Aab shahar volon ko aur zaida khatra aur andesha ho gaya.Chunanche,shahar ke tamam log khofe khudavandi se dar kar kamp uthe aur saab ke saab auraton bochchon balki apne maveshiyon ko saath le kar aur fate purane kapde pahan kar rote huve jangal gaye aur ro ro kar sidkh dil se hazrate yusuf alaihis salam par imaan lane ka ikhrar va yelan karne lage shohar bivi se aur maye bachcho se alag ho kar saab ke saab istigfar me mashgul ho gaye aur darbare bari me gid gida kar girya va zari shurua kar di.Jo mazlim apsar me huve the ek dusre se muaf karane lage aur jitni haq talfiyan huyi thi sab ki apas me muafi talafi karne lage. gharaz sachchi toba kar ke khuda Azzawajal se ye ahad kar liya ki hazrate yunus alaihis salam jo kuch khuda ka paigham laye hain ham us par sadkha dil se imaan laye,Allah Tala ko shahar valon ki be kharari aur mukhlisana girya va jari par raham aya aur azab utha liya gaya. nagahan dhuvan aur azab ki badliyan raf'a ho gayi aur tamam log fir shahar me aa kar amno chain ke saath rahane lage.
iss vaqhi e ko zikr karte huve khudavande khuddus ne quran e majid me yun irshad farmaya hai ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
To Huyi hoti na koi basti ki iman lati to uss ka imaan kam ata,han yunus ki khom jab imaan laye ham ne un se rusvayi ka azab dunya ki zindagi me hata diya aur ek vaqth tak unhen bartne diya.
Mathlab ye hai ki jab kisi khom par azab Aa jata hai to azab Aa jane baad imaan lana mufid nahi hota magar hazrate yunus alaihis salam ki khom par azab ki badliyan Aa jane ke baad bhi jab vo log imaan laye to un se azab utha liya gaya.
Azab Talne Ki Dua:
Tabarani Sharif ki rivayath hai ki shahar Nonva par jab azab ke asar zahir hone lage aur hazrate yunus alaihis salam ba vajude talash va justaju ke logon ko nahi mile to shahar vale dhabra kar apne ek alim ke pas gaye jo sahibe imaan aur sheikh e vaqht the aur in se faryad karne lage to inho ne hukum diya ki tum log ye wazifa pad kar dua mango
Chunanche,logon ne ye pad kar dua mangi to azab tal gaya.lekin mashhur muhaddis aur sahibe karamat vali hazrate fuzail bin iyaz Alaihi Rahama ka khol hai ki shahare nonva ka azab jis dua ki barkat se daf'Aa huva dua ye thi ki
Bahar Hal Azab tal jane ke baad jab Hazrate Yunus Alaihis Salam shahar ke karib aye to Aap ne shahar me azab ka koi asar nahi dekha. logon ne arz kiya ki Aap apni khom me tashrif le jayiye.To Aap ne farmaya ki kisi tarha apni khom me ja sakta hun? main to un logon ko azab ki khabar de kar shahar se nikal gaya tha, magar azab nahi aya. to Aab vo log mujhe jhuta samajh kar katl kar denge.Aap ye farma kar aur gusse me bhar kar shahar se palat aye aur ek kashti me savar ho gaye ye kashti jab bich samandar me pahunchi to khadi ho gayi. vo ke logon ka ye akhida tha ki vohi kashti samandar me khadi ho jaya karti thi jis kasti me koi bhaga huva gulam savar ho jata hai. Chunanche, kashti valon ne qura nikala to hazrate yunus Alais Salam ke naam ka qura nikla. To kashti valon ne Aap ko samandar me fenk diya aur kashti le kar ravana ho gaye aur foran hi ek machli Aap ko nigal gayi aur machli ke pet me jahan bilkul andhera tha Aap mukhayad ho gaye. Magar isi halat me Aap ne ayate karima
ka vazifa padna shuru kar diya to iss ki barkath se Allah tala ne Aap ko iss andheri kotdi se najath di aur machli ne kinari par Aa kar Aap ko ugal diya.uss vaqht Aap bahut hi nahif va kamzor ho chuke the.Khuda Azzawajal ki shan ki us jagah kaddu ki ek bel ug gayi Aap us ke saye me aram karte rahe fir jab Aap me kuch tuvanayi Aa gayi to Aap apni khom me tashrif laye aur sab log intihayi muhabbath va yehtiram ke saath pesh Aa kar Aap par imaan laye
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Aur beshak yunus paighambaron se hai jab ki bhari kashti ki taraf nikal gaya to kura dala to ghakele huvon me huva fir use machli ne nigal liya aur voh apne Aap ko malamat karta tha to agar vo tasbih karne vala na hota zarur us ke pet me rahta jis din tak log uthaye jayenge fir ham ne use maidan par dal diya aur vo bimar tha aur ham ne us par kaddu ka ped ugaya aur ham ne use laak admiyon ki taraf bheja balki ziyada to vo imaan le aye to ham ne unhen ek vaqht tak baratne diya.
Darse Hidayath:
1. Nonva valon ki sargujisth se ye sabaq milta hai ki jab kisi khom par koi bala azab ban kar nazil ho to us bala se najat pane ka yehi tarikha hai ki logon ko toba va istigfar me mashgul ho kar duayen mangni chahiye to ummid hai ki bandon ki be kharari aur un ki girya va zari par arhamurrahimin raham farma kar balaon ke azab ko dafa farma dega.
2. Hazrate Yunus Alaihis Salam ki dil hila dene vali musibath aur mushkilath se ye hidayat milti hai ki allah tala apne khaas bandon ko kis kis tarha imtihan me dalta hai. Lekin jab bande imtihan me pad kar sabro istikhamat ka daman nahi chodte aur yen balaon ke tufan me bhi khuda ki yaad se ghafil nahi hote to arrahmurrahimin apne bandon ki nazat ka ghaib se yesa intizam farma deta hai ki koi is ko soch bhi nahi sakta. ghor kijiye ki hazrate yunus alaihis salam ko jab kashti volon ne samandar me fenk diya to in ki zindagi aur salamati ka kon sa zariya bakhi rah gaya tha? fir machli ne nigal liya to Aab bhala in ki hayat ka konsa sahara rah gaya tha? magar iss halath me App ne jab ayate karima ka vazifa pada to Allah Tala ne inhen machli ke pet me bhi zinda va salamath rakha aur machli ke pet se inhen ek maidan me pahuncha diya aur fir inhen tandurusti va salamati ke saath in ki khom aur vatan me pahuncha diya.aur in ki tabligh ki badolath ek laak se zaida admiyon ko hidayath mil gayi.
Hazrate Yunus Alaihis Salam Machli Ke Pet Me
2015-06-16T16:52:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara