On 4:28:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Hazrate Yusuf Alaihis Salam ko jab in ke bhaiyon ne kuven me dal diya to ek shakhs jis ka naam malik bin zuar tha jo madyan ka bashinda tha. Ek kafile ke hamrah is kuven ke pas pahuncha aur apna dol kuven me dala to hazrate yusuf alaihis salam ne in dol ko pakad liya aur malik bin zuar ne Aap ko kuven me se nikal liya to Aap ke bhaiyon ne us se kaha ki ye hamara bhaga huva gulam hai.Agar tum iss ko kharid lo to ham bahut hi sasta tumhare haat bech denge.Chunanche,Un ke bhaiyon ne sirf bis dirham me Hazrate Yusuf Alaihis Salam ko bech dala magar sharth ye laga di ki tum iss ko yahan se itni door le jao ki iss ki khabar bhi hamare sunne me na aye. Malik Bin Zuar ne in ko kharid kar misr ke bazar ka rukh kiya aur bazar me in ko farokhth karne ka yelan kiya. Un dino misr ka badsha rayyan bin valid amliki tha aur un ne apne vazire azam kitafir misri ko misr ki hukumat aur khazane somp diye the aur misr me log iss ko "Azize Misr" ke khitab se pukarte the. Jab Azize misr ko malum huva ki bazare misr me ek bahut hi khub surath ghulam farokht ke liye laya gaya hai aur log iss ki kharidari ke liye badi badi rakhame le kar bazar me jama ho gaye hain to Azize misr ne Hazrate Yusuf Alaihis Salam ke vazan barabar sona, aur itni hi chandi, aur itna hi mushkh, aur itne hi harir khimat de kar kharid liya aur ghar le ja kar apni bivi "Zulekha" se kaha ki iss ghulam ko nihayat hi yejaz va ikram ke saath rakho. Uss vaqth Aap ki umr sharif terah ya satrah baras ki thi. "Zulekha" Hazrate Yusuf Alaihis Salam ke husno jamal par farefata ho gayi aur ek din khoob banav singhar kar ke tamam darvazon ko band kar diya aur hazrate yusuf alaihis salam ko tanhayi me lubhane lagi. Aap ne Mazallah kah kar farmaya ki main apne malik azize misr ke yehsan ko faramosh kar ke hargiz us ke saath koi khayanath nahi kar sakta. fir jab khud zulekha Aap ki taraf lapaki to Aap bhag nikle aur zulekha ne dod kar piche se Aap ka perahan pakad liya jo fat gaya aur Aap ke piche zulekha dodti huyi sard darvaze par pahunch gayi. Ittifaq se thik usi halat me azize misr makan me dakhil huva.aur dono ko dodte huve dekh liya to zulekha ne azize misr se kaha ki iss gulam ki saza ye hai ki iss ko zail khane bhej diya jaye ya aur koi dusri sakht saza di jaye kuinki iss ne tumhari gharvali ke saath burayi ka irada kiya tha (Mazallah Azzawajal) Hazrate Yusuf Alaihis Salam ne farmaya ki ye azize misr! Ye bilkul hi ghalath bayani kar rahi hain. Iss ne khud mujhe lubhaya aur main iss se bachne ke liye bhaga to iss ne mera picha kiya. Azize misr dono ka bayan sun kar hairan rah gaya aur bola ki ye yusuf alaihis salam me kisi tarha bavar kar lun ki tum sachche ho? To Aap ne farmaya ki ghar me char mahine ka ek bachcha palne me laita huva hai jo zulekha ke mamu ka ladka hai.Uss se daryaft kar lijiye ki vakhiya kai hai? Azize misr ne kaha ki bhala char mah ka bachcha kai jane aur vo kaise bolega? To Aap ne farmaya ki Allah Tala uss ko zarur meri be gunahi ki shadath dene ki khudrath ata farmayega kuin ki main be kusur hun. Chunanche, Azize misr ne javab uss bachche se pucha to uss bachche ne ba Aavaze buland fasiha zaban me ye kaha ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Gavahi di agar in ka kurta age se chira hai to Aurath sachchi hai aur inhon ne ghalat kaha aur agar in ka kurta piche se chak huva to aurath jhuti hai aur ye sachche.
Bachche ki zaban se azize misr ne ye shahadat sun kar jo dekha to un ka kurta piche se fata huva tha. To uss vaqth azize misr ne hazrate yusuf alaihis salam ki be gunahi ka aylan karte huve ye kaha :
Tarjuma e Kanzul Imaan
Beshak ye tum auraton ka charitar(fareb) hai beshak tumhara fareb bada hai ye yusuf tum iss ka khayal na karo aur ye aurath tu apne gunah ki muafi mangh beshak tu khatavaron me se hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Gavahi di agar in ka kurta age se chira hai to Aurath sachchi hai aur inhon ne ghalat kaha aur agar in ka kurta piche se chak huva to aurath jhuti hai aur ye sachche.
Bachche ki zaban se azize misr ne ye shahadat sun kar jo dekha to un ka kurta piche se fata huva tha. To uss vaqth azize misr ne hazrate yusuf alaihis salam ki be gunahi ka aylan karte huve ye kaha :
Tarjuma e Kanzul Imaan
Beshak ye tum auraton ka charitar(fareb) hai beshak tumhara fareb bada hai ye yusuf tum iss ka khayal na karo aur ye aurath tu apne gunah ki muafi mangh beshak tu khatavaron me se hai.
Char Mahine Ke Bachche Ki Gavahi
2015-06-17T16:28:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara