A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 1:31:00 PM by shayarkishayari in    No comments
Hazrate Yusuf Alaihis Salam ke Bhaiyon ne jab in ko kuven me dal kar apne valid Hazrate YaKub Alaihis Sallam ko bhediya kha gaya to hazrate Yakub Alaihis Salam ko Be Intiha ranj va kalkha aur be panah sadma huva. Aur voh apne bete ke gham me bahut dino tak rote rahe aur ba kasrath rone ki vajah se binayi kamzor ho gayi thi.Fir barson ke baad jab baradrane Yusuf Alaihis Salam kahat ke zamane me ghallath lene ke liye dusri martaba misr gaye aur bhaiyon ne Aap ko pahchan kar izhare nadamath karte huve muafi talab ki to Aap ne unhen muaf karte huve ye farmaya ki Aaj tum par koi malamath nahi allah tala tumneh muaf farma de vo arhamurrahimin hai.

           Jab Aap ne Apne Bhaiyon se apne valide majid hazrate yakub alaihis salam ka halat pucha aur bhaiyon ne bataya ki vo to Aap ki judayi me rote rote bahut hi nidal ho gaye hai.aur un ki binayi bhi bahut kamzor ho gayi hai.Bhaiyon ki zabani valide majid ka hal sun kar hazrate yusuf alihis salam bahut hi ranjida aur garamgin ho gaya fir Aap ne apne bhaiyon se farmaya ki
Tarjuma e Kanzool Imaan:
                 Mera ye kurta le jao ise mere baap ke muh par dalo un ki ankhen khul jayengi aur apne saab gharbhar (Gharvolon) ko mere pas le Aao.

                 Chunanche,Baradrane Yusuf Alaihis Salam Is Kurta ko le kar misr se KinAan ko ravana huve.Aap ke bhaiyon me se yahuda ne kaha ki iss kurte ko main le kar hazrate Yakub Alaihis Salam ke pas Jaunga. Kuinki Hazrate Yusuf Alaihis Salam ko kuven me dal kar in ka khoon alud kurda bhi main hi un ke pas le kar gaya tha .Aur main ne hi yeh kah kar un ko ghamgin kiya tha ki Hazrate Yusuf  Alaihis Salam ko bhediya kha gaya. To chunki main ne unhen gamgin kiya tha tha lihaza Aaj main hi yeh kurta de kar aur hazrate yusuf Alaihis salam ki zindagi ki khush khabari suna kar un ko khush karna chahta hun.Chunanche,Yahuda iss pairahan ko le kar assi kos tak nange sar barhana pa daudta huva chala gaya.Raste ki kurakh ke liye saath rotiyan us ke pas thi magar frte masarrath aur jaldi pahunchne ke shok me vo in rotiyon ko bhi na kha saka.Aur jald se jald safar tai kar ke valide mohtaram ki khidmat me pahunch gaya.

                 Yahuda jaise hi kurta le kar misr se kinAan ki taraf ravana huva.KinAan me Hazrate Yakhub Alaihis Salam ko Hazrate Yusuf Alaihis Salam ki Khushbu Mahasus Huyi aur Aap ne Aapne Poton se Farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:-
                  Kaha beshak main Yusuf ki Khushbu pata hun agar mujhe yeh na kaho ki sat(bahak) gaya.

           Aap ke poton ne javab diya ki khuda ki khism Aap Aab bhi apni uss purani varfatgi me pade huve hain bhala kahan yusuf hai aur kahan un ki khushbu? Lekin jab yahuda kurta le kar kinAan pahuncha aur jai se hi kurte ko hazrate Yakhub Alaihis Sallam ke chehre par dala to  foran hi un ki Ankhon me roshni Aa gayi Chunanche,Allah Tala ne Quran e Majid me farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
                  Fir jab khushi sunane vala aya us ne vo kurta Yakhub ke muh par dala usi vakht uss ki ankhen fir ayi(Rosha ho gayi) kaha me na kahta tha ki mujhe allah ki vo shane malum hai jo tum nahi jante.

                  Yahuda misr se hazrate yusuf alaihis salam ka kurta le kar jaise hi kinAan ki taraf chala. Hazrate Yakhub Alaihis Sallam ne kinAan me baite huve Hazrate Yusuf Alaihis Salam ki khushbu sundh li. Iss Bare me hazrate sheikh sadi alaihi rahamath ne ek badi nasihad amoz aur laziz hikayat likhi hai jo bahut hi dilkash aur nihayat hi kaifa anvar hai.

Hikayath:

                   
  Hazrate Yakhub Alaihis Salam Se jin ke farzand gum ho gaye the, kisi ne ye pucha ki ye Aali Zaath aur buzurgh akalmand
Aap ne Misr Jaise door daraz makham se hazrate yusuf Alaihis Salam KinAan hi ki sar zamin me ek kuven ke andar the to Aap ko itne kharib se bhi un ki khushbu mahsus nahi huyi iss ki kai wajah hai? Hazrate Yakhub Alaihis Salam ne ye javab diya ki 
Yani Ham Allah Valon ka haal kund'Ne wali bijli ki manind hai ki dam bhar me zahir aur dam bhar me poshida ho jati hai habhi to ham logon par allah tala ki sifate nuraniyaath ki tajalli hoti hai to ham log asmano par ja baitte hain aur sari tajalli hoti hai to ham log asmano par ja baitte hain aur sari kayinaath hamare pesh nazar ho jati hai aur kabhi jab ham par istighfar ki kaifiyath tari hoti hai to ham log khuda ki zato sifaath me Yese Mustaghrak ho jate hai ki tamam masiva Allah se be niyaz ho jate hai yahan tak ki ham apni pushte pa ko bhi dekh pate yahi wajah hai ki misr se to pairahane yusuf Alaihis Salam ko ham ne sundh kar uss ki khushbu mahsus kar li.Kuinki us waqht ham par kashfi kaifiyyath tari thi magar kinAan ke kuvve me isse ko hazrate yusuf ki khushbu iss liye mahsus na ho saki ki uss waqth ham par istighrakhi kaifiyath ka ghalba tha aur hamara ye hal tha ki

                                    Main Kis Ki Lun Khabar,Mujhe To Apni Khabar Nahi!

Darse Hidayath:

              Iss Pure waqhiye se khas tor par do sabak milte hain:
1.                 Ye Ki Allah Valon ke libas aur kapdon me bhi badi barkat aur karamath pinha hoti hai.Lihaza buzurgon ke libas va poshak ko tabarruk bana kar rakhna aur in se barkat va shifa hasil karna aur in ko khudavande khuddus ki bargaha me vasila bana kar dua manghna ye makhbuliyyath aur husule saAdath ka ek bahut bada zaria hai.

2.                  Allah valon ka haal har vakht aur hamesha yaksan nahi rahta balki kabhi to un par allah tala ki tajalliyath ke anvar se yesa haal tari hota hai hi iss vakhth vo sare alam ke zarre zarre ko dekhne lagte hain aur kabhi vo allah tala ki tajalliyath me iss tarah gum ho jate hain ki tajalliyon ke mushahade me mustagharakh ho kar sare alam se be tavajjho ho jate hai.Iss vaqth un par yesi kaifiyath tari ho jati hai ki un ko kuch bhi nazar nahi ata. Yahan tak ki vo apna naam tak bhul jate hai.Tasavvuf ki ye do kashafi va istigharakhi kefiyath yesi hai jin ko har shaks nahi samajh sakta balki in kaifiyath va ahval ko vohi log samjh sakte hai jo sahibe nisbath va ahle idrakh hain jin par khud ye ahval va kaifiyyath tari hoti rahti hai.sach hai
                    Aur iss haal va kaifiyath ka tari hona iss baath par mokuf hai ki zikro fikr aur murakbe ke saath saath sheikhe kamil ki batini tavajjoh se dil ki safayi aur inzlaye kalbi paida ho jaye.Sultane tasavvof hazrate molana roomi Alaihir Rahmath ne isi nukhte ki tarfa ishara karte huve farmaya:
Aur kisi dusre arif ne yeh farmaya ki:
                             
Yani Khali "Kanzul Dakhayik" Va "Hidaya" pad lene se khuda nahi mil sakta balki dil ke sipare ko pado khunki iss se behtar koi kitab nahi hai.

                  Magar iss dor nafsaniyath me jab ki tasavvof ke alambardaron ne apni be tasavvuf ke mazbuth va mustahukm mahal ki yit se yit baja di hai aur mahaz jhad funk aur shobada baziyon par piri muridi ka dong chala rahe hai aur khali rang bi rang ke kapdon aur nayi nayi tarash kharash ki poshakon aur tasbih va asaa ko shokhiyyath ka meyar bana rakha hai. Bhala tasavvuf ki haqhiqhi kaifiyath va tajalliyath ko log kab aur kaise aur kaha se samajh sakte hain? iss liye iss bare me arbabe tasavvuf is ke siva aur kai kah sakte hain ki

                     Hakhikhath Khurafath Me Kho Gayi         Yeh Ummath Rivayath Me Kho Gayi