On 11:15:00 AM by shayarkishayari in Lecture No comments
Kharoon Hazrate Musa Alaihis Salam ke Chacha "Yashar" ka beta tha. Bahuth hi shakil aur khub surath admi tha. Isi liye log uss ke husno jamal se mutassir ho kar us ko "Munavvar" kaha karte the. iss ke saath saath uss me ye kamal bhi tha ki vo bani israel me "Torath" ka bahuth bada alim, aur bahut hi milansaar va baa akhlakh insaan tha.aur log uss ka bahuth hi adabo ehtiram karte the.
Lekin be shumar dolath uss ke haath me ate hi uss ke halath me ek dam taghayyur paida ho gaya aur samri ki tarha munafiq ho kar hazrate musa alaihis salam ka bahuth bada dushman ho gaya aur Aala darje ka mutakabbir aur maghrur ho gaya. Jab zakath ka hukum nazil huva to uss ne hazrate musa Alaihis Salam ke rubaru ye ahad kiya ki vo apne tamam malon me se hazarvan hissa(1000) zakath nikalega magar jab uss ne malon ka hisab lagaya to ek bahut badi rakham zakath ki nikali.Ye dekh kar uss par ek dam hirs va bukhal ka bhut suvar ho gaya aur na sirf zakath ka munkir ho gaya balki Aam tor par bani israel ko bahkane laga ki Hazrate Musa Alaihis Salam iss bahane tumhare malon ko le lena chahte hain, Yahan tak ki hazrate musa alaihis salam se logon ko bargushta karne ke liye uss khabis ne ye gandi aur ghilavni chaal chali ki ek aurath ko bahuth zaida malo dolath de kar amada kar liya ki vo Aap par badkari ka ilzam lagaya. Chunanche, yen uss vaqth jab ki hazrate musa alaihis salam Vaz farma rahe the. Kharoon ne Aap ko toka ki fulani aurath se Aap ne badkari ki hai.Hazrate Musa Alaihis Salam ne farmaya ki uss aurath ko mere samne lao. Chunanche, vo aurath bulayi gayi to hazrate Musa Alaihis Salam ne farmaya ki ye aurath ! uss Allah ki khasam ! jis ne bani israyil ke liye darya ko faad diya. aur affiyyath va slamati ke saath darya ke paar kara kar firon se najath di.sach sach kah de ki vakhiA kai hai? Hazrate Musa Alaihis Salam ke jalal se aurath saham kar kampne lagi aur uss ne majmaye Aam me saaf saaf kaha diya ki ye Allah Azzawajal ke nabi ! mujhko Kharoon ne kasir dolath de kar Aap par bohtan lagane ke liye amada kiya hai. Uss vaqht Hazrate Musa Alaihis Salam abadida ho kar sajdaye shukr me gir pade aur ba-halate sajda Aap ne ye dua mangi ki ya allah ! kharoon par apna kahar va gazab nazil farma de. Fir Aap ne majmA se farmaya ki jo kharoon ka saathi ho vo kharoon ke saath tahara rahe aur jo mera sathi ho vo kharoon se zuda ho jaye. Chunanche, Do khabison ke siva tamam bani israel kharoon se alagh ho gaya.
Fir Hazrate Musa Alaihis Salam ne Zamin ko hukum diya ki ye zamin! Tu iss ko pakad le to kharoon ek dam ghutno tak zamin me dhans gaya fir Aap ne dobara zamin se yehi farmaya to vo kamra tak zamin me dhans gaya. Ye dekh kar kharoon rone aur bilbilane laga aur kharabath va rishtedari ka vasita dene laga magar Aap ne koi iltifath na farmaya.yahan tak ki vo bilkul zamin me dhans gaya. do(2) manhus admi jo kharoon ke sathi huve the, logon se kahne lage ki hazrate musa Alaihis Salam ne kharoon ko iss liye dhasa diya hai taki kharoon ke makan aur uss ke khazano par khuda khabza kar len to Aap ne Allah Tala se dua mangi ki kharoon ka makan aur khazana bhi zamin me dhas gaya. Chunanche, Kharoon ka makan jo sone ka tha aur uss ka sara khazana, sabhi zamin me dhas gaya.
Kharoon Ka Khazana
Is ko Quran ki Zaban se suniye. Allah Tala ka irshad hai ki ham ne kharoon ko itne khazane diye the ki un khazano ki kunjiyan ek mazbuth aur taqhatvar jamath va mushkil utha sakti thi. Quran e Majid me hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Beshak Kharoon Musa ki khom se tha fir uss ne un par ziyadati ki aur ham ne un ko itne khazane diye jin ki kunjiyan ek ZorAvar jamath par bhari thi.
Beshak Kharoon Musa ki khom se tha fir uss ne un par ziyadati ki aur ham ne un ko itne khazane diye jin ki kunjiyan ek ZorAvar jamath par bhari thi.
Hazrate Musa Alaihis Salam Ki Nasihath:
Hazrate Musa Alaihis Salam ne Kharoon Ko Jo nasihath farmayi vo ye hai ki jis ko Quran e Majid ne bayan farmaya hai. Isi kair khwahi vali nasihath ko sun kar kharoon Hazrate Musa Alaihis Salam ka Dushman Ho gaya. Ghor Kijiye Ki kitni Mulakhissana aur kis khadar pairi nasihath hai jo Hazrate Musa Alaihis Salam ke Sath Sath sari kom kharoon ko sunayi jati rahi ki:
Tarjuma E Kanzul Imaan:
Jab us se uss ki khom ne kaha itra nahi beshak Allah itrane valon ko dosth nahi rakhta aur jo maal tujhe Allah ne diya hai uss se Akhirath ka ghar talab kar aur dunya me apna hissa na bhul aur ehsaan kar jaisa Allah ne tujh par ehsan kiya aur zamin me fasad na chaha.
Kharoon ne Apne maal ke ghamand me iss mukhlisana nasihath ko thukra diya aur khoob ban savar kar takabbur aur ghurur se itrata huva khom ke samne Aaya aur Hazrate Musa Alaihis Salam ki badgoyi aur Yiza rasani karne laga iss ka natija kai huva? iss ko Quran ki zaban se suniye aur khuda ki iss kahirana girifth par khofe ilahi se tharrate rahiye. Allahu Akbar
Kharoon Zamin Me Dhas Gaya
Tarjuma e Kanzul Imaan
To ham ne use aur uss ke ghar ko zamin me dhasa diya to uss ke paas koi jamath na thi ki allah se bachane me uss ki madad karti aur na vo badla le saka.
Darse Hidayath:
Ye Ibrath Naak Vakhiya hame ye darse hidayath deta hai ki Agar Allah Tala malon dolath ata farmaya to iss farz ko lazim jane ki apne amval ki zakath ada karta rahe aur hargiz hargiz apne malon dolath par gurur aur ghamand kar ke na itraye. Kuinki Allah Tala hi dolath deta hai aur jab vo chahata hai pal bhar me dolath chin bhi leta hai. Har vakhth iss ka dhain rakhte huve tavajoa aur inkisari ki Aadath rakhe aur hargiz hargiz kabhi ambiya va auliya va salihin ki yiza rasani va badgoyi na kare ki in makhbulane bargahe ilahi ki dua aur bad dua se vo ho jaya karta hai jis ka log tasawur aur khayal bhi nahi kar sakte.
Kharoon Ka Anjaam
2015-08-05T11:15:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara