A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:09:00 AM by shayarkishayari in    No comments
brain

Dimaghi quat Allah ke bahot bari naimat hy. Is kay baghair insan bekar hay. Insan zindagi kay kisi shobay men bhi Allah ke di hui is naimat kay baghair traqi nahi ker sakta. Kyun kay Allah nay hmaray jisam kay her aza ko is kay sath jor dia hay.

Kuch logon ka hafiza bahot taiz hota hay. Jab kay kuch logon ke yadasht bahot kamzor hoti hay.
Yehi waja hay kay kuch students ke qabliyat ke waja un ke yadasht (memory) hoti hay. Un logon kay liye jin ke yadasht kamzor hay aur woh apni yadasht taiz kerna chahtay hen men kuch totkay lay ker aya hon.Bahot say log chezen rakh ker bhol jatay hen jo keh un ke damaghi kamzori yani yadasht ke kami ke wja say hota hay.

          1.  Kuch badam aur zra c kali mirach lejiye aur usay pees ker yak jan ker kay kisi botal                        men band ker len. Her suboh uthnay kay bad nihar mounh isay khayen. kuch he arsa                  men aap ka hafiza itna taiz ho jaye ga kay aap ko bachpan ke baten yad aana shuru ho                jaen ge

              Ager aap uper diye gaye totkay men dushwari mehsos kertay hen to Nihar mounh 5 ya 7               adad badam ke gulyan aur 3 adad kali mirchen kha lia karen.

        2.  Suboh khali pait kisi darakh ya danday kay sath 3 minute ulta lataknay say hafiza taiz                  ho jata hy. Is kay ilawa aisa kernay say Qad (Height) bhi berh jata hy.

       3.  Har Namaz ke baad Sidhe Haath ko apne sir par rakh kar 21 baar ye pade "Rabbi                       Zidni Ilma" Insha Allah Yadashth Tez hogi.