On 12:06:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Faras aur Room ki dono saltanaton me jangh chidi huyi thi aur chunki ahle faras majusi the. Iss liye arab ke mushrikin un ka ghalba pasand karte the aur roomie chunki ahle kitab the iss liye musalmano ko un ka fatahyab hona achcha lagta tha. Kusru parvez badshahe faras aur kaisare room dono badshahon ki fozwn saar zamine shaam ke kharib marika ara huyi aur dhamasan ki jangh ke baad ahle faras ghalib huve. Musalmano ko ye khabar badi girran guzri aur kuffare makka iss khabar se masrur ho kar musalmano se kahne lage ki tum bhi ahle kitab aur rumi nasara bhi ahle kitab, aur ahle faras bhi atish parasth aur ham bhi bhut parasth, hamare bhai tumhare bhaiyon par ghalib ho gaye. agar hamari tumhari jang huyi to isi tarha ham bhi tum par ghalib honge. Iss mokha par quran e majid ki ye ayaten nazil huyi jin me gaib ki khabar di gayi hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Roomie Maghlub huve paas ki zamin me aur apni maghlubi ke baad An'Kharib galib honge chand baras me.
Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anha ne in ayath ko sun kar kuffare makkah me ye yelan kara diya ki khuda ki khasam ! Roomie ahle faras par ghalba pa jayenge. lihaza ye ahle makkah ! Tum iss vaqht ke natijaye jangh se khushi na manao. Chunki Ba Zahir roomiyon ke fatahyab hone ke asbab door door tak nazar na ate the iss liye "Ubayyah Bin Khalfa" Aap ke bil mukhabil khada ho gaya aur Aap ke aur uss ke darmiyan 100 100 Unt ki sharth lagh gayi ki gagar 9 saal ke andar roomi ghalib na aya to Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu 100 Unt denge aur Agar roomie ghalib Aa jayen Ubayya Bin Khalfa 100 Unt denga. Uss vaqht tak juva islam me haram nahi huva tha. Khuda ki Shaan ki 7 hi baras me Quran ki iss gaibi khabar ki sadakhath ka zuhur ho gaya aur khalis sulhe hudebiyya ke din Si.6 Hi. me roomi ahle faras par ghalib ho gaye aur roomiyon ne "Madayin" me ghode bandhe aur irakh me "roomiyya" nami shahar basaya aur Hazrate Abu Bakkar Siddikh Raziyallahu Tala Anhu ne sharth ke 100 Unt Ubayya Bin Khalfa ki avlad se vasul kar liye kuinki vo us darmiyan me mar chuka tha. Huzur Sayyade Alam Sallallahu Alaihi O Sallam ne Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ko Hukum diya ki sharth ke Unton ko jo unhon ne Ubayya Bin Khalfa ki avlad se vasul kiye hain saab sadkha kar den! aur apni zath par kuch bhi sarf na karen.
Darse Hidayath:
Faras Va Room ki jangh me roomi iss darje shikasth kha chukhe the ki un ki askari takhath hi fana ho gayi thi aur va zahir un ke fatahyab hone ka koi imkan hi nahi tha. Magar saath hi baras me roomiyon ko yesi fatah hasil ho gayi ki koi iss ko soch bhi nahi sakta tha. Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ki ye gaibi khabar Aap ki sihate nabuvvath aur Quran e Karim ke kalame ilahi hone ki roshan dalil hai.Subhanallah Sach hai.
Hazar Falsafiyon Ki Chuna Chuni Badli Khuda Ki Baath Badalni Na Thi Nahi Badli
Roomie Maghlub Ho Kar Fir Ghalib Honge
2015-08-04T12:06:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara