A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:09:00 AM by shayarkishayari in    No comments

Allah Tala ne farishton ke Bazu aur Paar bana diye hain jin se vo fazaye asmani me ud kar kayinate alam me faramine rabbani ki tamil karte rahte hain. kisi farishte ke 2 Paar kisi ke 3 aur kisi ke 4 Paar hain. Allama zamkhashri ka bayan hai ki main ne baaz kitabon me pada hai ki farishton ki ek khisam yesi bhi hai jin ko khallake alam zallazalalahu ne 6-6 bazu aur paar ata farmaya hai. Do bazuon se to vo apne badan ko chupaye rakhte hain aur do bazuon se vo udte hain aur do bazu un ke chehre par hain jin se vo khuda se haya karte huve apne chehron ko chupaye rakhte hain.

        Aur hadis sharif me hai ki Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne bayan farmaya ki mai ne "Sidratul Muntaha" ke pass Hazrate Jibrael alaihis salam ko dekha ki in ke 600 bazu the aur ye bhi ek rivayath me hai ki huzur alaihis salam ne Hazrate Jibrael alaihis salam se farmaya ki Aap apni asal surath mujhe dikha dijiye to inhone javab diya ki Aap iss ki Taab na Laa sakenge to Aap sallallahu alaihi o sallam ne farmaya ki mujhe iss ki khwahish balki tamanna hai to hazrate jibrael alaihis salam ek martaba apni asal surath me vahi le kar Aap ke paas hazir huve to in ko dekhte hi Aap par Ghashi tari ho gayi to Hazrate Jibrael Alaihis Salam ne Apne Badan se tek laga kar Aap ko sambhale rakha aur apna ek haath huzur alaihis salam ke sine par aur ek haath dono ke darmiyan rakh diya. Jaab Aap ko ifakha huva to hazrate jibrael alaihis salam ne arz kiya ki ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi O Sallam Agar Aap Hazrate Israfil ko dekh lete to Aap ka kai haal hota? Un ko to Allah Tala ne 12000 Bazu Aata farmaya hai aur un ka ek bazu mashrik me hai aur dusra bazu maghrib me hai aur vo arshe ilahi ko apne kandhon par uthaye huve hain.

          Farishton ke bazuon aur paron ka zikr surah fatiha ki is ayat me hai ki
Saab Khubiyan Allah ko jo asmano aur zamin ka banane vala farishton ko rasool karne vala jin ke 2-2, 3-3, 4-4 paar hain. badata hai afarinish(paidayish) me jo chahe beshak Allah har chiz par khadir hai.

Darse Hidayath

              Farishton ke wazud par imaan lana zaruriyate deen me se hai aur is par imaan lana bhi zaruri hai ki farishton ke bazu aur par bhi hain kisi ke 2-2 kisi ke 3-3 kisi ke 4-4. aur kisi ke iss se bhi ziyada hain. Aab raha ye saval ki farishton ke itne ziyada par kuin kar aur kisi tarha hai? To Quran ne iss ka shafi aur musakit javab de diya hai ki allah tala ki khudrath ki koi had nahi hai vo har chiz par khadir hai. lihaza vo saab kuch kar sakta hai. vo farishton ko Baal Va Paar bhi Aata farma sakta hai aur bila shuba Aata farmaye bhi hain lihaza iss silsile me bahas va mubahasa aur saval va javab ye saab gumrahi ke darvaze hain. Imaan ki khairiyyath isi me hain ki baghair chun va chara ke iss par Imaan layen aur kuin aur kaise ke ilm ko Allahu Tala Alam kah kar khuda ke sipurd kar den.