On 1:09:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
San 5.Hij. ke gazvaye bani mustalak me jab musalman fatahyab ho gaye aur huzure akram sallallahu alaihi o sallm ne iss khabile ke sardar ki beti hazrate juveriyya raziyallahu tala anha se nikah farma liya to shabaye kiram ne tamam asirane jang ko ye kah kar riha kar diya ki jis khandan me rasoollullah sallallahu alaihi o sallam ne shadi kar li, uss khandan ka koi admi londi ghulam nahi rah sakta. musalmano ke iss husne suluk aur akhlakhe karimana se mutasir ho kar tamam kabila mushraf ba islam ho gaya. iss ke baad huzur sallallahu alaihi o sallam ne "Valid Bin Ukhba" ko iss khabile valon ke pass bheja taki vo khabile ke dolath mandon se zakat vasul kar ke in ke fukra par taksim kar den.
Khabilaye Bani Ala Mustalak ke logon ko jab "Valid" ki iss amad ka ilm huva to vo amile islam ke istiqbal ke liye khushi khushi hatyar le kar basti se bahar maidan me nikale zamanaye jahiliyath me iss khabile aur valid me kuch nachaki rah chuki thi iss liye purani adavath ki bina par istiqbal ke liye iss yehtimam ko valid ne dusri nazar se dekha aur samjh aur khabile valon se asal muamla daryaft kiye bagair hi madina vapas chala aya, aur darbare nabuvvat me hazir ho kar arz kiya ki khabila e bani mustalak ke log to murtad ho gaye aur unho ne zakat dene se inkar kar diya iss khabar se huzur sallallahu alaihi o sallam ranjida huve aur musalman behad bura farokht ho gaye balki mukhable ke liye zihad ki tayyariyan hone lagi idhar bani mustalak ko valid ke iss azib tarze amal se badi hairath huyi aur jab in logon ko malum huva ki valid ne darbare nabuvath me ghalath bayani aur tohmath tarazi kar di hai to in logon ne ek muazzaz aur ba vakhar vafad darbare nabuvath me bheja jis ne bani al mustalak ki taraf se safayi pesh ki. ek janib apne amil valid ka bayan aur dusri janib bani ala mustalak ke vafad ka ye bayan dono baten sun kar huzur alaihis salam ne khamoshi iqhtiyar farma li aur vahiye ilahi ka intizar farmane lage, akhir vahi utar padi aur surah "Hujurath" ki ayath ne nazil ho kar na sirf muamle ki haqhiqat hi vazeh kar di balki iss khusus me ek mustalik kanun aur me yare tahkik bhi ata farma diya vo ayat ye hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan
Ye imaan valon agar koi fasiq tumhare paas koi khabar laye to tahkhik kar lo ki kahin kis khom ko be jane iza na de baitho fir apne kiye par pachtate rah jao aur jan lo ki tum me allah ke rasool ke rasool hain bahut muamlon me agar ye tumhari khushi karen to tum zarur mashakkat me pado lekin allah ne tumhen imaan paira kar diya hai aur use tumhare dilon me arasta kar diya aur kufr aur hukm aduli aur nafarmani tumhen nagavar kar di yese hi log raah par hain allah ka fazal aur yehsan aur allah ilm va hikmat vala hai.
Darse Hidayath
1. Khabaron ke bayan karne me Aam tor par logon ka yehi mijaz aur tarikha ban chuka hai ki jo khabar bhi un ke kano tak pahunche uss ko bila taklluf bayan kar diya karte hain aur hakhikhate haal ki taftish aur zustaju bilkul nahi karte. khwah iss khabar se kisi be gunah par iftira kiya jata ho ya kisi ko nuksan pahunchta ho.
Islam ne iss tarikhe ko bilkul ghalat karar diya hai balki Quran e Islami adab ka ye khanun bataya hai ki har khabar ko sun kar pahale uss ki tahkhik kar leni chahiye jab vo khabar paye subuth ko pahunch jaye to fir uss khabar ko logon se bayan karna chahiye isi baat ki taraf mutavajjeh karne ke liye nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam ne ye tambih farmayi hai ki
Yani admi ke jhuta hone ke liye yehi kafi hai ki vo jo baat bhi sune logon se (Bila Tahkhik) bayan karne lage.
2. Iss Ayat se sabit huva ki ek shaks agar adil aur pabande shariath ho to uss ki khabar motbar hai.
3. Baaz mufassirin ne farmaya ki ye ayath valid bin ukba hi ke saath khas nahi balki ye ayath Aam hai aur har fasikh ki khabar ke bare me zahil huyi hai.
4. Valid Bin Ukhba ko sahabi hote huve Quran e Majid ne fasiq kaha to iss me koi iskal nahi hai kuinki iss vakhiye ke baad jaab valid bin ukhba ne sidqh dil se sachchi toba kar li to un ka fiska jayil ho gaya. lihaza kisi sahabi ko fasik kahana hargiz hargiz jaiz nahi hai kuinki iss par ijmaa hai ki har sahabi sadikh, adil aur pabande sharaa hai.
Fasiq Ki Khabar Par Yetimad Maat Karo
2015-11-24T13:09:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara