On 9:59:00 AM by shayarkishayari in Gharelu Ilaj No comments
Agar Apne in hari sabjiyon ko apni diet ka hissa bana liya to apke liye vazan ghatana vaqhayi bahut asan ho jayega. In sabjiyon me kafi mikdar me Protein aur dusre ghizaye ajza paye jate hain. jo non-veg khane se kahi zaida faidemand hain.
Inke Istemal se Motabalijim badane ke saath hi sharir bhi dinbhar active rahta hai. Mahiran ki mane to din ke waqht hari sabjiyon ka istemal bahut faydemand hota hai. Isse zism dinbhar shurtvan bana rahata hai . janiye ye sabziyan kon si hai:
1. Methi Ka Saga
Ek cup pani me methi ki kuch pattiyon ko dalkar 10 minute tak ubal len. iss pani ko chaan kar suboh khali pet pijiye. ye pani bahut tezi se calorie ghatata hai.
2. Green Tea
Khali pet green tea pina sehath ke liye to achcha hai hi, isse motapa bhi control hota hai. Agar Aap chahe to isme ek chamcha shahad aur nimbu ki kuch bunden mila sakte hain. isse ye aur tezi se kaam karega.
3. Hari Chizen
Agar Aap Vaqhayi Chahte hain ki apka vazan jaldi kam ho jaye to tarikhe se ek baul hari chizen khane ki adath daliye. Aap chahe to isme bracli, patta gobi, khira aur salad patta shamil kar sakte hain. Agar Aap isse salad banakar kha rahe ahai to isme kuch miqdar dahi ki bhi mila den. Aap chahe to isme nimbu ka raas bhi mila sakte hain.
4. Pattagobi Ka Raas
Vazan Ghatane ke liye pattagobi ka juice bahut hi faidemand hai. agar Aap iska juice nahi pee sakte hain to isse ubalkar bhi khaa sakte hain. ye juice fat kam karne ke saath hi imyunity bhi badata hai.
5. Sprouts
Agar Aap vaqhayi vazan ghatane ko lekar fikarmand hain to sprouts ka istemal apke liye bahut faidemand hoga apko kachche sprouts pasand nahi hai to inko halki bhap me paka kar bhi le sakte hain.
6. Palak
Hafte me 2 baar palak ka istemal karna bahut faidemand hain. palak me paryapth miqhdat me vitamin ke aur calcium paya jata hai, jo haddiyon aur danth ke liye kafi faidemand hain.Aap chahe to palak ki pattiyon ko ubalkar ya fir iska juice nikalkar bhi isse istemal me la sakte hain.
Hari Sabjiyon Ke Istemal Se Ghataye Vazan
2015-11-11T09:59:00+05:30
shayarkishayari
Gharelu Ilaj|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara