A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 10:02:00 AM by shayarkishayari in    No comments


Qurane Majid me Hazrate Zul Kifl Alaihis Salam ka zikr sirf do suraton yani "Surah Ambiya" aur "Surah SaA" me kiya gaya hai aur in dono suraton me sirf Aap ka naam mazkur hai. naam ke ilava Aap ke halath ka mujmal ya mufassal koi tajkira nahi hai. Sura ambiya me ye hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
               
                   Aur Ismayil aur Idris aur Zul Kifl ko (Yad Karo) Vo sab sabr vale the.

Aur Surah "SaA" me iss tarha irshad huva ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                   Aur yaad karo ismayil aur yasA aur zul kifl ko aur saab achche hain.

         Hazrate zul kifl alaihis salam ke mutallik quran e mazid ne naam ke siva kuch nahi bayan kiya hai isi tarha hadison me bhi Aap ka koi tazkira mankhul nahi hai. lihaza Quran va Hadis ki roshni me iss se zaida nahi kaha ja sakta hai zul kifl alaihis salam khuda ke barguzida nabi aur paighambar the jo kisi khom ki hidayath ke liye mabus huve the.

         Albatta hazrate shaah abdul khadir sahib dehalvi irshaad farmate hain ki hazrate zul kifl alaihis salam hazrate ayyub alaihis salam ke farzand hai aur inho ne kahlisan li-vazahillah kisi ki zamanath kar li thi. jis ki vajah se in ko kai baras kaid ki taklif bardasht karni padi.

          Aur baaz mufassirin ne tahrir farmaya ki hazrate zul kifl alaihis salam dar hakhikath hazrate hazakil alaihis salam ka lakhab hai.

Aur zamanaye haal ke kuch logon ka khayal hai ki zul kifl "Gotam Bud" ka lakhab hai iss liye ki iss ke darul saltanath ka naam " kafal vastu" tha jis ka marub "Kifl" hai aur arabi me  "Jhoo","Sahib" aur "Malik" aur Badshaah ko "Zul Kifl" kaha gaya aur in logon ka dava hai ki "Ghotam Bud" ki asal talim tohid aur hakhiqi islam hi ki thi magar baad me ye deen dusre adyan ba malla ki tarha maskha va maharuf ho gaya. magar vazeh rahe ki zamanaye haal ke  chand logon ki ye ray ki "zul kifl" Ghotam Bud ka lakhab hai mere nazdik ye mahaz ek khayali tuk bandi hai. tarikhi aur tahkhiki haisiyath se iss ray ki koi yukkath nahi hai.

      Ba zahir yesa malum hota hai ki hazrate zul kifl alaihis salam ambiyaye bani israel me se hain bani israel ke in halath va vaqhiyath ke siva jin ki tafsilath Quran e majid me mukhtalif ambiyaye bani israel ke zikr me ati rahi hai, hazrate zul kifl alaihis salam ke zamane me koi vakhia yesa darpesh nahi huva jo Aam tabligh va hidayath se zaida apne andar ibrath va moizath ka pahal rakhta ho iss liye Qurane majid ne fakath in ke naam hi ke zikr par iktilaf kiya aur halat va vakhiyath ka zikr nahi farmaya fakath