On 3:17:00 PM by shayarkishayari in Lecture No comments
Arshe Ilahi ke Uthane vale malayika farishton ke saab se Aala tabkhat me hain. in me se haar farishte ke bazuon par 4 Paar hain aur 2 paar in ke chehron ke upar hain. Jin se ye apni ankhon ko chupaye rakhte hain aur khofe khudavandi ke bayis ye farishte satven asman ke farishton se zaida khuda ka khof rakhte hain satven asman vale farishte 6 asman vale panchven asman valon se aur panchven asman vale 4 asman valon se aur 4 asman vale 3 asman valon se aur tisre asman vale dusre asman valon se aur dusre asman vale pahle asman valon se khof va khashiyyate rabbani me Aala darja rakhte hain. fir arshe ilahi ke gird rahne vale farishte jin ko "Qhurubiyyin" kahte hain ye bakhi farishton ke sardar hain aur bahut hi vajahat vale hain.
Mnkhul hai ki arsh ke gird malayika ki 70,000 safe hain.iss tarha ki ek saaf ek saaf ke piche hai. ye saab arsh ka tavaf karte rahte hain fir in sabhon ke baad 70,000 malayika ki saf hai aur vo apne haath apne kandhon par rakhte huve khuda ki tasbhi va takbir padte hain. fir in ke baad aur ek 100 safen farishton ki hai jo apna dahina haath bayen haath par rakhe huve tasbih va takbir aur dua me mashgul hain.
Aur saab farishton ki dua kai hai. iss ko Quran e Majid ke alfaz me mulahaza kijiye. Irshade Rabbani hai ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Vo jo arsh uthate hain aur jo uss ke gird hain apne raab ki tarif ke saath uss ki paki bolte aur uss par iman late aur musalmano ki magfirath mangte hain ye raab hamare tere rahamath va ilam me har chiz ki samayi hai tu unhen bakhsh de zinhone toba ki aur teri rah par chale aur unhen dozakh ke azab se bcha le ye hamare raab aur unhen basne ke baghon me dakhil kar jin ka tu ne un se vada farmaya hai aur un ko jo nek ho un ke baap dada aur bibiyon aur avlad me beshak tu hi izzath va hikmath vala hai.

Darse Hidayath
Aap ne Arshe Ilahi ke uthane vala aur Arsh ka tavaf karne vale farishton ki dua mulahaza kar li ki vo saab mukhaddas farishte ham musalmano aur hamare validain aur bibiyon aur hamari avlad ke liye jahannam se najat pani aur jannte Adan me dakhil hone ki dua mangte hain. Allahu Akbar! Kitna bada yehsane Azim hai ham musalmano par huzure akram sallallahu alaihi o sallam ka ki Aap hi ke tufail me ham musalmano ko ye rutbaye buland aur darjaye aliyya hasil huva hai ki beshumar tabkhaye Aala ke farishte ham gunahgar musalmano ke liye duayen mangte rahte hain vo bhi kon se farishte? Arshe Ilahi ke uthane vale farishte aur arshe ilahi ka tavaf karne vale farishte Subhannallah kahan ham aur kahan malaye Aala ke malayeka, magar Huzur Sayyade Alam Sallallahu Alaihi O Sallam ki nisbath ka tufail hai ki uss ne ham khataron ko samandare napaida kinar aur ham zarron ko aftabe alamtab bana diya. Subhanallah! Subhanallah ek baar basad ikhlas nabiyye mukarram rahamate alam sallallahu alaihi o sallam par darud sharif padiye.
Hamilane Arsh Ki Dua
2015-12-02T15:17:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara