On 10:31:00 AM by shayarkishayari in Lecture No comments
Hazrate Suleman Alaihis Salam ka ek khas mojiza aur in ki saltanath ka ek khususi imtiyaz ye hai ki in ke zere nagin sirf insaan hi nahi the balki jinn aur haivanath bhi tabe farman the aur saab Aap ke hakimana iqtidar ke zere hukum the aur ye sab kuch iss liye huva ki hazrate sulaiman alaihis salam ne ek martaba darbare khudavandi azzavajal me ye dua ki thi ki.
Tarzuma e Kanzul Imaan
Ye mere Raab mujhe bakhsh de aur mujhe yesi saltanath ata kar ki mare baad kisi ko layiq na ho, beshak tu hi hai badi den vala.
Chunanche, Allah Tala ne Aap ki dua makhbul farma li aur Aap ko yesi azibo gharib hukumath aur badshahi ata farmayi ki na Aap se pahle kisi ko mili, na Aap ke baad kisi ko mayassar huyi.
Hazrate Abu huraira raziyallahu rivayath karte hain ki nabiyye akram sallallahu Alaihi O Sallam ne ek irshad farmaya ki gujashta ki gujashta raabh ek sarksh jin ne ye koshish ki, ki meri namaz me khalal dale to khudavande tala ne mujh ko uss par kaab de diya aur main ne uss ko pakad liya, iss ke baad main ne irada kiya ki uss ko masjid ke sutun se banddun taki tum saab din me uss ko dekh sako. magar uss vaqth mujh ko apne bhai suleman alaihis salam ki ye dua yaad Aa gayi ki
Ye yaad ate hi main ne uss ko chod diya.
Huzur Alaihi Salatu vassalam ke iss irshad ka matlab ye hai ki agarche khudavande tala ne tamam ambiya va rasool ke khasayis va mojizath va khususi imtiyazath va kamalath mujh me jama farma diye hain iss liye khome jinn ki taskhir par bhi mujh ko khudrath hasil hai lekin chunki hazrate suleman alaihis salam ne iss ikhtisas ko apna khususi tugharaye imtiyaz karar diya hai iss liye main ne iss silsile ka muzahira karna munasib nahi samajha. Quran e Karim ki hasbe zail ayaton me bhi hazrate suleman alaihis salam ke iss me mojizana ikhtidare hukumath ka tazkira hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur Shaitano me se vo jo uss ke liye ghota lagate aur iss ke siva aur kaam karte aur ham unhen roke huve the.
isi tarha surah "Saba" me irshad farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur jinno me se vo jo uss ke age kaam karte uss ke raab ke hukum se aur jo in me hamare hukum se fire ham use bhadakti Aag ka azab chakhayenge uss ke liye banate jo vo chata unche unche mahal aur tasviren aur bade haijon ke barabar lagan aur langardar dengen.
Aur Surah "Namal" me ye farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur jamaa kiye gaye suleman ke liye uss ke lashkar jinno aur admiyon aur parandon se to vo reke jate the.
Aur Surah "Saah" me iss tarha irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur dev bas me kar diye har memar aur ghota khor aur dusre aur bediyon me jakade huve ye hamari Aata hai Aab tu chahe to yehsaan kar ya rok rakha tujh par kuch hisab nahi.
Darse Hidayath
Baaz mulahidin jin ko mojizath ke inkar aur inkare jinn ka maraz ho gaya hai vo log in ayaton ke bare me azib azib muzahika kaiz baten bakte rahte hain aur kahte hain ki "jinn" se murad insano ki ek yesi khom hai jo uss zamane me bahut kafi haikal aur deva paikar thi aur vo hazrate suleman alaihis salam ke ilava kisi ke kabu me nahi ati thi aur haivanath ki taskhir ke bare me bakte hain ki Quran me iss silsile ka zikr sirf "Hud Hud" se mutallik hai aur yahan "Hud Hud " se parande murad nahi hain balki hud hud ek admi ka naam tha jo pani ki taftish par mukharrar tha. is khisam ki lagviyyath aur rakik baten karne vale ya to jazbulhad me khasdan Quran e Majid ki tahrif karte hain ya Quran ki talimath se zahil hone ke baad wajud apne dava bila dalil par israr karte rahte hain.
Khub samajh lo ki Quran e Majid ne "Jinn" Ke mutallik jaa'Baaz basrahath ye aylan kiya ki vo insano se juda khuda ki ek makhlukh hai sirf ek ayath pad lo jo iss bare me khole faisal hai.
Yani ham ne jinn aur insano ko sirf isliye paida kiya hai ki vo khuda ke ibadath guzar bane.
dekh lo iss Ayath me jinn ko ek insan se juda aur ek makhluk zahir kar ke dono ki takhlikh ki hikmath bayan ki gayi hai lihaza iss ayath ko samne rakhte huve ye kahna ki jinn insano hi me se ek kavi haikal khom ka naam hai, ghor kijiye ki ye kitni badi jahalath ki baath hai.
isi tarha jab "Hud Hud" ko Allah Tala ne Quran e Majid me saaf saaf parinda farmaya hai aur irshad farmaya hai ki
Yani Hazrate Suleman Alaihis Salam ne Parindon ka jayiza liya to iss tasrih ke baad kisi ko kai haq hai ki iss ke khilaf koi rakhik aur lachar tavil kare. aur ye kahe ki hud hud parinda nahi tha balki ek admi ka naam tha. sochiye ki ye magrib zada mulhidon ka ilm hai ya un ki jahalath ka kutub minar hai.
Jinn Aur Janvar Farma Bardar
2015-12-10T10:31:00+05:30
shayarkishayari
Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara