On 10:22:00 AM by shayarkishayari in Gharelu Ilaj No comments
Tamam koshishon ke bavajud agar bada huva pet kam nahi ho pa raha hai to shahad ka istemal karen. Ya bina kisi side effects ke apko behtarin natija dega.
shahad ke istemal se zism me jami charbi yani fat ko galaya ja sakta hai. To in 5 tarikhon se Aap shahad ko apni diet me shamil kar sakte hain:
1. Brown Bread Ko Shahad Ke Saath
Agar Aap vaqhayi pet kaam karna chahte hain to apne dinnar ki adat me thoda badlav lane ki koshish kijiye. Aap chahen to apne dinner me Brown Bread aur shahad le sakte hain. Brown Bread ke ek aor shahad ki ek patli leyar lagakar kha sakte hain. yah kam calorie me zaida energy dega. Raat me vaise bhi halka dinner karna achcha rahta hai.
2. Khane me Shahad Ka Istemal
Aap khane me Tel ki jagah shahad ka istemal kar sakte hain. Halanki Aap isme kuch tal to nahi sakte lekin isme khana zarur paka sakte hain. iss tarha paka khana mazedar hone ke saath hi vazan ghatane me bhi madadgar hoga.
3. Dood Me Dalkar
Halke garm dood me shahad ki kuch bunden dalkar pine se badi huyi charbi jaldi kam hone lagti hai. uble huve dood me kam calorie hoti hai jiski vajah se isse wajan nahi badta hai aur isme kuch bunden shahad ki dal dene se ye aur faidemand ho jata hai.
4. Garam Pani Me Shahad Dalkar
Halke Garam pani me Shahad Ki Kuch bunden dalkar achchi tarha mila len. Agar Aap isme kuch bunden nimbu ke raas ko daal dete hain to ye aur behtar tarikhe se asar karega. subo khali pet istemal karna adhik faidemand rahega.
5. Ots Ke Saath Shahad Ka Istemal
Suboh ke Breakfast me Aap jo bhi kuch Aab tak khate aye hain use chodkar aur shahad apnayiye. Ots aur Shahad ke istemal apki suboh ko healthy shuruat dega. Saath hi pet kam karne me ye dohre roop se faida pahunchayega
Bada Pet Kam Karne Ke Liye 5 Tarikhon Se Karen Shahad Ka Istemal
2015-12-16T10:22:00+05:30
shayarkishayari
Gharelu Ilaj|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara