A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 1:21:00 PM by shayarkishayari in    No comments

Hazrate Suleman Alaihis Salam Chunki Azimushan imaraton aur pur shokat khalvon ki tamir ke bahut shayiq the iss liye zarurath thi ki ghare aur chune ke bazai pigli huyii dhat ghare ki jagah istimal ki jaye lekin iss khadar kasir mikdar me ye kaise mayssar aya ye suval tha jis ka hal hazrate suleman alaihis salam chahte the. chunanche, Allah Tala ne hazrate suleman alaihis salam ki iss mushkil ko iss tarha hal kar diya ki in ko pigle huve tambe ke chashme ata farmaye.

            Baaz mufassirin kahte hain ki allah tala hasve zarurath hazrate suleman alaihis salam ke liye tambe ko pigla deta tha aur ye hazrate suleman alaihis salam ke liye ek khas nishan aur in ka mojiza tha Aap se pahale koi shaqs dhat piglana nahi janta tha.

           Aur nazzara kahte hain ki allah tala ne hazrate suleman alaihis salam par ye inaam farmaya ki zamin ke jin hisson me Aatshi maddon ki vajah se tamba pani ki tarha pigal kar bah raha tha un chashmo ko hazrate suleman alaihis salam par ashkar farmaya. Aap se pahle koi shaqs bhi zamin ke andar dhat ke chashmo se agah na tha. Chunanche, ibne kasir ba rivayate khatada nakhal hai ki pigle huve tambe ke  chashme yaman me the jin ko allah tala ne hazrate suleman alaihis salam par zahir farma diya.

          Quran e Majid ne iss khisam ki koi tafsil nahi bayan farmayi hai ki tambe ke chashme kis shakal me hazrate suleman alaihis salam ko mile magar Quran ki jis ayath me iss mojize ka zikr hai mazkura bala dono tozihath iss ayath ka misdakh ban sakti hai aur vo ayath ye hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                 Aur ham ne uss ke liye pigle huve tambe ka chashma bahaya.  


Darse Hidayath

             Hava par hukumath aur pigle huve tambe ke chashmo ka mil jana ye hazrate suleman alaihis salam ka mojiza hai jo Quran e Majid se sabit hai iss par imaan lana zaruriyate din me se hai | Baaz mulhidin jin ko mozizat ke inkan ki bimari ho gayi hai vo in mojizath ke bare me azib azib muzahika khaiz baten bakte aur rakik tavilath karte rahte hain. Musalmano par lazim hai ki in mulhidon ki baton par koi tavajjoh na karen aur mojizath par yakhin rakhte huve imaan layen.