PESH-E-LAFZ....
Gha'da(MATKA) Bharne Me Der Lagti hai, Lekin Jab Gha'da Bhar Jata Hai To Usko Dubane Ke Liye Ek Halki Si Mouj Kafi Hoti hai, Zalim Apni Tagooti Aur Maal-Wa-Doulat Ke Nashe Me Anjam Se Be'parwah Hokar Zulm Ke Kisi Bhi Imkani Tarika Ko Apnane Se Gurez Nahi Karta...
Mazloom Ki Cheekh-Wa-Pukar Uske Liye Bagma-E-Purqaif Hoti hai, Mazloom Ka Dard-Wa-Qarb Se Bechain Hokar Tadapna Uske Liye Nazaar-E-Aish Hota hai, Lekin Jab Uske Zulm Ka Ghada Bhar Jata Hai to Azab-E-Ilahi Ki Ma'muli Si Lehar Usko Hamesha Ke Liye Zillat Aur Ruswayi Ke Samandar Me Dubo Deti hai, Zalim Mitt Jata hai Lekin Duniya Hamesha Uspar La'nat Bhejti hai...
Medane Karbala Me Aale Muhammad ﷺ Par Yazeediyo Ne Zulm Ka Wo Konsa Harba Hai Jo Na Aazmaya Ho, Unki Zalimana Rawish Ko Dekhkar Aasman Bhi Khoon ke Aansu Ro Diya, Imam-E-Aali Maqam Aur Unke Sathiyo Ne Zulm-Wa-Sitam Ke Har Waar ko Saha Aur Har Zakhm Par Muskuraye...
Aaj Anjam Humare Samne Hai, Yazeedi Ek-Ek Karke Mita Diye Gaye, Unke Aatishe Zulm Ne Unhi ko Aur Unki Har Nishani Ko Is Tarha Jalakar Khaak Kar Diya Goya Unka Wajood Tha hi Nahi, Yazeedi Mitt Gaye Lekin Us Waqt Se Aaj Tak Aur Aaj se Subhe Qayamat Tak Har Insaf Pasand Tabiyat Inpar Malamat Bhejti hai Aur Bhejti Rahegi...
Aaj Bhi Wo Islam Ke Dushman Jama'ate Jo Musalman Ko Ya To Fana Kar Dena Chahti Hai, Ya Apni Darindagi Aur Bahmiyat Ka Badtareen Muzahira Karke Musalmano Ko Imaan-Wa-Islam Se Bargashna Karke Apni Gumrahi-Wa-Zalalat Ke Rang me Rangnqa Chahti hai...
Unhe Achi Trah Ye Yakeen Kar Lena Chahiye Ke Unki Ye Koshish Kabhi bhi Bar'aawar Na ho Sakegi, Musalmano Ke Ragg-Wa-Resha Me Hussainiyat Rachi Basi Huyi hai Maal Aulad Jaan Sab De Sakte hai, Lekin Iman-Wa-Islam Ki Aabru Nahi Denge..
JO MAAL MANGO TO MAAL DE DE.
JO JAAN MANGO TO HAAN DE DE.
MAGAR YE HUMSE NA HO SAKEGA.
NABI KA JAHO JALAL DE DE.
Agarche Is Waqt Musalmano Par Zulm-Wa-Sitam Ke Teerah Wa Taar Badal Chaye Huwe hai, Aur Rozana Kahin Na Kahin Baraste Hi Rehte hai Lekin Muttmaeen Hai Agar Aaj Unke Sero Par Zulm Ki Tariq Raat Saya Kiye Huwe hai To Kal Addal Ka Sawera bhi Zarur Hoga, Jiske Ujale Me Duniya Zalimo Ka Ibratnaak Anjam Dekhegi...
Zere Bazar Qitab Me Karbala ke Roo'numa Hone Wale Un Dil Doz Waqeat Ki Tafseel Hai Jinko Sunkar Aur Padhkar Iman Laraz Uthtta hai, Karbalayi Zalimo Ka Bhayanak Anjam Duniya ke Jafa Pesha Afrad Ke Liye Nihayat Hi Ibrat Angez Aur Sabak Aamez Hai....
JAB IMAM-E-HUSSAIN رضی الله عنہ NE SAHADAT PAYI US WAQT KANKARIYO SE KHOON BAHA..
Hazrat Umme Salma رضی الله عنہ Farmati hai Ke Jis Raat Ki Subha Imam-E-Aali Maqam Ki Sahadat Huyi Us Raat mene Kisi ko Ye Sher Padhte Suna..
AYYOHAL QATILOON JAHILLAN HUSSAINA,
AB SHERU BIL AZABE VAT'TANKIL
KAD LA'NATUL LISAAN IBNE DAWOOD WA MOOSA WA HAAMILUL INJEEL...
Ye Sunte hi Me Chonk Padi Charo Taraf Sher Padhne Walo Ko Talash Kiya Lekin Kahin Koi Bhi Nishan Na Mil Saka, Be Sakhta Aankho se Aansu Jari Ho Gaye Aur Shishe Ko Kholkar Dekha Jisme Sarkar ki Ata Karda Kankariya Rakhi Huyi thi...
Wo Kankariya Jinhe Dekar Sarkar ﷺ Ne Irshad Farmaya Tha Ki "JIS DIN YE KHOON BAN JAYE SAMAJ LENA MERA HUSSAIN MEDAN-E-KARBALA ME SAHEED KAR DIYA GAYA" To Mene Dekha Ke In Kankariyo se Khoon Beh Raha hai...
Allahu Akbar....
JARI RAHEGA........Part-2
KARBALA KE BAA'AD Part-01
2016-03-06T11:49:00+05:30
shayarkishayari
Karbala|Lecture|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search
Deal of The Day
Popular Posts
Categories
Sample Text
Subscribe via Email
Powered by Blogger.
Featured Posts
Ek Tariqhi Munazara